اقرأ باسم ربك الذي خلق

Sawaal Puche



'Post a comment' ke zarye apna sawal puche aur sawal ke sath apna naam bhi mention karein.
Juveria said...

Assalaamu alaikum. Jazak Allah khair is panel ko open karne ke liye. Mera sawaal ye hai ki Aurto ki aksariyat Jahannam me kyu hai?

Nuzhat ny said...

‘ wallahu wa Rasool alam “ kehna kaisa hae ? Kuch log “ wallahu alam “ nahi kehkar “ wallahu wa rasool alam “ kehte hain aur jab unse kaha jaata k aisa nahi kehna chahiyeh kyun ki Rasool (SAW) hamare saat zinda nahi hae tho volog kehte hain k hadith me Sahabaon ne kaha hae “ Allah aur uske rasool behtar jaante hain “ . Lekin tab huzoor zinda the aur unke saamne the isilye kaha jaata tha . Aise log ko kaise samjhayain ?

Faisal Khan said...

@Juveria: wa alaykum assalaam. kindly is article ko chq kare (hindi version bhi attached h): https://www.iqrakitab.com/2019/02/jahannam-me-aurato-ki-aksariyat-kyu.html

Faisal Khan said...

@Nuzhat: Ham sirf Allahu alam kahne ko sahih samajhte kyuki hadees me hame yahi milta hai ki jab koi sawaal Rasoolullah ﷺ kisi sahabi se puchte the toh uske jawab me sahaba e karaam 'wallahu wa rasool alam' kahte the lekin hame ye kahi bhi nahi ki iske alawa kisi sahabi ne wallahu wa rasool alam kaha ho. Agar aesa ho to fir daleel pesh kiya jaaye in shaa Allah ham dobara fikr karne ko tayaar hai.

Aur ham Allahu alam kahte hai,hamari dalail ye hai:

۩ Narrated `Abdullah:

It is a sign of having knowledge that, when you do not know something, you say: 'Allah knows better.' Allah said to his Prophet: 'Say: No wage do I ask of you for this (Qur'an), nor am I one of the pretenders (a person who pretends things which do not exist)' (38.86) [Sahih al bukhari, 4822].

۩ Narrated `Aisha:

We used to salt some of the meat of sacrifice and present it to the Prophet (ﷺ) at Medina. Once he said, "Do not eat (of that meat) for more than three days." That was not a final order, but (that year) he wanted us to feed of it to others, Allah knows better. [Sahih al bukhari, 5570].

Hame daleel ki roshni me aur hikmat ke sath unhe samajhana hai. Baaki ham sirf paigaam pohcha sakte h, hidayat dene ke kaam Allah ka hai.

Wa Allaho alam.

Unknown said...

Assalamualaikum
Can Muslim women and muslim female students participate in protest rallies etc

Faisal Khan said...

@Anonymous (16 Jan)

Wa alaykum assalaam warahmatullah.

Yes. They can participate in protest rallies, with fulling some condition discussed here: https://www.islamweb.net/en/fatwa/242911/ruling-on-protests-to-demand-rights-for-muslim-minority

Trueislam said...

Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barkatahu Mera sawaal hai kya koi ahadees hame milti hai kya jisme Nabi e Akram (saw) ne Kaha ilm hasil Karna sirf aalim ya mufti se???

Faisal Khan said...

@AbuBakar

wa alaykum assalaam warahmatullahi wabarakatuhu..

Mere ilm me aesi koi hadees nahi hai. Ha isse related ek Quran ki ayat hai jo kahti hai ki Agar apko ilm na ho toh unse pucho jinhe ilm ho. (16:43).

Lekin iska matlab ye nahi hai ki sirf unse hame ilm lena hai jo Mufti ya Ulema hai, Ham unse bhi ilm le sakte hai jinko sirf ek ayat hi ka ilm ho kyuki Rasoolullah ﷺ ne farmaya hai ki, 'Pahuchado Meri Taraf Se Wo Kyu Na Ek Ayat Hi Ho.' (Sahih al Bukhaari, 3461)

Is ayat ke mutallik Shaykh ibn Uthaymeen r.h. kahte hai,

“Jab ek shaks us chiz ki samajh rakhta hai jis ke taraf wo logo ko bula raha hai to isse koi fark nahi padta ke wo bada ya mashhoor aalim ho ya Deen ka sachha taalib e ilm ho ya ek aam sa aadmi ho jise kuch ilm ho us masle me jo sawal pucha ja raha hai.
RasoolAllah ﷺ ne farmaya hai, "Pohcha do meri taraf se wo kyu na ek ayat hi ho", aur unhone ne ye shart nahi rakhi ke us daaiyah (logo ko deen ki taraf bulane wale) ko Ilm ke aala darjeh par faiz hona chahiye, bas zaroori hai ke use us baat ka ilm ho jiski taraf wo bula raha hai. Lekin apne la-ilmi aur apne jazbaat ke bina par logo ko (deen ki taraf) bulane ki ijazat nahi hai.” End quote.

Fataawa ‘Ulama’ al-Balad al-Haraam, p. 329.

Mazeed ilm ke liye ye article check kare: https://www.iqrakitab.com/2019/01/deen-ki-baate-batane-ke-liye-certificate-ki-zarurat-nahi-hoti.html

Unknown said...

Please iski wazahat kare..
Shab e barat k naam se is hadees ko bayan kia ja rha h ...

Ma’az Bin Jabal Raziallah anhu Nabi E Karim ﷺ Se Riwayat
K Hai Ke Aap ﷺ Ne Farmaaya Allah Tala Sha’abaan Ki 15 Vi Shab Apni Makhlooq Ki Taraf Nazar E Rehmat Farmaakar Tamaam Maqlooq Ki Maghfirat Farmaa Dete Hai Siwaaye Mushrik Aur Kina Rakhne Waale Ki.
References :
(Sahih ibn Hibban 12, Pg : 479, Hadees : 5665)
Shaykh Arnaut Likhte Hai Ye Hadees Shawaheed ki bunyaad Pe SAHIH hai.
(Imam Tabarani Al Mu’jam Al Kabeer Vol :20, Pg : 108, Hadees :215)
(Imam Tabarani Al Mu’jam Al Awsat Vol : 07, Pg : 36, Hadees :6776)
(Imam Tabarani Al Musnad Shamiyeen Vol :01, Pg : 128, Hadees : 203)
(Imam Darqutni, Nuzool Vol : 01, Pg :58, Hadees : 77)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan, Vol : 09, Pg :24, Hadees : 6204 )
(Imam Bayhaqi Fazail Al Awqaat Vol :01, Pg 22, Hadees : 22 )
(Imam Abu Nauym Asfahani Hilyatul Awliya Vol : 05, Pg : 191)
Ahle Hadees Maqtab Kay Sabse Bade Muhadis Shaykh Naseerudin Albani
(Silsila Al Ahadees Al Sahih Vol 03, Pg : 135, Hadees : 1144)
Imam Ibn Hibban Ne Yahan sarahat Kay ek saath Baab Kayam Kiya
SHABAN KI 15wi Shab ALLAH Taala Ka Bando Ko Maaf Karne Ka Bayan

Faisal Khan said...

Is article ko chq kare: https://www.iqrakitab.com/2018/01/shab-e-barat-ki-fazilat-ke-mutallik-zaif-riwayate.html

Unknown said...

Kya Ramzan ki mubarakbad dena sunnat se sabit hai or kya durust hai

Faisal Khan said...

Ramzan, Juma ya Eid ki mubarakbaad dena rasm-riwaj me shumar hota hai. Aur kisi bhi rasm-riwaj ki pairwi karne ki ijazat hai jab tak wo rasm-riwaj Quran ya sunnat se na takraaye. Toh beshak ye sunnat se sabit nahi lekin fir bhi iski ijazat hai.

Faizanzeeshan said...

Assalamualaikum agar kisi shaks ko gases ki bimaari hai yaa roze me pet(stomach) khaali rahne se hawaa or gas ek hi namaaz k dauraan baar baar khareej hoti hai kya us shaks ko wazu baar baar karna padhega aur kya us shaks ki namaz hongi

Faisal Khan said...

Wa alaykum assalaam.. Ye article check kare:

https://www.iqrakitab.com/2020/05/lagataar-hawa-kharij-hone-waale-shaks.html

Osman said...

Assalamualaikum
Kya witr ki teesri rakat me Surah faitha ke baad koi aur Surah milana zaruri hai,agar milana Hoga tow kya wo wajib Hoga ya farz ya mustahab

Faisal Khan said...

@Osman

wa alaykum assalaam

Is article ko chq kare: https://islamqa.info/en/answers/6422/reciting-a-soorah-after-al-faatihah-is-not-obligatory

Mohd zareef said...

Assalaamualaikum mujhe paishab karne k baad mujhe 15 minutes tak paishab k khatre nikalte hai aur uske baad rukh jaate hai toh main paishab karne k baad tissue aur tissue k upar ek plastic cover use karta hoon apne Sharmgah par taake paishab k khatre kapdo tak na pahunche aur 15 minute k baad khatre rukne k baad main us tissue aur plastic cover ku nikal kar phir se apne Sharmgah wash karke wuzu karta hoon kya yeh durst hai. Jazakallhu khair. Mohd zareef

Faisal Khan said...

@Mohd zareef:

wa alaykum assalaaam warahmaullah. Ye article chq kare:

eng- https://islamqa.info/en/answers/6656/drops-of-urine-come-out-of-him-what-should-he-do

urdu- https://islamqa.info/ur/answers/6656/%D9%BE%D9%8A%D8%B4%D8%A7%D8%A8-%D9%83%DB%92-%D9%82%D8%B7%D8%B1%DB%92-%D8%A7%D9%86%DB%92-%D9%88%D8%A7%D9%84%D8%A7-%D9%83%D9%8A%D8%A7-%D9%83%D8%B1%DB%92

Unknown said...

Asslamualikum Varahamatullahi vabarkatuhu kya sharmgah mard ki ho ya aurat ki chumna suck krna jayez hai? Jazakallahu khairan va Barakallahufe myself umme marziya

Faisal Khan said...

@ Sist Umme Marziya:

Wa alaykum assalaam warahmatullahi wabarakatuhu. Kindly ye article chq kare: https://www.iqrakitab.com/2018/07/kya-islam-me-oral-sex-ki-ijazat-hai.html

Jobs Point said...

Asslam o alaikum.
kia farq namaz ke bad ejtami dua karna sahi hai ya bidat hai.
pls is bare me sahi hone ya bidat hone ke ahadess se mukamal sabot den aor agar ho sake to urdu me reply karen ahadess ke sath

Jobs Point said...

kia nabi pak salo wasam pe jadu ka aser howa tha ya nahi is bare me quran pak se mukumal information den pls . agar ho sake to ye jawb urdu me den

Jobs Point said...

kia shirk karne wala shirk karne ke bad bhe muslim rehta hai ya isalam se kharij ho jata hai .pls reply me waith quran pak se

afjal khan said...

asslamo alaikum mera nam afjal hai mera swal ye hi ki
kya 10 sal ke chote bache ko maszid le jana shi hoga kuch log kehte hi maszid nhi lana chahiye bache jo jisko namz ka ilm na ho aur dusro ki namz kharb hoti hi shor krta hai namzi ke age se gujr jata hai namz me khuzu khuzu khatm ho jata hai kya ye shi ye sunnat ke roshni me bataye
jazzak allahu khairan

Rehan Khan said...

السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ
Bhai Aap Jo links Mentioned karte ho Post me Uspe Click nhai ho raha hai mene kafi try kara Pls Koiy Uska Salution batayen

Faisal Khan said...

@Rehan Khan: Bro copy paste kr ke kaam chala lo filhal.

Faisal Khan said...

@Mohammad Amjad: Farz namaz ke baad ijtimayi dua karna biddat hai. kindly ye article chq kare: https://www.iqrakitab.com/2017/12/kya-farz-namazon-ke-baad-ijtemaai-dua-karna-biddat-hai.html

Syed said...

Syed,
Assalamualaikum,
Crypto currency me investment karna kaisa hai aur crypto currency ko khareedne ya beechne ke liye use karsakte hain.
Ye sab kuch halaal hai ya haraam hai

Zuber Patel said...

Zuber
Tashhud ka pura tarikha bataye