Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

26 Jan 2025

Soodi Maal ka Kya Kare?

Soodi Maal ka Kya Kare?

 Sawaal: 

Mai ek company me mulazmat karta hu jisne paanch baras qabal apne mulazimeen ko kuch rakam di aur ye rakam bank ke aise account me rakha jo paanch baras tak istemal nahi kiya ja sakta, aur is rakam par faide mil rahe hai. Ye maal mulazim ko paanch baras baad ya phir retirement ke baad diya jayega. Mujhe ilm hai ke ye haram hai lekin hame koi ikhtiyar hasil nahi.

Chand-maah baad mai company chor raha hu aur maloom karna chahta hu ke mai is maal ka kya karu? Kya mai asal maal lu aur faide sadqa kar du? Aap se guzarish hai ke mera taawun kare, mai gunah ka murtakib nahi hona chahta.


 Jawab: 

Alhamdulillah.

Paanch saal baad jo maal aap ko milega, wo asal maal (jo ke company ki taraf se diya gaya hai) aur soodi nafa (jise aap ne faida ka naam diya hai) ka majmua hoga. Aur kyunke soodi maal aap ke liye halal nahi hai, is liye aap asal maal se zyada nahi le sakte. Aap ko chahiye ke ye soodi faide bank ke liye hi chor dein.

Is liye ke Allah Ta'ala ka farmaan hai:

"Aur agar tum tauba kar lo to tumhare liye tumhare asal maal hai..."

Surah Baqarah, ayat- 279.

Aur agar bank aap ko haram faide diye bagair asal maal na de, to phir aap usay le lein aur usay mukhtalif qisam ke bhalai aur neki ke kaamon me kharch karke chutkara hasil karein. Aur aap ke liye un faido ko istemal karna ya unse faida lena jaiz nahi hai.

Wallahu A'lam.

•٠•●●•٠•


Post a Comment