اقرأ باسم ربك الذي خلق

Subah Aur Sham Ke Azkaar


1۞ Ayat al Kursi [1 Martaba Subah aur Sham] [Surah Baqara, Ayat-255]


[Allahu laaa ilaaha illaa huwal haiyul qai-yoom; laa taakhuzuhoo sinatunw wa laa nawm; lahoo maa fissamaawaati wa maa fil ard; man zallazee yashfa'u indahooo illaa be iznih; ya'lamu maa baina aideehim wa maa khalfahum; wa laa yuheetoona beshai 'immin 'ilmihee illa be maa shaaaa; wasi'a kursiyyuhus samaa waati wal arda wa la ya'ooduho hifzuhumaa; wa huwal aliyyul 'azeem]

[Allah hi mabood bar-haq hai jis ke siwa koi mabood nahi jo zinda aur sab ka paalne wala hai, jise na oong aaye na neend, usi ka hai jo kuch aasmaano aur zameen me hai, kaun hai jo uske paas us ki ijaazat ke bagair sifarish kar sake, wo janta hai jo un ke saamne hai aur jo un ke piche hai, aur wo us ke Ilm maise kisi cheez ko jaan nahi sakte magar jitna wo chaahe, uski hukumat chaai hui hai aasmaano aur zameen par, aur allah us ki hifaazat se na thakta nahi, wo to bahut buland aur bahut bada hai.]

Daleel: Sahih al bukhari, hadees- 2311; Sunan kubra lil nisai, hadees- 8017; Mustadrak al hakim, hadees- 2064.

__________________________________________________________________________

2۞ Mua'wwizat [ 3 martaba Subah aur Sham ]

۩    قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ - اللَّهُ الصَّمَدُ - لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ - وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ
[Qul huwal laahu ahad. Allah hus-samad. Lam yalid wa lam yoolad. Wa lam yakul-lahoo kufuwan ahad]

(1) Aap kah dijiye ke wo Allah ek (hi) hai. (2) Allah be-niyaaz hai. (3) na us se koi paida hua, na wo kisi se paida hua. (4) aur us jaisa koi nahi.

۩     قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ الْفَلَقِ - مِن شَرِّ مَا خَلَقَ - وَمِن شَرِّ غَاسِقٍ إِذَا وَقَبَ - وَمِن شَرِّ النَّفَّاثَاتِ فِي الْعُقَدِ - وَمِن شَرِّ حَاسِدٍ إِذَا حَسَدَ

[Qul a'oozu bi rabbil-falaq. Min sharri maa khalaq. Wa min sharri ghaasiqin izaa waqab. Wa min sharrin-naffaa-saati fil 'uqad. Wa min sharri haasidin izaa hasad]

(1) Aap kah dijiye! Ke mai subah ke Rab ki panaah me ata hoon. (2) har us cheez ke shar se jo us ne paida kiya hai. (3) aur andheri raat ki taariki ke shar se, jab us ka andhera fayl jaaye. (4) aur girah (laga kar un) me phunkne waalo ki burai se. (5) aur hasad karne waale ki buraayi se bhi, jab wo hasad kare.

۩  قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ النَّاسِ - مَلِكِ النَّاسِ - إِلَـٰهِ النَّاسِ - مِن شَرِّ الْوَسْوَاسِ الْخَنَّاسِ - الَّذِي يُوَسْوِسُ فِي صُدُورِ النَّاسِ - مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِ

[Qul a'oozu birabbin naas. Malikin naas. Ilaahin naas. Min sharril waswaasil khannaas. Allazee yuwaswisu fee sudoorin naas. Minal jinnati wannaas]

(1) Aap Kah Dijiye! Ke Mai Logo Ke Parwardigaar Ke Panaah Me Ata Hoon. (2) Logo Ke Maalik Ke. (3) Logo Ke Mabood Ki (Panaah Me). (4) Was-Wasa Daal Kar, Piche Hat Jaane Waale Ke Burai Se. (5) Jo Logo Ke Sino Me Was Wasa Daalta Hai. (6) (Khwah) Wo Jinn Maise Ho Ya Insaan Maise.

Daleel : Sahih al Bukhari, Kitab Fazaail al Quran, hadees- 5017.

Note: In Teem Surat ki tilawat (Jinnaat aur Jaadu ke khilaaf ) har shay se kafi ho jaati hai.

Note: [Jab raat ko padhe to] Raat ko 3 baar padhkar hatheliyon par funke aur jism par hath fere jaha tak apka hath pohch sake. Ye amal RasoolAllah har raat kiya karte the.

__________________________________________________________________________

3۞ Hamd [10 martaba Subah aur Sham]

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ


[Laa ilaaha ill-Allah wahdahu laa shareeka lah, lahu’l-mulk wa lahu’l-hamd wa huwa ‘ala kulli shay’in qadeer]

Nahi hai koi mabood magar Allah, woh akela hai, nahi hai koi shareek uska, usi ki badshaahi hai aur usi ke liye sab tareefe hai, aur woh har shay par puri Qudarat rakhta hai.

Note: Yeh kalimaat padhne wake ko 4 gulaam aazad karne ka sawab milta hai aur tamaam din rat mai har khatarnaak chiz aur shaitaan ke khilaaf uska bachao ho jaata hai.

Daleel : Sahih Muslim, hadees- 6844 ; Sunan Abu Dawud, hadees- 507. [Sahih]

Note: Ye Kalimaat Har roz 100 martaba padhna afzal-tareen amal hai. [Sahih al Bukhari, 6403 ; Sahih Muslim, 6842.]

__________________________________________________________________________

4۞ Kalima [3 martaba Subah aur Sham]

رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيًّا

[Razaytu billahi Rabban wa bil-Islami dinan wa bi Muhammadin nabiyyan]

Raazi hu main Allah ke Rab hone par, aur Islam Deen hone par, aur Muhammad ﷺ ke Nabi hone par.


Daleel: Sunan Abu Dawud, hadees- 5072. Musnad Imam Ahmad, hadees- 18990.

Note: Ye kalimaat padhne wale par Jannat wajib ho jayegi aur Qayamat wale din Allah use khush kar dega.
__________________________________________________________________________

5۞ Hamd [3 martaba Subah aur Sham]

بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لاَ يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الأَرْضِ وَلاَ فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ

[Bismillah illazi la yazurru ma ‘a ismihi shay’un fi’l-ardi wa la fi’s-samaa’i wa huwa as-Samee‘ ul-‘Aleem] 

Allah ke naam ke sath, jiske naam ke sath zameen aur aasmaan mein koi cheez nuksaan nahi pahuncha sakti, aur wohi sunne wala, janane wala hai.

Daleel: Jamia Tirmizi, hadees- 3388. Sunan Abu Dawud, hadees- 5088. Classed as Hasan Sahih Gareeb by Imam Tirmizi and Hasan by Darussalam.

Note: Ye kalimaat padhne wale ko na to koi shay nuksaan pahuncha sakti hai aur na hi koi achanak naaghaani museebat use pahunchegi.

__________________________________________________________________________

6۞ Dua [3 martaba Subah aur Sham]

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ
[A’uzu bikalimatil-lahit-tammati min sharri ma khalaq]

Mai Allah ke Kalimaat e Kamilah ki panah pakdta hoon har us chiz ke shar se jo usne paida ki.

Daleel: Sahih Muslim, hadees- 6880. Musnad Imam Ahmad, hadees- 7885 (2/290).

Note: Yeh kalimaat padhne wale ko zahrile jaanwar ka dank nuksaan nahi pahuncha sakega.

__________________________________________________________________________

7۞ Hamd [3 martaba Subah aur Sham]

سُبْحَانَ اللَّهِ وَبِحَمْدِهِ عَدَدَ خَلْقِهِ وَرِضَا نَفْسِهِ وَزِنَةَ عَرْشِهِ وَمِدَادَ كَلِمَاتِهِ

[Subhaan Allahi wa bi hamdih ‘adada khalqihi wa rida nafsihi wa zinata ‘arshihi wa midaada kalimaatih]

Allah pak hai aur apni tareef ke sath hai, apni makhluq ki ginti ke barabar, aur apne nafs ki raza ke barabar, aur apne arsh ke wazan ke barabar.

Daleel: Sahih Muslim, hadees- 6913.

Note: Yeh kalimaat padhne wale ko namaz e fazr se le kar ishraaq tak musalsal Ibaadat karne wale shaksh se bhi zyada sawab hasil hota hai.
__________________________________________________________________________

8۞ Dua [3 martaba Subah aur Sham]

أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الْعَظِيمَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىَّ الْقَيُّومَ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ

[Astaghfirullahal- Azeem allazi la ilaha illa huwal-hayyul-Qayyumu wa atubu ilaih]

Main Allah se maghfirat talab karta hoon, nahi koi mabood magar woh, khud se zinda, har cheez ko qayam rakhne wala hai, aur main usi taubah karta hoon.

Daleel: Jamia Tirmizi, hadees- 3577. Sunan Abu Dawud, hadees-1517. Classed as hasan by darussalam

Note: Yeh kalimaat padhne wale kay sare gunah maaf kar diye jayenge agarche woh shaksh maidan e jang se hi (bujhdili dikha kar) bhaag chuka ho.

__________________________________________________________________________

9۞ Dua [7 martaba Namaz e Fajr aur Namaz e Magrib ke fauran baad]

اللَّهُمَّ أَجِرْنِي مِنَ النَّارِ

[Allahumma ajirni minannaar]

Yah Allah bachaa le mujhe aag se.

Daleel: Sunan Abu Dawud, hadees- 5079.

Note: Ye kalimaat jo koi namaz e magarib ke baad guftgu karne se pahle padh le aur agar usi raat faut ho gaya to dozak ki aag se aazad hoga, aur jo bhi namaz e fazr ke bad guftgu se pahle ye kalimaat padh le aur usi din use maut aa gayi to dozak ki aag se aazad hoga. 
__________________________________________________________________________

10۞ Dua [1 martaba Subah aur Sham]

اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ، خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ، وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ، أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ، أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَىَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي، فَاغْفِرْ لِي، فَإِنَّهُ لاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ

[Allahumma anta Rabbi la ilaaha illa anta, khalaqtani wa ana ‘abduka wa ana ‘ala ‘ahdika wa wa’dika ma astata‘t. A‘oozu bika min sharri ma sana‘tu, aboo’u laka bi ni‘matika ‘alayya wa aboo’u laka bi zanbi, faghfir li fa innahu laa yaghfiru’z-zunooba illaa anta]

Aye Allah! Tu hi mera Rab hai, nahi hai koi mabood magar tu, tune mujhe paida kiya, mai tera banda hu aur main tere ahad aur waade par (Qayam) hu, jis qadar meri taaqat hai mai teri panah mai aata hu uske shar se jo maine kiya, Apne Ap par teri Nemat ka ikraar karta hu. Aur apne gunah ka aetraaf karta hu pas mujhe baksh de kyunki nahi hai koi gunahon ko bakshne wala magar tu.

Daleel: Sahih al Bukhari, hadees- 6306. 

Note: Jo koi bhi subah (ya din) ke waqt kaamil yakin ke sath padhe aur shaam se pahle mar jaaye to Jannati hoga aur agar shaam ko padhle aur subah se pahle mar jaaye to Jannati hoga.

__________________________________________________________________________

11۞ RasoolAllah yeh 3 Duae mangte the. [Tamaam 1 martaba Subah aur Shaam]

Subah:
اللَّهُمَّ بِكَ أَصْبَحْنَا وَبِكَ أَمْسَيْنَا وَبِكَ نَحْيَا وَبِكَ نَمُوتُ وَإِلَيْكَ الْمَصِيرُ

Sham: 
اللَّهُمَّ بِكَ أَمْسَيْنَا وَبِكَ أَصْبَحْنَا وَبِكَ نَحْيَا وَبِكَ نَمُوتُ وَإِلَيْكَ النُّشُورُ

Subah:

[Allahumma bika amsayna wa bika asbahna, wa bika nahya wa bika namoot wa ilayka’al-maseer]

Aye Allah! Humne tere naam ke saath subah ki aur tere naam ke saath shaam ki aur tere hee naam ke sath hum zindah hai aur tere hee naam ke saath hum marenge aur tere hee taraf paltanaa hai.

Sham:

[Allahumma bika asbahna wa bika amsayna, wa bika nahya wa bika namoot wa ilayka’an-nushoor]

Aye Allah! Hamne tere naam ke saath shaam ki aur tere naam ke sath subah kiaur tere hee naam ke sath hum zindah hai aur tere hee naam ke saath hum marenge aur tere hee taraf marr kar uthanaa hai.

Daleel : Jamia Tirmizi, hadees-3391. Classed as sahih by darussalam.
__________________________________________________________________________


اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَافِيَةَ فِي الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ ، اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِي دِينِي وَدُنْيَايَ ، وَأَهْلِي وَمَالِي ، اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَاتِي ، وَآمِنْ رَوْعَاتِي ، اللَّهُمَّ احْفَظْنِي مِنْ بَيْنِ يَدَيَّ وَمِنْ خَلْفِي ، وَعَنْ يَمِينِي وَعَنْ شِمَالِي ، وَمِنْ فَوْقِي ، وَأَعُوذُ بِعَظَمَتِكَ مِنْ أَنْ أُغْتَالَ مِنْ تَحْتِي

[Allahumma inni as’aluka al-‘aafiyah fi’l-dunya wa’l-aakhirah. Allahumma inni as’aluka al-‘afw wa’l-‘aafiyah fi deeni wa dunyaaya wa ahli wa maali. Allahumma astur ‘awraati wa aamin raw‘aati. Allahumma  ihfazni min bayna yadayya wa min khalfi wa ‘an yameeni wa ‘an shimaali wa min fawqi wa a’oozu bi ‘azamatika an ughtaala min tahti]

Aye Allah mai tujhse sawal karta hu aafiyat ka duniya aur aakhirat mein, Aye Allah! Mai tujhse sawal karta hu maafi aur aafiyat ka mere Deen mein aur meri duniya mein aur mere gharwalo mein aur mere maal mein. Aye Allah! Parda daal meri chupi chizon par aur aman de meri ghabarahto ko, Aye Allah! Meri hifazat farmaa mere aage se aur mere piche se aur mere daaye se aur mere baaye se aur mere upar se. Aur main panah mein aata hu teri azmat ki ke achanak niche se halaak kar diya jaau.

Daleel: Sunan Abu Dawud, hadees- 5074. (Sahih)
__________________________________________________________________________


اللَّهُمَّ عَالِمَ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ فَاطِرَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ رَبَّ كُلِّ شَيْءٍ وَمَلِيكَهُ أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ نَفْسِي وَمِنْ شَرِّ الشَّيْطَانِ وَشِرْكِهِ

[Allahumma alimal-ghaibi wash-shahadati faṭiras-samawati wal-arḍ, rabba kulli shai’in wa malikahu, ash-hadu an la ilaha illa anta, a`ūzu bika min sharri nafsi wa min sharrish-shaiṭani washirkihi]

Ya Allah! Gaib aur haazir ke jaanne wale, aasmano aur zameen ke paida karne wale, Har chiz ke Malik, Mai gawahi deta hu ki nahi hai koi Mabood magar Tu, Mai apne nafs ke burai se aur shaitaan ke sharr se aur uskey (mere kaamon mai) shareek hone se Teri Panaah chahta hu.

Daleel: Jamia Tirmizi, hadees- 3392. Imam Tirmizi ne is hadees ko Hasan Sahih kaha hai.

Note: Ye dua subah, sham aur bistar pe jane waqt padhna hai.

__________________________________________________________________________

۞ Kuch digar Zikr aur Azkaar

۩ Taubah aur istagfar karna sunnat hai. [100 martaba din bhar me]

آسْتَغْفِرُ اللَّهَ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ

[Astaghfirullaha wa atubu ilayh]

Daleel: Sahih al Bukhari, hadees- 6307. Sahih Muslim, hadees- 6858.

•٠•●●•٠•

۩ Subhan Allah wa bihamdihi [100 martaba Subah aur Sham]

سُبْحَانَ اللَّهِ وَبِحَمْدِهِ

[SubhanAllah wa bihamdih]

Daleel: Sahih al Bukhari, hadees- 6405. Sahih Muslim, hadees- 6842, 6843.

•٠•●●•٠•

۩ 4 Fazeelat wale Azkaar [Har Azkaar 100 martaba din bhar me]

1. سُبْحَانَ اللّهِ

[SubhanAllah]

100 gulaam aazad karne ka sawab

2. الْحَمْدُللّهِ

[Alhamdulillah]

100 ghode jihaad me bhejne ka sawab

3. اللّهُ اَكْبَرُ

[Allahu  akbar]

100 oont (camel) Allah ki raah mein Qurbaan karne ka sawab

4. لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ

[La ilaha illallah]

Zameen aur aasmaan ko bhar dete hain

Daleel: Sunan Kubra lil Nisai, hadees- 10680.

•٠•●●•٠•

Allah (swt) ne Rasool'Allah ﷺ ko Jannat ka khazana ata farmaya (wo ye kalimaat hai)

لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ

[La hawla wala quwwata illa billah]

Nahi hai (Gunah se bachne ki) himmat, aur nahi hai (neki karne ki) taakat magar Allah ke toufeek se.

Daleel: Sahih al Bukhari, hadees- 6409. Sahih Muslim, 
hadees- 6862. 


•٠•●●•٠•

Rasoolullah ﷺ ne mushkil haalat me aur Ibrahim (a.s) ne aag main dale jaatey waqt ye kalimaat padhe :

حَسْبُنَا اللَّهُ وَنِعْمَ الْوَكِيلُ‏

[Hasbunallahu wa ni'mal-wakeel]

Hamne Allah pe bharosa kiya aur Wohi behatarin kaarsaaz (Madagaar) hai.

Daleel: Surah aal e Imran, Ayat-173. Sahih al Bukhari, hadees- 4563.

•٠•●●•٠•

Surat Baqarah ki aakhari 2 aayat ki tilaawat (Raat 1 baar) bande ke liye (Nafaa dene main) kaafi ho jaati hai.

Daleel: Sahih al Bukhari, hadees- 4008. Sahih Muslim, hadees-1878.

•٠•●●•٠•

Surah Mulk tilawat karne wale shaksh ke liye (raat 1 baar) yeh surate sifaarish karti rahengi hatta ke uski bakhshish kar di jaayegi.

Sunan Abu Dawud, hadees-1400. Classed as (Hasan)

•٠•●●•٠•

Durud shareef padhne wala shaksh (10 martaba subah aur shaam) RasoolAllah ﷺ ki sifarish ka haqdaar ho jaata hai.

Daleel: Majmau' al-Zawa'id lil Haythami, hadees- 17022.

Note: Is Durud se murad Namaz wala Durud e Ibraheemi hai (Allahumma salle'ala.....)

•٠•●●•٠•

Allah (swt) ki Hamd aur uske Rasool ﷺ par Durud padhna, hamaari Du'aawon ki qubuliyat ka behatareen zariya hai.

Daleel: Jamia Tirmizi, hadees- 593. Classed as hasan by darussalam.

Note: Rasool'Allah ﷺ ne ayat e Durud (Surah Ahzaab, ayat- 56.) ke jawaab main Namaz wala Darood E Ibrahimi taalim farmaya tha : Sahih al Bukhari, hadees- 4797. Sahih Muslim, hadees-908.

•٠•●●•٠•

Qayamat ke din ungliya humare zikr ki gawahi dengi.

Daleel: Sunan Abu Dawud, hadees- 1501. (Hasan)

•٠•●●•٠•

Hame Whats App par join karein: +9779868212118