اقرأ باسم ربك الذي خلق

Showing posts with label Others. Show all posts
Showing posts with label Others. Show all posts

30 Sept 2023

Somwar Aur Jumeraat ka Ikhatta Roze Na Rakh Sake Toh Kya Sirf Somwar Ka Roza Rakh Liya Jaaye ?

Somwar Aur Jumeraat ka Ikhatta Roze Na Rakh Sake Toh Kya Sirf Somwar Ka Roza Rakh Liya Jaaye
hi     ur   

Sawal:

Kya agar Somwar Aur Jumeraat ka Ikhatta Roze Na Rakh Sake Toh Kya Sirf Somwar Ka Roza Rakh Liya Jaaye?

Jawab:

Alhamdulillah

"Hafte me do mazkoora yaum ke rozo me se ek roza rakhne me koi harj nahi, in ayyam ke roza rakhna sunnat hai wajib nahi, isliye jo somwaar (peer) aur jumeraat dono roze rakhta hai to us ne khair e azeem waala amal kiya, aur dono ko jama karna aur dono roze rakhna wajib nahi.

Balke hafte me dono roze rakhna mustahab hai, isliye ke sahih ahadees me Nabi ﷺ se ye dono roze rakhna sabit hai."

Majmu Fatawa ash Shaykh Ibn Baz (15/386).

•٠•●●•٠•

Read More »

1 Feb 2023

Ek Sahabi jo Rasoolullah ﷺ ko Hasaya karte The

Ek Sahabi jo Rasoolullah ﷺ ko Hasaya karte The
hi   

۩ Umar ibn al-Khattaab r.a. riwayat karte hai ke Nabi ﷺ ke zamane me ek shakhs, jis ka naam Abdullah tha aur wo Himaar (donkey) ke laqab se pukare jaate the, woh aanhazrat ﷺ ko hasaya karte the aur aanhazrat ﷺ ne inhe sharaab peene par maara tha toh inhen ek din laaya gaya aur Aap ﷺ ne un ke liye hukum diya aur inhe maara gaya.

Haazreen me se ek sahib ne kaha ki Allah is par laanat kare! Kitni martaba ise laaya ja chuka hai. Aap ﷺ ne farmaya ke in par laanat na karo. wallah maine in ke mutalliq yahi jaana hai ke ye Allah aur us ke Rasool se muhabbat karte hai.

Sahih al Bukhari, kitab al hudood (86), hadees- 6780.

Is hadees par Fath al baari ki sharah bhi padhein.

۩ Al-Isaabah fi Tamyeez as-Sahaabah (6/366) me likha hai:

'Wo r.a. ye kaam Rasoolullah se mazak kar ke kiya karte the aur chahte the ki isse Rasoolullah ﷺ khush ho jaaye, aur Rasooluallah bhi is mazak ko qubul karte aur hasa karte the, aur is par koi tanqeed nahi karte the, Aur jo kuch unhone khareed kar Aap ko tohfe me diya, unki taraf se raqam ada karte the. Isliye ke Aap ﷺ jaante the ke ye kaam wo sirf Aap ﷺ ki mohabbat me karte hai.'

•٠•●●•٠•
Read More »

30 Nov 2022

Allah Ki Pakad Bahut Sakht Hai

Allah Ki Pakad Bahut Sakht Hai
hi   

Allah farmate hai,

'Beshak Tumhare Rabb ki Pakad badi sakht hai.'

Surah Buruj (85), ayat- 12.

۩ Hazrat Abu Hurairah r.a. ne bayaan kiya ke hum Nabi ﷺ ke saath khaibar ki ladayi ke liye nikle. Is ladayi mein hume sona, chaandi ganimat mein nahi mila tha balke dusre amwaal, kapde aur samaan mile tha. Fir Bani ad-Dubaib ke ek shakhs Rifa'a bin Zaid naami ne RasoolAllah ﷺ ko ek gulaam hadiya (tohfa) me diya, ghulam ka naam Mid'am tha.

Fir RasoolAllah ﷺ waadi-e- al-Qura ki taraf mutawajja huye aur jab aap waadi-e- al-Qura mein pahuch gaye to Mid'am ko jab ke wo Aap ﷺ ka kijaawa durust kar raha tha, ek anjaan teer aa kar laga aur uski maut ho gayi.

Logon ne kaha ke jannat use mubarak ho, lekin Rasool ﷺ ne farmaya ke hargiz Nahi!, Us zaat ki qasam jiske haath mein meri jaan hai, wo kambal jo isne taqseem se pahle khaibar ke maal-e-ganimat mai se chura liya tha, wo is par aag ka angaara ban kar jal raha hai.

Jab logon ne yeh baat suni to ek shakhs chappal ka tasma ya do (2) tasme le kar Aap ﷺ ki khidmat mein haazir hua, (matlab jo bina ijazat liya tha wo wapis le aya). Aap ﷺ ne farmaya ke yeh aag ka tasma hai ya do (2) tasme aag ke hai.

Sahih al-Bukhari, Book of Oaths and Vows, hadith- 6707.

Gaur karne ki baat hai ki Allah ne us sahabi e rasool ko nahi chhora jo Aap ﷺ ki khidmat karta tha toh ap aur hamari kya baat hai agar Allah pakadne par ajaye toh. Isi liye Allah se hamesha darte rahna chahiye aur uske mana kiye hue kaam se door rahna chahiye.

•٠•●●•٠•

Read More »

25 Feb 2021

Namaz e Juma ke liye Namaziyo ki Taadaad

Alhmdulillah..

Fatawa committee se sawal kiya gaya,

'Namaz e Juma sahih hone ke liye kitne log hone zaruri hai, kyunke baaz log kahte hai ke chalees ashkhaas na ho toh Juma sahih nahi, agar chalees se kam ho toh woh namaz zuhar ada karenge?'

Committee ka jawab tha:

'Ulema e karaam ke sahih raaye ke mutabik., Musalmano par Juma ke roz bastiyo aur dehato me namaz e Juma qayam karna wajib hai, is ke sahih hone ke liye jamaat ki shart hai, is me kisi moayyan (specific) tadaad ki koi shari daleel nahi milti, namaz jume ke sahih hone ke liye teen ya teen se zyada ashkhaas ka hona kaafi hai, jis shakhs par namaz jume wajib ho us ke liye chalees se kam tadaad hone ki bina par namaz e zuhr ada karni jaiz nahi.'

Allah hi taufeek wala hai, Allah hamare Nabi Mohammad  aur un ki aal aur sahaba e karam par apni rahmate nazil farmaye.

Fataawaa Al-Lajnah Al-Daa’imah, Part 8, P. 178.

•٠•●●•٠•

Read More »

4 Dec 2020

Abu Jahal ke Katl ka Waqya

Abu Jahal ka asal naam 'Amr ibn Hisham' tha. Ise aam taur par Abu Hakam (father of wisdom) kaha jaata tha. Lekin isne khud apne amal se Abu Jahal (father of ignorance) ka laqab kama liya. Ye mushrikeen e Mecca me se tha aur Rasoolullah ke Deen ke sakht khilaf tha. Ye Islam ke dushmano me se tha. Aaiye dekhte hai iska katl kaise hua:

۩ Abdur Rahman bin Auf r.a. riwayat karte hai,

'Badr ki ladayi me, mai saff ke sath khada hua tha. Maine jo daayen baayen jaanib dekha, toh mere dono taraf qabeela e Ansaar ke do nau umar ladke the. Mai ne arzoo ki Kaash! mai un se zabardast zyada umar waalo ke beech me hota.

Ek ne meri taraf ishara kiya, aur poocha chacha! Aap Abu Jahal ko bhi pahchante hai? Maine kaha ke haan! lekin bete tum logo ko is se kya kaam hai? Ladke ne jawab diya mujhe maloom  hua hai ke woh Rasoolullah ﷺ ko gaaliyan deta hai, Us zaat ki qasam! jis ke haath me meri jaan hai agar mujhe woh mil gaya to us waqt tak mai is se juda na honga jab tak ham me se koi jis ki qismat me pahle marna hoga, mar na jaaye, mujhe is par badi hairat hui.

Phir dusre ne ishara kiya aur wohi baate us ne bhi kahi. Abhi chand minute hi guzre the ke mujhe Abu Jahal dikhayi diya jo logon me (kuffar ke lashkar me) ghoomta fir raha tha. Mai ne un ladko se kaha ke jis ke mutalliq tum log mujh se puch rahe the, woh saamne (firta huwa nazar aa raha) hai.

Dono ne apni talware sambhali aur us par jhapat pade aur hamla kar ke use katl kar daala. Us ke baad Rasool ﷺ ki khidmat me haazir ho kar Aap ko khabar di, Aap ﷺ ne poocha ke tum dono me se kis ne use maara hai? Dono naujawano ne kaha ke mai ne katl kiya hai. Is liye Aap ne un se poocha ke kya apni talwarein tum ne saaf kar li hai? Unhone  arz kya ke nahi.

Fir Aap ne dono talwaro ko dekha aur farmaya ke tum dono hi ne use maara hai. aur is ka samaan Muaz bin Amr bin Jamuh ko milega. Wo dono naujawaan Muaz bin Afra aur Muaz bin Amr bin Jamuh the.'

Sahih al Bukhari, kitab al Farz al Khumus (57), hadees- 3141.

•٠•●●•٠•

Read More »

7 May 2020

Quran ka Saat (7) Qiraat Me Nuzul

 en  -
Alhamdulillah..

۞ Pahli baat

Shuru me Quran majeed sirf ek hi harf (lahje) me nazil hua tha lekin Nabi ﷺ Jibraeel a.s. se zyada ka mutaalba karte rahe hatta ke unhone Nabi ko saat lahjo me jo ke kaafi wa shaafi hai Quran majeed padhaya aur is ki daleel yeh hai ke,

۩ Ibn Abbas r.a. bayan karte hai ke Nabi ﷺ ne farmaya,

'Jibreel a.s. ne mujhe Quran majeed ek lahja me padhaya toh maine un se zyada ka mutaalba kiya toh unhone zyada kar diya toh mai mutaalba karta raha aur woh zyada karte rahe hatta ke saat lahjo me ja kar khatam hua.'

Sahih al Bukhari, kitab fazail al Quran (66), hadees- 4991.

۞ Dusri baat:

Ahruf ka matlab kya hai?

Is ke matlab me sab se acha aur behtar qawl yeh hai ke qirat ke saat tareeqe jo lafzi taur par mukhtalif hai aur matlab me muttfiq aur agar un ke matlab me ikhtilaaf bhi ho toh woh ikhtilaaf tanawu aur taghayyur hai na ke ikhtilaaf ta'ariz aur tazaad.

[is article ka english version padhe]

۞ Teesri baat:

Baaz ulama ka kahna hai ke Ahruf ka matlab Arab ki lughat hai, lekin yeh matlab Umar bin khattab r.a. ki hadees ki buniyaad par sahih nahi, woh kahte hai ke,

'Mai ne Hishaam ibn hakeem r.a. ko surah al Furqaan apni qirat ke alawa kisi aur qiraat me padhte hue paaya aur Rasool ﷺ ne ye surat mujhe padhai thi, mai qareeb tha ke is par jaldbaazi karta lekin maine unhe waqt diya hatta ke unhone woh surah khatam karli, fir maine unhe unki chadar se pakda aur Nabi ke paas laaya aur kahne laga, Aye Allah ke Rasool maine inhe surah Furqaan is tarha padhte hue paaya jo ke Aap ne mujhe padhai thi ye uske khilaaf hai.

Toh Rasool ﷺ farmaane lage, Padho! Toh unhone usi tarha use padhi jis tarha maine unhe suna tha toh Nabi ﷺ farmaane lage, 'Isi tarha nazil hua hai, fir mujhe kahne lage ke tum padho toh maine bhi padhi aur Aap farmaane lage ke isi tarha nazil hua hai, Yaqeenan Quran majeed saat harfo (lahjo) me nazil kiya gaya hai. Toh tum jo bhi us me mayassar ho padho.

Sahih al bukhari, kitab al khusumaat (44), hadees- 2419.

Aur yeh malum hai ke Hishaam r.a. Quraish me se Asadi hai aur Umar r.a. Quraish me Aqawi ke sath talluk rakhte hai, aur dono hi Quraishi hai. Aur Quraish ki toh ek hi zubaan (lugat) hai, Toh agar huroof ka ikhtilaaf lughaat me ikhtilaaf hota to yeh dono Quraishi sahabi aapas me ikhtilaaf na karte.

Aur is mas'ala me ulama e karaam ne chalees (40) ke qareeb aqwaal naqal kiye hai, aur un me se raajeh qawl shayad wohi hai jo ke hamne zikr kiya hai. wa Allahu aalam.

۞ Chauthi baat

Hadees e Umar r.a. se yeh waazeh hota hai ke huroof mutaddid alfaaz me nazil hue hai is liye ke Umar r.a. ka inkaar huroof me tha nah ke matlab me, aur fir ye huroof me ikhtilaaf, ikhtilaaf Tazaad nahi balke ikhtilaaf tanawu hai jaisa ke Ibn Masood r.a. ka qawl hai ke,

'Ye isi tarha hai ke jis tarha aap yeh kahe ke- halumma, aqbil or ta’aal (ye teeno ka matlab ek hi hai jisse murad 'Yaha Aao' hai).

۞ Paanchwi baat

Ab rahi 'Qiraat al Saba' (saat qirat) ki tahdeed to yeh tahdeed Quran wa sunnat me se nahi ki gai balke Ibn Mujaahid r.h. ka apna ijtihad hai, toh log ye gumaan karne lage hai ke saat huroof se Qiraat e Saba hi murad hai is liye ke yeh tadaad me ek jaise hi hai.

Yeh adad ya toh ittafaqi taur par aur ya fir un se qasdan hai taa ke yeh tadaad Ahruf e saba se mutabqat ikhtiyaar kar le, aur baaz logo ka jo yeh gumaan hai ke Ahruf e Saba se murad yahi qirat e Saba hai toh yeh un ki galti hai, aur ahle ilm se yeh baat maroof nahi.

Balke qiraat Sabah, ahruf sabah me se ek harf hai aur yahi woh harf hai jis par Usman r.a. ne Musalmanoon ko jama kiya tha.

۞ Chati baat

Usman r.a. ne jab mushaf nuskh kiya toh use ek hi harf par tayyar kiya lekin unhone is par nuqte aur aarab (zer, zabar wagaira) na lagayi taake is rasam me wusat rahe aur dusre lahjaat (huroof) ka bhi ahtamaal rahe toh jo is me raha is ki qirat ban gai aur jo na tha us ko nuskh kar diya gaya, aur yeh kaam is liye hua ke qiraat me log ikhtilaaf karne lage toh Usmaan r.a. ne inhe ek nuskhe par jama kar diya taa ke ikhtilaaf khatam ho jaaye.

۞ Saatvi baat

Saat Qirat ke Qaari ye hai:

1. Naafi al-Madani

2. Ibn Katheer al-Makki

3. Aasim al-Kufi

4. Hamzah al-Zayaat al-Kufi

5. Al-Kisaa’i al-Kufi

6. Abu Amr ibn al- Ala al-Basri

7. Abdullah ibn Aamir al-Shaami.

In sab me se qirat ki sanad ke aetebaar se sabse mazbut Naafi aur Aasim hai. Aur in me se sabse faseeh Abu Amr aur al Kisaa’i hai.

Wallah taala aalam.

source: islamqa.info

Note: The article has been edited without changing the meaning from the primary source.

•٠•●●•٠•

Related

۩ Quran ko likhne waala kaun tha aur ise kis taraf jama kiya gaya
Read More »

2 May 2020

Family Planning | Operation Karwana | Nas-bandi | Abortion | Pills

Assalamualaikum w RahmatUllahi w brakatuhu..

Islam logo ko Shadi biyah aur Aulad paida karne ki targheeb deta hai taake Ummat e Muslimah ki taadaad me izafa ho, Aur Nabi ﷺ  ko Qayamat ke din diger tamam aqwam ke saamne fakhr ho.

۞ Bachhe na ho isliye Operation karwa lena

Nikah me Shariah ka ek maqsad ye hai ke bachhe paida karein aur nasal e insani ko mustaqil banaye.

Lehaza aisa koi bhi kaam jaiz nahi hai jo mustaqil taur par aulad paida karne se bachaye, siwaye zarurt ke muamlat me.

۩ Kis Surton me Operation ki Ijazat hai

Agar Doctors ke mutabik zyada bachhe paida karne se aurat ko nuqsan pahonchega, Ya uski bimari me izafa ho jayega, Ya ye andesha hai ke pregnancy ya delivery aurat ki maut ka sabab banegi toh fir shauhar ki razamandi (permission) ke sath hamal (pregnancy) rokna jaiz hai.

Shaykh Ibn e Baaz r.h. se ek aisi aurat ke bare me pucha gaya jisne das (10) bachho ko janam diya tha aur kisi aur hamal (pregnancy) ki wajah se use nuqsan pahunchega to wo aurat shauhar ki ijazat se operation karwa sakti hai aur apne nalko (tubes) ko bandhwa sakti hai.

Dekhye temporary taur par hamal (pregnancy) rokna aur mukhtalif wasail (sources) ka istemal karna zarurat aur sharait ke lehaz se haram nahi hai.

Dekhye Mazhab e Islam bahut hikmat waala mazhab hai. Aur jo bhi hame hukum diya jata hai aur jis baat se roka jata hai usme hamara hi fayeda hota hai.

Wo log jo nasbandi karwa lete hai unka ye amal jaiz nahi hai balke haram hai, Kyuke isme insan ka bachha paida karne ki salahiyat aur quwwat ko khatam kar diya jata hai.

Aksar aisa bhi hota hai ke Maa baap nasbandi karwa baithe hai aur jo unke bachhe the unka inteqal ho jata hai toh is tarha toh wo hamesha ke liye aulad se mahrum ho jate hai.

Aur kabhi aisa bhi hota hai ke aurat ne nasbandi karwali aur uske shauhar ka inteqal ho gaya ya use Talaq ho gayi aur us Aurat ne dusri shadi ki aur dusra shauhar apni aulaad ka khwahishmand ho,

Ya ye bhi ho skta hai ke mard ne nasbandi karwali aur uski biwi ka inteqal hogaya ya talaq ho gayi aur phir wo dusri shadi karta hai aur ab nayi biwi aulad ki khwahishmand ho.

۞ Temporary Taur Par Bachho ki Rok-tham ke Mukhtalif Tarike Aur Unki Ijazat

Ek mahdood (limited) muddat tak hamal ki rok tham ke zaraaye (sources) ka istemal ki ijazat hai, Is shart par ke ye nuqsandah asraat se paak ho.

1- Injection Lagwana

Aap temporary taur par Pregnancy ki rok tham ke liye Injection ke bare me kisi Qabil e Aetemad Doctor se ruju kar sakti hai.

2- Birth Control Pills ka Istemal

Jab tak Aurat in 2 sharait par puri nahi utarti use pills ke istemal ki ijazat nahi hai.

1- Pregnancy se usko Jismani kamzori ya bimari ka khatra hoga ya har saal Pregnancy bardasht na hone ki wajah se ye nuqsandah sabit ho.

2- Shauhar ki ijazat ke bagair Pills ka istemal jaiz nahi jab ke shauhar bacche ka khwahishmand ho.

In do sharait ke pura hone par Pills ke istemal ki ijazat hai magar permanently nahi.

Aur Doctors ke mutabik Pills ka zyada istemal aurat ko andruni (internal damage) taur par bahut nuksan pahuncha sakta hai.

3- Condom ka Istemal Karna

Condom Istemal karne ki ijazat hai jab tak isse koi takleef na ho aur dono shauhar aur biwi ki razamandi shamil ho.

4- Azl karna (ejaculating outside the vagina)

Hazrat Jabir r.a. farmate hai ke ham log nuzul e Quran ke zamane me 'Azl' karte the. (Yani inzal ke waqt aurat se alag ho jate the)

Sahih al Bukhari, kitab un nikah (67), hadees- 5208, 5209. 

Muslim Sharif me Itna aur hai,

'Ye baat Nabi ﷺ tak pahunchi to Aap ﷺ ne Mana nahi kiya.'

Sahih Muslim, kitab un nikah (16), hadees- 3561.

'Azl' (cell discharge) ke mutallik aur bhi ahadees hai jisse iski ijazat ka pata chalta hai.

۩ Shaykh Ibn Taymiyyah farmate hai,

'Kuch Ulema ke mutabik ye amal haraam hai magar char Imam ke nazdeek ye jayez hai aur ye bhi ke biwi ki ijazat aur marzi ke khilaf aisa na kare (kyunki isme uski haqtalfi hai). Aur Allah sab se behtar janta hai.'

Majmoo’ al-Fataawa, 32/110.

Musalmano ko ye karna chahiye ke wo zyada se zyada bachhe paida karne ki koshish kare, kyunke ye Nabi ﷺ ka Hukm hai ke 'Shadi usse karo jo Muhabbat karne wali aur zarkhez (fertile) hai, Kyun ke mujhe aqwaam ke saamne tumhari badi tadad par fakhr hoga.'

Sunan Abu Dawood, hadees- 2050 | Hasan Sahih

Wo log jo gareebi ke dar se apni aulaado ko maar daalte hai (abortion, etc) toh aise logo se Allah s.w.t. farmate hain ke,

'Aur Gurbat ke khauf se apne bachho ko mat maaro. Ham unke sath sath Apko bhi faraham karenge. Yaqinan unka katal bahut bada gunah hai.'

Surah Isra (17),  ayat- 31.

۩ Shaykh ibn e Jibreen farmate hain,

'Hamal (pregnancy) ke khatme Ya rok tham ke liye tibbi ilaj karna jaiz nahi hai siwaye zarurt ke muamlat me,
Jab Doctors ne sabit kar diya ke wiladat (delivery) se uska nuqsan hoga ya iski bimari zyada badh jayegi ya khadsha hai ke wiladat ki wajah se maut waqaye hojaygi.
Lekin ye zaruri hai ke shauhar hamal ke khaatme ya rok tham ke liye ijazat de, Fir jab uzar (bimari) khatam ho jaye toh aurat ko mamool par lautna chahiye.'

Fataawa al-Mar’ah al-Muslimah (2/977).

۩ Aur Allah par Tawwakal karo agar tum waqai Momin ho

Surah Maida (5), ayat- 23.

Allah s.w.t. hame haraam se mahfooz rakhe aur halaal kaam karne ki taufeeq ata farmaye.

Ameen Ya Rabbul Aalameen

•٠•●●•٠•

Prepared by:- A. Sayed
Read More »

29 Apr 2020

Hai Koi Dua Maangne Waala | Hadees e Qudsi


Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Jab Raat ka pahla tihai hissa guzar jaata hai toh Allah taala aasman e duniya par nuzul farmate hai aur kahte hai ke Mai Baadshah hu, Mai baadshah hu!
Kaun hai jo mujh se dua kare ke mai use qubool kar lu?
Kaun hai jo mujh se sawal kare ke mai use ata karu?
Kaun hai jo mujh se baksish talab kare ke mai use baksh du? Musalsal tuloo e Fajr tak isi tarha hota rahta hai.'

Sahih Muslim, kitab salaat al musafireen (6), hadees- 1773. (pic)

•٠•●●•٠•
Read More »

25 Apr 2020

Ek Neki Par Saat Sau (700) Neki | Hadees e Qudsi


Allah paak farmaate hai,

'Jo log apna maal Allah ki raah kharch karte hain, unke kharch ki misaal aisi hai, jaise ek daana boya (sow) jaaye aur uske saat (seven) baaliya nikle aur har baali mein sau (100) daane ho, isi tarah Allah jiske amal ko chahta hai zyada kar deta hai, woh bada khule haath waala hai aur sab kuch janne waala bhi.'

Surah baqarah (2), ayat- 261.

۩ Ibn Abbas r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne ek hadees e qudsi me farmaya hai,

'Allah talah ne nekiya aur buraiyya muqaddar kar di hai aur unhe saaf saaf bayan kar diya hai pas jis ne kisi neki ka iradah kiya lekin us par amal na kar saka toh Allah taala ne us ke liye ek mukammal neki ka badla likha hai aur agar us ne irada ke baad us par amal bhi kar liya toh Allah talah ne us ke liye apne yaha das guna se saat sau guna tak nekiya likhi hai ya fir us se bhi badh kar kayi guna aur jis ne kisi burayi ka irada kiya aur phir us par amal nahi kiya toh Allah taala ne us ke liye apne yaha neki likhi hai aur agar uss ne irada ke baad us par amal bhi kar liya toh apne yaha us ke liye ek burayi likhi hai.

Sahih al bukhari, kitab al riqaaq (81), hadees- 6491.

SubhanAllah kitna raheem hai wo jiske gunahgaar bande hai ham. Aye Allah hame muaf kar de aur hame qayamat ke din apne gazab se bacha lena beshak tu hi hifazat karne waala hai, Aye hamare Rab hame jahannam ke aag se bacha le. aameen.

•٠•●●•٠•

Read More »

14 Apr 2020

Narmi Kare :)


۩ Ammi Ayesha r.a. farmati hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Beshak Allah tala narmi karta hai aur narmi ko pasand karta hai Aur narmi pe wo sawab deta hai jo sakhti pe nahi deta, aur wo is tarha kisi aur cheez par ata nahi karta.'

Sahih Muslim, kitab al birr was silati wal adab ﴾45﴿ hadees- 6601.

۩ Ammi Ayesha r.a. farmati hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Jis cheez me narmi ho toh wo use khubsurat bana deti hai aur jis cheez se bhi narmi nikaal di jaati hai use badsurat kar deti hai.'

Sahih Muslim, kitab al birr was silati wal adab ﴾45﴿ hadees- 6602.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki ek aarabi (dehati) khada ho kar masjid me peshab karne laga. Toh log us par jhapatne lage. (Ye dekh kar) Rasoolullah ﷺ ne logo se farmaya ke use chhor do aur us ke peshab par paani ka bhara hua dol ya kuch kam bhara hua dol baha do, kyuki tum narmi ke liye bheje gaye ho, sakhti ke liye nahi.

Sahih al Bukhari, kitab al wuzu (4), hadees- 220.

۩ Anas r.a. riwayat karte hai,

'Maine das saal tak Rasool ﷺ ki khidmat ki. Unhone mujhe kabhi 'uff' tak nahi kaha aur unhone mujhe kabhi kisi chiz par nahi toka ki tumne ye kyu nahi kiya, jo kaam maine nahi kiye ya fir us chiz ke bareme ye nahi kaha ki tumne ye kyu kiya, jo kaam maine kiye the.'

Al Adab al Mufrad, hadees- 277. (Sahih)

۩ Ammi Ayesha r.a. farmati hai ki jab bhi RasoolAllah ﷺ ko kisi do chizo me ikhtiyar (choice) diya jaata tha wo un dono maise hamesha aasan chiz ko chunte the, jab tak ke usme koi gunah shamil na ho lekin agar usme gunah hota toh wo logo me us chiz se sabse zyada duri ikhtiyar karte the.

Sahih al Bukhari, kitab al adab ﴾78﴿, hadees- 6126. Sahih Muslim, kitab al fazail ﴾43﴿, hadees- 6048.

۩ Abu Hurairah r.a. se riwayat hai, Nabi ﷺ ne farmaya,

“Beshak Deen aasaan hai, aur jo shakhs deen me sakhti karega toh deen us par ghalib ajaayga. Toh shiddat pasand (extremist) mat bano lekin koshish karo ki takmeel (excellence) ke kareeb raho aur khush raho aur subha aur dopaher aur raat ke aakhri hisse me ibadat karke (Allah se) se madad haasil karo.”

Sahih al Bukhari, kitab al eemaan ﴾2﴿, hadees- 39.

۩ Abu Masud r.a. riwayat karte hai ke ek shaks ne kaha ke Aye Allah ke Rasool qasam Allah ki mai subah ki namaz me falan ki wajah se der me jata hu, kyunki woh namaz ko bahut lamba kar dete hai, raawi e hadees kahte hai ki maine RasoolAllah ﷺ ko naseehat ke waqt us din se zyada (kabhi bhi) itne gusse me nahi dekha. Aap ﷺ ne farmaya ke tum me se kuch log yeh chahte hai ke (aawam ko ibadat se ya deen se) nafrat dila de. Khabardaar tum me logo ko jo shakhs bhi namaz padhaye to choti padhaye kyunki namazio me kamzor, budhe aur zarurat wala sab hi qisam ke log hote hai.

Sahih al Bukhari, kitab al aazaan ﴾10﴿, hadees- 702.

۩ Abdullah bin Abi Qatada riwayat karte hai ki mere walid ne kaha ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Mai namaz der tak padhne ke iradah se khada hota hu, lekin kisi bachhe ke rone ki aawaz sun kar namaz ko halki (shorter) kar deta hu, kyuki uski maa ko (jo namaz me shareek hogi) taqleef me daalna bura samajhta hu.'

Sahih al Bukhari, kitab al aazaan (10), hadees- 707.

۩ Muawiyah bin al-Hakam r.a. kahte hai,

Mai Rasoolullah ﷺ ke sath namaz padh raha tha ke logo me se ek aadmi ko cheenk aayi toh maine kaha, '(يرحمك الله) Allah tujh par raham kare.' Logo ne mujhe ghoorna shuru kar diya. Mai ne (dil me) kaha, 'Meri maa mujhe gum paaye (arabi muhawra), tum sab ko kya ho gaya hai ke mujhe ghoor rahe ho'. Fir wo apne hath apne raano par maarne lage. Jab mai ne unhe dekha ki wo mujhe chup kara rahe hai (toh mujhe ajeeb laga) lekin mai khamosh raha.

Jab Rasoolullah namaz se farig ho gaye, mere maa baap Aap par qurban! Mai ne Aap se pahle aur Aap ke baad, Aap se behtar koi sikhane waala nahi dekha. Allah ki qasam! na toh aap ne mujhe daanta, na mujhe maara aur na mujhe bura bhala kaha.

Aap ne farmaya, 'Ye namaz hai, isme kisi kism ki guftugu nahi karni chahiye, ye toh bas tasbeeh wo taqbeer aur Quran ki tilawat hai.'

Sahih Muslim, kitab al masaajid wa mawazihis salaat (5), hadees- 1199.

•٠•●●•٠•

Related Articles:

Read More »

25 Feb 2020

Allah Se Darne Waala Kaun | Ibn Rajab


۩ Hafiz ibn Rajab r.h. kahte hai,

“Haqeeqat me Allah se darne wala wo nahi jo roye aur ankho se aansu jaari kar le balki haqeeqat me Allah se darne wala wo hai jo haraam kaamo ko jis ki wo khwahis rakhta hai aur us par qadir bhi hai fir bhi Allah ke khauf ki wajah se use chor de.”

Rasail ibn Rajab, 1/163.

•٠•●●•٠•
Read More »

5 Feb 2020

Baaz Masaajid Me Namazo ka Sawaab


۩ Abu Saeed Khudri r.a. se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

‘Teen (3) Masaajid: Masjid e Haram, Masjid e Aqsa aur Masjid e Nabawi ke alawa kisi dusri jagah (khaas sawaab) ke liye safar ikhtiyar na karo.’

Sahih al bukhari, kitab fazail as salaat fi masjid makkah wa al madeena (20), hadees- 1189.

۩ Jabir r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Meri masjid (Masjid e Nabawi) me ek namaz padni dusri masjido me hazaar namaz padhne se afzal hai siwaye Masjid al haram ke, aur masjid al haram me ek namaz padhni dusri masjido ki ek lakh namaz se afzal hai.

Sunan ibn e majah, kitab iqamatis salaat (5), hadees- 1406. Ise darussalaam ne sahih karaar diya hai.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Masjid e Nabawi me Ek (1) namaz dusri masaajid ki hazaar (1000) namazo se behtar hai, siwaye khana e Kaaba ke.'

Sahih al Bukhari, kitab fazail as salaat fi masjid makkah wa al madeena (20), hadees- 1190.

۩ Sahl bin Hunaif r.a. se riwayat hai Rasoolullah ﷺ  ne farmaya,

‘Jis shaqs ne ghar mein wuzu kiya fir masjid e Quba gaya aur waha namaz padhi usko Umrah ke baraabar ajar milega.’

Sunan ibn e majah, kitab iqamatis salaat (5), hadees- 1412. Ise darussalaam ne hasan karaar diya hai.

۩ Abdullah ibn Umar r.a. se riwayat hai ke Nabi e akram ﷺ Har hafta ko masjid e Quba me paidal ya sawaar ho kar jaate aur do (2) rakat namaz padhte.

Sahih al bukhari, kitab fazail as salaat fi masjid makkah wa al madeena (20), hadees- 1194.

Read More »

2 Feb 2020

Jism Se Rooh Nikalne ke Baad ka Waaqya


Bara bin aazib r.a. bayan karte hai ke ham Nabi ﷺ ke sath ek ansari sahabi ke janaza me gaye, ham kabr ke paas pahuche toh abhi kabri khodi ja rahi thi. Rasoolullah ﷺ baith gaye aur ham unke ird-gird is tarha baith gaye goya ke hamare sar par parinde ho (yaani nihayat pur sukoon aur khamoshi se baithe the) aur Nabi ﷺ ke haath me chadi thi jis se wo zameen khuraid rahe the. To unhone apna sar uthaya aur farmaane lage, 'Azaab e qabr se Allah taala ki panaah talab karo. Yeh baat Nabi ﷺ ne do ya teen martaba dohrayi fir farmane lage,

'Jab momin banda is duniya se aakhirat ki taraf ja raha hota hai toh aasmaan se safed chehro waale farishte us ke paas aate hai goya ke un ke chehre suraj ho, un ke paas jannat ka kafan aur khushbu hoti hai hatta ke woh is ke saamne jaha tak nigaah pahoche baith jate hai. Fir Malak ul maut aakar us ke sir ke qareeb baithta hai aur kahta hai aye achhi jaan apne Rab ki maghfirat aur razamandi ki taraf chalo'.

Nabi ﷺ ne farmaya ke woh rooh is tarah nikalti hai jis tarah ke mashkizeh (cup) ke muh se pani ka qatra bahta hai, toh farishte use hatho haath lete aur palak jhapakte hi apne hatho me liye hue jannati kafan aur khushbu me lapait lete hai aur is se zameen me paayi jaane wali sab se achi qisam ki kastoori ki khushboo nikalti hai, toh woh use lekar upar chadte hai to woh jis farishte ke paas se bhi guzarte hai woh kahta hai yeh achhi rooh kis ki hai?

To woh kahte hai ke yeh fulaa bin fulaa hai, dunya me use jis, sab se achhe naam se bulaya jata tha, hatta ke woh use aasmani duniya tak jaakar use khulwaate hai toh khol diya jata hai, toh use har aasmaan wale dusre aasman tak pohanchate hai hatta ke saatwe aasman tak jaate hai toh Allah taala farmate hai,

'Mere bande ki kitaab Illiyoon (sabse unchi jannat) me likh do aur use zameen ki taraf lauta do, bilashuba mai ne inhe isi me paida kiya aur  isi me lautaunga aur fir isi me se nikalunga.'

Nabi ﷺ farmate hai ke uski rooh jism me lautayi jati hai toh uske paas do (2) farishte aa kar use baithate aur use kahte hai ke Tera Rab Kaun Hai?
Toh woh kahta hai, Mera Rab Allah Hai,
woh usse kahte hai Tera Deen kya hai?
woh jawab deta hai mera Deen Islam hai,
woh usse sawal karte hai, 'Is shakhs ke baare me tumhara kya khayaal hai jo tum me maboos kiya gaya tha?'
woh jawab dega, Woh Allah ke Rasool hai,
woh usse sawal karte hai, Tumhare ilm me ye jawaab kaise aaya?
woh jawab deta hai, 'Mai ne Allah ki kitab ko padha toh is par eemaan laaya aur iski tashdeek ki.'

Toh aasmaan me aawaz lagayi jaati hai ke mere bande ne sach kaha, is ke liye Jannat ka bistar lagao aur Jannati libaas pahnaao aur Jannat ka darwaaza khol do.

Nabi ﷺ ne farmaya, Us (kabr) me jannat ki hawaye aur khusbhoo aati hai aur jaha tak nigah pahonchta hai waha tak is ki kabr wasee (chawdi) ho jayegi aur farmaya, ke us ke paas khubsurat khubsurat shakal aur khubsurat libaas aur achhi khushboo me ek shakhs aakar kahta hai,

Khush ho jao yahi woh din hai jis ka tumhare saath waada kiya jata tha, toh woh usse kahega ki tum kaun ho, tumhare chehre se zahir ho raha hai ke tum khair (acchaai) laane wale ho, woh jawab dega, Mai tere aamaal e saleha (nek aamaal) hu, woh shakhs kahega, Aye Rab qayamat qayam karde taake mai apne ghar waalo aur maal ko firse dekh lu.

Nabi ﷺ ne farmaya,

Bilashuba jab kafir is duniya se akhirat ki taraf ja raha hota hai to aasman se us ke paas kaale chehre waale khurdara taat (sackcloth) liye farishte aate hai aur us ke paas jaha tak nigah jaati baith jaate hai fir malakul maut aakar us ke sar ke paas baith jata hai aur kahta hai ke aye khabees rooh apne Rab ke gusse aur gazab ki taraf nikal.

Nabi ﷺ ne farmaya, Toh wo rooh pure jism me fail jati hai toh use  jism se is tarah khincha jata hai jis tarah ke bheegi hui rooyi se salakh (skewer) khenchi jati hai, to woh use pakad kar palak jhapakte hi us khurdare taat me rakh dete hai aur is se zameen par paaye  jaane wale gande tareen murdaar ki tarah badbu aati hai toh woh use leker upar chadte hai. Woh farishto me se jis ke paas se bhi guzarte hai woh kahta ke yeh kis ki gandi rooh hai toh woh kahte hai yeh fulaan bin fulaan, us naam ke sath jo zameen me badtareen naam use diya jata tha hatta ke woh aasmani duniya tak pahunchte aur use khulwaate hai lekin nahi khola jata fir Nabi ﷺ ne Allah taala ka ye farmaan padha,

۩ 'Un ke liye aasman ke darwaze nahi khole jayenge aur woh us waqt tak Jannat me bhi nahi daakhil ho sakte hatta ke sui ke naake (hole) me oont daakhil ho jaaye.'

[Surah Araaf (7), ayat- 40]

Toh Allah taala farmayenge ke is ki kitaab sab se nichli zameen me sijjeen ke andar likh do toh iski rooh ko upar se hi fenk diya jayega. Fir Nabi ﷺ ne yeh aayat padhi,

۩ 'Aur jo bhi Allah taala ke sath shirk karta hai woh is tarah hai ke jaise aasman se gire toh use parinde uchak le jaye ya fir use hawa kisi dur daraaz muqam par fenk de.'

[Surah Hajj (22), ayat- 31]

Toh is ki rooh jism me lautayi jati hai aur do farishte us ke paas aakar baithte hai aur kahte hai,

Tera Rab kaun hai?
Woh jawab me kahta hai, 'Haaye mujhe toh koi ilm nahi',
Woh use kahte hai, 'Tera Deen kya hai?'
Woh jawab deta hai, 'Haaye mujhe toh kuch ilm nahi.'
Woh use kahte hai, 'Is shakhs ke baare me tum kya kahte ho jo tumhare andar maboos kiya gaya'
Woh jawab deta hai, 'Haaye mujhe toh us ka ilm nahi.'

Toh aasmaan se yeh aawaz lagayi jati hai ke,

Is ke liye aag ka bistar lagado aur aag ki taraf ka darwaaza khol do toh is se iski garmi aur dhuwa aur badbu aati hai aur qabr us par is qadar tang ho jati hai ke is ki pasliya ek dusre me chali jati hai, aur us ke paas ek badsurat shakal, gande aur badbu-daar kapdo me ek shakhs aata hai aur kahta hai,

Tujhe teri na-pasandeedgi ki khushkhabri hai, yahi woh din hai jis ka tere sath waada kiya jata tha, woh is se sawal karega tum kaun ho? Tumhara toh chehra hi aisa hai jo shar hi shar laata hai, woh jawab me kahta hai ke mai tere bure aamaal hu, toh woh kahega aye Rab qayamat qayam na kar. 

Musnad Imam Ahmad, hadees- 17803. Is hadees ko Saheeh al Jaami, hadees- 1676 me sahih karaar diya gaya hai.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hamari rooh ko nek rooh me shumaar kare aur apne rahmat me hame jagah ata kare. aameen.
Read More »

30 Jan 2020

Maut ke Baad Aankhe Khuli Rahne ki Wajah

en  -
۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Kya tum insaan ko dekhte nahi ke jab wo faut ho jata hai toh us ki aankhe khuli rah jati hai?

Unhone (Abu Hurairah ne) kaha, 'Ji.'

Aap ﷺ ne farmaya, 'Ye is wajah se hota hai ki jab (uski rooh uske jism ko chorti hai toh) us ki nazar us ki rooh ka peecha karti hai.'

Sahih Muslim, kitab al janaiz (11), hadees- 2132.
Read More »

27 Dec 2019

Dil ko Grahan Lagna | Ibn Qayyim


Imam ibn Qayyim rahimahullah farmate hai,

'Jab Ap dekhe ke dil se Allah tala ki Muhabbat khatam ho gai hai aur is me maklooq ki muhabbat aur dunyawi zindgi par raza o itmanan ne basera kar liya hai to ye jaan lo ke dil ko Grahan lag gaya hai.'

Bada'i al Fawaid, 3/224.

•٠•●●•٠•
Read More »

Taaqatwar Momin Aur Kamzor Momin


Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne faramaya,

'Taaqatwar momin Allah ke nazdik kamzor momin ki nisbat behtar aur zyada mahboob hai, jab ke khair dono me (maujood) hai.

Jis cheez se tumhe (haqiqi) nafa pahunche, us me hirs karo aur Allah se madad maango aur kamzor na pado, agar tumhe koi (nuksaan) pahunche to ye na kaho, Kaash! Mai (is tarah) karta to aisa aisa hota, balke ye kaho, (ye) Allah ki taqdeer hai, wo jo chahta hai karta hai. Isliye ke Kaash (kahna) shaitaan ke amal (ke darwaze) ko khol deta hai.'

Sahih Muslim, kitab al Qadr (46), hadees- 6774.

•٠•●●•٠•
Read More »

8 Jul 2019

Ahle Bait Se Muhabbat Aur Unse Bughz


۩ Ibn Abbas r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullahﷺ ne farmaya,

“Allah se muhabbat karo kyunke woh tumhe apni nemate ata kar raha hai, aur muhabbat karo mujh se Allah ki khatir, aur mere ahle bait se meri khatir.”

Jamia Tirmizi, kitab al manaqib ﴾49﴿, hadees- 3789. Ise Imam Timizi ne hasan gareeb aur darussalaam ne hasan karaar diya hai.

۩ Zaid bin Arqam r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

“Mai tumhare darmiyan wo chiz chhore ja raha hu ki agar tum ne ise pakda rakha toh mere jaan ke baad tum gumrah nahi hoge. Ye (do chiz) ek dusre se bhaari hai aur wo Allah ki kitab hai goya wo ek rassi hai jo aasmaan se zameen tak latki hui hai, aur dusre mere ahle bait hai, ye dono hargiz juda na honge yaha tak ke ye dono hauz e kausar par mere paas ayenge, toh tum dekh lo ki in dono ke silsile me tum meri kaisi jaanashini kar rahe ho.”

Jamia Tirmizi, kitab al manaqib ﴾49﴿ , hadees- 3788. Ise Imam Tirmizi ne hasan gareeb aur darussalaam ne sahih karaar diya hai.

۩ Abdullah ibn abbas r.a. bayan farmate hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya, “Aye bani Abdul Muttalib! Mai ne tumhare liye Allah se teen chiz mangi hai ke,

1. Tumhe sabit qadam rakhe
2. Tumhare gumraho ko hidayat de de
3. Tumhare jahilo ko aalim bana de.

Aur maine Allah se ye dua bhi mangi hai ke woh tumhe sakhi, bahadur aur raham dil bana de.

Chunanche agar koi aadmi rukun aur maqam e ibraheem ke darmiyan khada ho kar namaz padhta ho aur rozadaar ho fir wo faut ho jaye lekin wo Muhammad ﷺ ke ahle bait se bughz rakhta ho toh wo dozakhi hai.

Al Mustadrak lil Hakim, hadees- 4712. Ise Imam Hakim, Imam Zahabi, Al-Albani aur Shaykh Zubair ali zai ne sahih karaar diya hai. [scan]

۩ Umar r.a. ne bayan kiya ke Abu Bakr r.a. kaha karte the ki Nabi ﷺ ki khushnudi ko Aap ke ahle bait ke sath (muhabbat o khidmat ke zarye) talaash karo.

Sahih al Bukhari, kitab fazail ashaab an nabi  ﴾62﴿, hadees- 3751.

Allah se dua hai ki wo hame ahle bait se muhabbat rakhne ki taufeek ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•

Read More »

30 May 2019

Wo 7 Log Jo Qayamat ke Din Allah ke Saaye Me Rahenge

en   -
Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ki Nabi ﷺ ne farmaya,

Saat qism ke logo ko Allah taala us din apne saaye me saya muhayya karega jis din us ke saaye ke siwa koi saya nahi hoga:

1. Insaf karne wala hukmaraan,
2. Woh naujawan jo Allah ki ibadat ke sath pala-badha,
3. Woh aadmi jis ka dil masjid me atka hua hai,
4. Aise do aadmi jinhone Allah ki khatir ek dusre se muhabbat ki, ek dusre se mulaqat ki aur usi ke khatir juda hue,
5. Aisa aadmi jise martabe aur husn wali aurat ne (gunah ki) dawat di toh is (aadmi) ne kaha, Mai Allah se darta hu,
6. Woh aadmi jis ne chhupa kar sadqa kiya hatta ke us ka baya hath jo kuch kharch kar raha hai use daya hath nahi janta ,
7. Woh aadmi jis ne tanhayi me Allah ko yaad kiya toh is ki aankhe bahne lagi.

Sahih al Bukhari, kitab al aazaan ﴾10﴿, hadees- 660.

•٠•●●•٠•
Read More »

28 May 2019

Ek Azkaar Jiski Tashdeek Nabi ﷺ Ne Khawab Me Ki


Abu Ayyash r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

'Jo shakhs subah ke waqt 'La ilaha illallahu wahdahu la sharika lahu, lahul mulku wa lahul hamdu wa huwa ala kulli shayyin qadeer' kahe toh use aulad e Ismail me se ek gardan azad karne ke barabar sawab milega, aur uske liye das nekiya likhi jayengi, das buraiyya mita di jayengi, uske das darje buland kar diye jayenge, aur woh shaam tak shaitan ke shar se mahfooz rahaega, aur agar shaam ke waqt kahe toh subah tak uske sath yahi muamla hoga.'

Hammad ki riwayat me hai ke ek shakhs ne RasoolAllah ﷺ ko (khawab me) dekha jaise sone wala dekhta hai toh usne Aap ﷺ se arz kiya, 'Allah ke Rasool! Abu Ayyash Aap se aisi aisi hadees riwayat karte hai?' Toh Aap ne farmaya, 'Abu Ayyash ne sach kaha.'

Sunan Abu Dawud, kitab al adab ﴾43﴿ hadees- 5077. (Sahih)

Is dua ki arabic:

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ

•٠•●●•٠•

Read More »

22 May 2019

Moosa a.s. Aur Ek Budhi Aurat ka Dilchasp Waqya


Yunus bin Ishaq ne Surah Shura, ayat- 52 (Ham ne Moosa ko wahee bheji ke raato raat mere bando ko lekar nikal jao, beshak tera peecha hona hai.) se chand aayaat padhi fir Hazrat Abu Moosa ashari r.a. ka ye bayan naqal kiya, Ek dafa Rasoolullah ﷺ ek dehati ke paas tashreef le gaye. Usne Aap ﷺ ki khoob mahmaan nawazi ki. Rasoolullah ﷺ ne us se farmaya, 'Tum ham se wada karo ke hamare paas aaoge. Fir ek dafa wo dehaati Rasoolullah ﷺ ke paas aaya, Rasoolullah ﷺ ne us se pucha, 'Tumhari haajat kya hai?' Us ne kaha, 'Ek oontni kajawah samet, jiska dudh mere ghar wale piye.'

Toh Rasoolullah ﷺ ne farmaya, 'Ye bhi bani israel ki budhiya ki tarah aajiz hai. 'Sahaba e karaam r.a. ne arz kiya, Ya Rasoolullah ﷺ! Bani Israel ki budhiya ka kya qissa hai?

Aap ﷺ ne farmaya, Jab Moosa a.s. ne bani Israel ke humraah rawangi ka irada farmaya toh raasta bhool gaye. Moosa a.s. ne Bani Israel se pucha, 'Aisa kyu hua?' Fir Aap ko Bani Israel ke ulema ne bataya ke jab Yusuf a.s. ki wafaat ka waqt qareeb aaya toh unhone ham se khuda ki qasam lekar ye ahad liya tha ke jab ham Misr se niklenge toh inka jism bhi apne hamraah muntaqil karke lejayenge.

Moosa a.s. ne farmaya, 'Tum me se koi kya ye janta hai ke Yusuf a.s. ki kabr kahaa hai?' Bani Israel ke ulema ne jawaban kaha, 'Is cheez ka ilm sirf bani Israel ki ek budhya ke paas hai. Moosa a.s. ne us budhya ke paas paigaam bheja ke hame Yusuf a.s. ki qabr ki nishaandehi kare. Us ne kaha, 'Pahle mujh se ek waada kare fir bataungi.'

Moosa a.s. ne pucha, 'Kya waada lena chahti ho?' Us ne kaha, 'Ye ke mai Jannat me aapke saath (pados me) rahu.' Moosa a.s. ko ye waada kuch ajeeb sa laga. Lekin ap se kaha gaya ke is se waada farma lijiye toh ap ne is se Jannat ka wada kar liya, tab wo inko apne hamraah lekar pani ki ek jheel par aayi, jiske pani ka rang bhi badal chuka tha.

Usne kaha, 'Is jheel ka paani khushk kare.' Unhone pani khusk kardiya. Jab paani khushk ho gaya to usne kaha, Yaha se khudayi shuru kar de, unhone khodna shuru kar diya toh waha se unko Yusuf a.s. ka jism e Mubarak mil gaya. Jab unhone Yusuf a.s. ko zameen se nikaal liya toh roze roshan ki tarah raasta in par wazeh hogaya.

Al Mustadrak al Hakim, hadees- 3523. Ise Imam Hakim aur Imam Zahabi ne sahih karaar diya hai. [scan]

•٠•●●•٠•
Read More »