اقرأ باسم ربك الذي خلق

15 Feb 2025

Mani aur Mazi Lage Kapdo ka Hukm - Paak ya Napaak

Mani aur Mazi Lage Kapdo ka Hukm -  Paak ya Napaak

Agar Mani kapdo ko lag jaye to yeh paak rahti hai, yani yeh napak nahi hoti. Agar aise kapdo me Namaz parh li jaaye toh koi masla nahi hai.

۩ Ibn Qudama r.h. ne kaha hai:

"Agar ham ise paak kahen to ise khurachna afzal hai, aur agar kisi ne bina khurache Namaz padh li to bhi ye jayz hai."

Al-Mughni (1/763).

Lekin Mazi ke liye sirf paani chirakna kaafi hai, kyunki isme mushkil hoti hai. Iski daleel Sunan Abu Dawood ki niche di gai hadees hai:

۩ Sahl ibn Hunayf r.a. bayan karte hai,

'Mujhe zyada Mazi aati thi aur mai baar baar ghusl kiya karta tha. Maine is baare me Rasoolullah ﷺ se poocha to Rasoolullah ﷺ ne farmaya,
"Tumhare liye sirf wuzu karna kaafi hai."
Maine pucha: "Aye Allah Ta'ala ke Rasool ﷺ, agar Mazi kapdo me lagi ho to kya karu?"
To Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
"Tumhare liye itna hi kaafi hai ke chullu bhar paani le kar jahan lagi ho, wahan chirak do."

Sunan Abu Dawood, hadees-210 - Hasan, Al-Albani.

۩ Aur Imam Tirmizi r.h. is riwayat ko nakal karne ke baad likhte hai:

"Yeh hadees hasan sahih hai, aur Mazi ke mutallik hame is tarah ki hadees Muhammad bin Ishaq ke ilawa kisi aur se nahi mili."

۩ Tuhfat-ul-Ahwazi me likha hai:

"Is hadees se yeh sabit hota hai ke agar kapro par Mazi lag jaaye to sirf paani chirakna kaafi hai, dhona zaroori nahi."

Tuhfat al-Ahwazi (1/373).

🟢 Nateeja:

● Mani paak hai, ise dhona zaroori nahi.
● Mazi lagne par sirf paani chirakna kaafi hai.
● Mazi nikalne se sharmgaah dho kar (aur kapde ke us hisse par paani chirak kar) Namaz ke liye sirf wuzu karna zaroori hai, ghusl zaroori nahi.

Wallahu Aalam.

•٠•●●•٠•

Related articles: