اقرأ باسم ربك الذي خلق

Showing posts with label Seerat un Nabi. Show all posts
Showing posts with label Seerat un Nabi. Show all posts

8 Apr 2020

Nabi ﷺ ka Akhlaq


Allah s.w.t. farmate hai,

“Aur beshak, Aap (ﷺ) akhlaq ke buland darje par fa'iz hai.”

Surah Qalam (68), ayat- 4.

۝ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

“Mai sirf isliye bheja gaya hu taaki mai acche akhlaq ko kamil (perfect) kardu.”

Al adab al mufrad, hadees- 273. (Sahih)

۝ Rasool ﷺ achhe akhlaq ke liye dua bhi manga karte the ye kah kar,

اللَّهُمَّ كَمَا حَسَّنْتَ خَلْقِي فَحَسِّنْ خُلُقِي

Allaahumma kamaa ḥassanta khalqee fa ḥassin khuluqee.

'Aye Allah tune mere bahari shakl ko khubsurat banaya hai toh mere akhlaq ko bhi achha kar de.'

Sahih ibn Hibban (3/239). Ise al-Albani ne Irwa al-ghaleel (75) me sahih karaar diya hai.

۝ Hazrat Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Khadija r.a. ne Rasoolullah ﷺ se farmaya,

'Khuda ki qasam Aap ko Allah kabhi ruswa nahi karega. Aap rishtedaro se sila-rahmi karte hai, Bekaso ka bojh uthate hai, Mufliso (gareebo) ki madad karte hai, Aap dil khol kar mahmaan nawazi karte hai aur mushkil ke waqt me Aap zaruratmando ka saath dete hai.'

Sahih al bukhari, kitab al wahee (1), hadees- 3.

۝ Masruq riwayat karte hai, ham Abdullah bin Amr r.a. ke sath baithe hue the jo hame hadees suna rahe the. Unhone kaha Allah ke Rasool ﷺ na to fahish the aur na hi mutafahhish, aur wo (RasoolAllah) kaha karte the ki tum maise sabse behtareen wo hai jo akhlaq me sabse achha ho.

Sahih al-bukhari, kitab ul adab (78), hadees- 6035.

۝ Anas r.a. riwayat karte hai, "Maine das saal tak Rasool ﷺ ki khidmat ki. Unhone mujhe kabhi 'uff' tak nahi kaha aur unhone mujhe kabhi kisi chiz ke bareme nahi toka ki tumne ye kyu nahi kiya, jo kaam maine nahi kiye ya fir us chiz ke bareme ye nahi kaha ki tumne ye kyu kiya, jo kaam maine kiye the.

Al Adab al Mufrad, hadees- 277. (Sahih)

۝ Abdullah riwayat karte hai,

Jaise mai (us waqt) aan hazrat ﷺ ko dekh raha hu ap ek paigambar (nooh a.s.) ki hikayat bayaan kar rahe the, un ki qaum waalo ne unko itna maara ki lahu-luhaan kar diya, wo apne munhh se khoon pochte the aur yu dua karte jaate, parwardigaar meri qaum waalo ko baksh de wo naadaan hai.

Sahih al Bukhari, kitab us titabatil murtadeena (88), hadees- 6929.

۝ Anas r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ na gaali dete the aur na fahash alfaz istemal karte the aur na laanat-malaamat karte the, agar ham me se kisi par naraz hote toh itna farmate ki ise kya ho gaya hai, iske peshani me khaak lage (arabi muhawra).

Sahih al Bukhari, kitab al adab (78), hadees- 6031.

۝ Jabir r.a. kahte hai, 'Kabhi aesa nahi hua ki Rasoolullah ﷺ se kisi ne koi cheez maangi ho aur aapne uske dene se inkaar kiya ho.'

Sahih al-Bukhari, kitab al adab (78), hadees- 6034.

۝ Abdur Rahman bin Abi Laila riwayat karte hai, Nabi ﷺ ke paas se ek jahanzah guzar toh Aap us (janaze) ke liye khade ho gaye. Fir Aap ﷺ se kaha gaya ki ye toh Yahudi ka janazah tha. Aap ﷺ ne farmaya, 'Kya us me jaan nahi hai'. (Yaani ki kya usme rooh nahi thi)

Sahih al Bukhari, kitab al janaiz (23), hadees- 1312, 1313.

۝ Ibn Jaz r.a. riwayat karte hai,

'Maine Rasoolullah ﷺ se zyada kisi ko muskurate hue nahi dekha'

Jamia Tirmizi, kitab al manaqib (49), hadees- 3641. Ise darussalaam ne hasan karaar diya hai.

۝ Abdullah bin Abi Qatada riwayat karte hai ki mere walid ne kaha ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Mai namaz der tak padhne ke iradah se khada hota hu, lekin kisi bachhe ke rone ki aawaz sun kar namaz ko halki (shorter) kar deta hu, kyuki uski maa ko (jo namaz me shareek hogi) taqleef me daalna bura samajhta hu.'

Sahih al Bukhari, kitab al aazaan (10), hadees- 707.

Allah se dua hai ki wo hame amal ki taufeek ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•

Related: Achha Akhlaq - Deen Ki Ek Nayab Chiz
Read More »

6 Apr 2020

Nabi ﷺ ke Oontni ka Naam

en    ur   
Alhmdulillah..

Imam ibn Qayyim r.h. Nabi ﷺ ke jaanwaro ki fasal (section) me kahte hai ke jaanwaro me se Nabi ﷺ ke kaun kaun se janwar the:

'Oonto me Nabi ﷺ ke paas Qaswa naami oontni thi.

Kaha jata hai ke yeh wohi oontni hai jis par Nabi ﷺ ne Hijrat ka safar kiya.

Adbaa aur al-Jadaa ke baare me ikhtilaaf hai ke aaya yeh ek hi oontni ke do naam the ya ke do alehda alehda ontniya thi?

Adbaa woh oontni thi jise kisi bhi daud me haraya nahi gaya tha. Fir ek dehaati nawjawaan oont par aaya aur usne is oontni ko shikasht de di jo Musalmano ko bahut naa-gawaar guzri toh Nabi ﷺ farmaane lage,

'Allah taala ka haq hai ke duniya me jis kisi cheez ko bhi bulandi deta hai toh fir use pasti aur zawaal pazeer bhi karta hai.'

Badr waale din Nabi ﷺ ne Abu Jahl ka mahri oont (oont ki ek qism) maal e ganeemat me haasil kiya jis ke nathno (nose) me chandi thi toh Hudaybiyah waale din Nabi ﷺ ne mushriko ko aazaab dilane ke liye use hadiya kar diya.'

Zaad al Maad, safa- 134.

•٠•●●•٠•
Read More »

8 Jan 2020

Mukhtasar Seerat un Nabi ﷺ

Nabi e kareem ﷺ ke Baareme Mukhtasar Haalaat e Zindagi

۞ Naam Wa Nasab

Sayyidna Abu Qasim Muhammad bin Abdullah bin Abdul Muttalib (Shaibah) bin Hashim (Amr) bin Abdi Manaaf (al-Mughairah) bin Qusai (Zaid) bin Kilaab bin Murrah bin Ka'ab bin Luayi bin Ghalib bin Fahr bin Malik bin Nazar bin Kinanah bin Khuzaimah bin Mudrikah (Aamir) bin Ilyaas bin Muzar bin Nizaar bin Ma'ad bin Adnaan, Ismail bin Ibraheem ki aulaad me se.

Aap ki walidah ka naam Aamina bint e Wahab bin Abdi Manaaf bin Zuhrah bin Kilaab bin Murrah hai.

۞ Wiladat

Maahe Rabi al Awwal (571 eeswi) baroz somwaar (jis saal Abraha kafir ne apne haathi ke sath makkah par hamla kiya tha aur Allah ne use uski fauj samet tabah kar diya tha) Aap ki wiladat hui.

Aap ke waalid Abdullah, aap ki paidaish se taqreeban mahina ya do mahine pahle faut hue, (dekhe:  Seeratun Nabawiyah lil Zahabi, safa- 49) aur jab aap saat (7) saal ke hue toh Aap ki walidah faut ho gayi fir aap ke dada Abdul Mutallib ne Aap ki parwarish ki aur jab aap aath (8) saal ke hue toh Abdul Mutallib bhi faut ho gaye, un ki wafaat ke baad aap ke chacha Abu Taalib ne aap ko apni kifaalat me le liya.

۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

دعوة أبي إبراهيم و بشارة عيسى بي و رؤيا أمي التي رأت

“Main apne aaba (dada) Ibraheem a.s. ki dua aur (bhai) Eesa a.s. ki basharat (khush khabri) hu aur apne maa ka khawab hu jise unhone dekha tha.”

Musnad Imam Ahmed, 4/127, hadees- 17150. Iski sanad hasan (li zaatihi) hai.

۞ Hulya Mubarak

Aap ﷺ ka chehra chand jaisa (khoobsurat, surkhi maayil safeed aur pur noor) tha, Aap ka qad darmiyaana tha aur Aap ke sar ke baal kaano ya shaano tak pahunchte the.

۞ Nikah

Sayyidah Khadijah bint e Khuwaylid bin Asad bin Abdul Uzzah bin Qusai r.a. se aap ki shadi huwi aur jab tak Khadijah r.a. zinda rahi, Aap ne dusri shadi nahi ki.

۞ Bete

Qasim, Tayyab, Taahir (aur Ibraheem).

۞ Betiya

Ruqiyah, Zainab, Umme Kulsum aur Fatimah.

۞ Pahli Wahi:

Gaar e Hira me Jibreel e Ameen a.s. tashreef laaye aur surah Alaq ki pahli teen aayaat ki wahi aap ke paas laaye; 610 eeswi [us waqt aap ki umar chalees (40) saal thi].

۞ Aam ul Huzn:

Hijrat e Madinah se teen saal qabl Abu Taalib aur Sayyidah Khadijah r.a. faut ho gaye.

۞ Hijrat

622 eeswi mein aap apne azeem saathi Sayyiduna Abu Bakr as Siddique r.a. ko le kar Makkah se hijrat kar ke Madinah Tayyaba tashreef le gaye.

۞ Makki Daur

Rasoolullah ﷺ nabuwat ke baad Makkah me terah (13) saal rahe.

۞ Madani Daur

Aap ﷺ hijrat ke baad Madinah me das (10) saal rahe aur fir wafaat ke baad Ar-Rafiq al-Aala ke paas tashreef le gaye.

۞ Gazwa e Badr

2 hijri ko badr Islam aur kufr ka pahla bada marakah hua jis me Abu Jahal maara gaya.

۞ Gazwa e Uhad

3 hijri, is gazwe me sattar ke qareeb sahaba e karaam maslan, Sayyidna Hamzah bin Abdul Mutallib r.a. shaheed hue aur Rasoolullah ﷺ zakhmi hue.

۞ Ghazwa e Khandaq

5 hijri (ahzaab e kuffaar ne Madinah par hamla kiya aur naakaam wapas gaye.

۞ Sulah Hudaibiyah

6 hijri, iska zikr Quran e majeed me bhi hai.

۞ Ghazwa E Khaibar

7 hijri, khaibar fateh hua.

۞ Fateh Makkah

8 hijri, Makkah fateh hua aur Rasoolullah ﷺ ne Ahle Makkah ko muaf kar diya. is saal ghazwa e Hunain bhi hua tha.

۞ Ghazwa E Tabook

9 hijri.

۞ Hajjatul Widaa

 10 hijri

۞ Dawat

Qur'an, Hadees, Tawheed aur Sunnat, Aap ki dawat hai, aap ne logo ko shirk wa kufr ke ghata-taup andhero se nikaal kar Tawheed wa Sunnat ke noraani raaste par gaamzan kar diya.

Aap ﷺ ne farmaaya:

“Musalmaan musalmaan ka bhai hai, na us par zulm karta hai aur na us par zulm hone deta hai.”

(Sahih Bukhari, 2442, Sahih Muslim: 2580)

۞ Akhlaaq

Aap ﷺ akhlaaq ke sab se a'ala darje par faayiz they:

۩ Irshaad e baari taala hai:

وإنـك لـعـلى خـلـق عــظيــم

'Aur Aap (ﷺ) azeem akhlaaq par faa'iz hai.'

Surah Qalam, 4.

۩ Aap ﷺ ne farmaaya:

أكمل المؤمنين إيمانًا احسنهم خلقًا وخياركم خياركم لنسائهم خلقًا

'Momino me mukammal eemaan waale wo hai jin ke akhlaak achhe hai aur tum me se behtareen log wo hai jo apni aurato se achhe akhlaaq ke sath pesh aate hai.'

Jamia Tirmizi, 1162, Ye hasan sahih hai.

۞ Muallim E Insaaniyat

Ek Sahabi r.a. farmate hai, 'Maine Aap ﷺ se behtareen mu'allim (ustaad) achhe tareeqe se taleem dene waala kisi ko nahi dekha, na pahle aur na baad, Allah ki qasam! Aapﷺ ne mujhe na daanta, na maara aur na bura bhala kaha.

Sahih Muslim, 537.

۞ Mu'aamalaat

Aap ﷺ ne farmaaya:
إن خـيـاركـم احـسـنـكـم قـضـاء

Tum me se behtareen log wo hai jo behtar tareeqe se qarz ada kare.

Sahih al Bukhari, 2305. Sahih Muslim, 1601.

Mazeed farmaaya:

دع ما يريبك إلى ما لا يريبك فإن الصدق طمأنينة وإن الكذب ريبة

Shak waali cheez ko chhor do aur yaqeen waali cheez ko ikhtiyaar karo kyunke yaqeenan sachhai itminaan hai aur jhoot shak wa shubah hai.

Jamia Tirmizi, 2518, Ye hadees sahih hai.

۩ Nabi ﷺ ne kabhi kisi khane mein nuks nahi nikaala, agar pasand farmaate toh kha lete aur agar pasand na farmate toh chor dete the.

Sahih al Bukhari, 5409.

۞ Wafaat

11 hijri baroz saumwar, maahe rabiul awwal me Rasoolullah ﷺ khaatimun nabiyeen wa rahmatullil aalameen is duniya se tashreef le gaye, us waqt aap ki umar mubarak 63 saal thi.

صلى الله عليه و آله وأصحابه وأزواجه وسلم

•٠•●●•٠•

source: Ishaatul hadees, shumarah- 63, safa- 34-36.
Read More »

14 May 2019

Rasoolullah ﷺ ki Teen Duae


Abdullah bin Khabbab bin Al-Aratt apne walid se riwayat karte hai,

RasoolAllah ﷺ ne ek lambi namaz padhi. Unhone kaha, 'Aye Allah ke Rasool Aap ne (aj) is tarha namaz padhi hai jo is se pahle maine kabhi Aap ko ada karte nahi dekha,' Aap ne farmaya:

'Ji ha! Ye Ummeed aur khauf ki namaz thi. Isme maine Allah se teen chize mangi. Usne meri do duae qubul ki gai aur ek dua munhasar kar di gai.
Maine usse manga ki meri ummat kahet (drought) se tabah na ho, usne mujhe ye ata kiya.
Maine usse manga ki meri ummat par, gairo maise, dushmano ko galba hasil na ho, usne mujhe ye ata kiya.
Aur maine usse ye manga ki in me kuch logo ko apas me ek ko dusre se nuksan na sahna pade toh Allah ne meri ye dua munhasar kar di.'

Jamia Tirmizi, kitab al fitan ﴾33﴿, hadees- 2175. Ibne Hibban, hadees- 1830. Imam Tirmizi ne ise hasan sahih gareeb karaar diya hai. Aur Darusslaam ne ise sahih karaar diya hai.

•٠•●●•٠•

Allahumma salle ala Muhammad wa aala aale Muhammad.
Read More »

8 Apr 2019

Nabi ﷺ ka Akhlaq | Khadija r.a. ki Zubani


Allah s.w.t. farmate hai,

“Aur beshak, Aap (ﷺ) akhlaq ke buland darje par fa'iz hai.”

Surah Qalam (68), ayat- 4.

۝ Hazrat Ayesha r.a. ne bataya Aap ﷺ par wahee ki ibtedaai daur acche sachhe paakiza khawabo se shuru hua, Aap khawab me jo kuch dekhte woh subha ki roshni ki tarah sahih aur sachha sabit hota. Fir min janib qudrat Aap tanhaai pasand ho gaye aur Aap ne Gaar e Hira me Tanhaai ikhtiyar farmate aur kayi kayi din aur raat wahaa musalsal Ibadat aur yaad e Elahi zikr o fikr mai mashgul rahte, jab tak ghar aane ko dil na chahta, Aap apne saath safar ka khana liye hue waha rahte, Khana khatam hone par hi ahliya Khadija r.a. anha ke paas tashreef laate aur kuch khana saath lekar fir waha jaate.

Yahi tariqa jari raha yaha tak ki Aap par Haq nazil ho gaya aur Aap Gaar e Hira hi me the ki achank Hazrat Jibreel a.s. Aap ke paas haazir hue aur kahne lage ki Aye Muhammad! Padho!

Aap farmate hai ki maine kahaa ki mai padhna nahi jaanta. Aap farmate hai ki farishte ne mujhe pakad kar itne zor se dabaya ki meri taqat jawab de gai. Fir mujhe chhod kar kaha ki Padho!. Maine fir wahi jawab diya ki mai padha hua nahi hu. Us Farishte ne mujhe nihayat hi zor se pakda ki mujhe sakht takleef mahsus hui, Fir usne kahaa ki padho! Maine kaha ki mai padha hua nahi hu. Farishte ne teesri baar mujh ko pakda aur teesri martaba fir mujh ko dabaya fir mujhe chhod diya aur kahne laga ki

‘Padho Apne Rab Ke Naam Se Jis Ne Paida Kiya Aur Insan Ko Khoon Ki Lothde Se, Padho Aur Aap Ka Rab Bahut Hi Maherban Hai.’

Pas yahi aayate Aap Jibril a.s. se sun kar is haal mai Gaar se wapis hue ke Aap ka dil us anokhe waqye se zor se dhadak raha tha. Aap Khadija ke yaha tashrif laye aur farmaya ki mujhe kambal udha do, mujhe kambal udhaa do. Logo ne Aap ko kambal udhaa diya jab Aap ka dar jaata raha to Aap ne apni biwi Khadija r.a. ko tafseel ke saath ye waqya sunaya aur farmane lage ki mujh ko ab apni jaan ka khauf ho gaya hai.

Aapki biwi Khadija r.a. ne Aap se kaha ki Aap ka khayal sahih nahi hai, Khuda ki qasam Aap ko Allah kabhi ruswa nahi karega.
Aap rishtedaro se sila-rahmi karte hai, Bekaso ka bojh uthate hai, Mufliso (gareebo) ki madad karte hai, Aap dil khol kar mahmaan nawazi karte hai aur mushkil ke waqt me Aap zaruratmando ka saath dete hai.
Sahih al bukhari, kitab al wahee (1), hadees- 3.

•٠•●●•٠•

Read More »

30 May 2018

RasoolAllah ﷺ Par Wahi Ki Shuruat Kaise Hui ?


Hazrat Ayesha r.a. ne batlaya ki Allah ke Rasool ﷺ par wahee ka shuruwati daur acche sachhe paakiza khawabo se shuru hua, Aap khawab mein jo kuch dekhte woh subha ki roshni ki tarah sahih aur sachha sabit hota. Fir min janib qudrat Aap tanhaai pasand ho gaye aur Aap ne Gaar e Hira mein Tanhai ikhtiyar farmate aur kayi kayi din aur raat wahaa musalsal Ibadat aur yaad e Elahi zikr o fikr me mashgul rahte, jab tak ghar aane ko dil na chahta, Aap apne saath safar ka khana liye huye waha rahte, Khana khatam hone par hi Aap Khadija r.a. ke paas tashreef laate aur kuch Khana saath lekar fir wahaan chale jaate.

 Yahi Tariqa jari raha yaha tak ki Aap par Haq nazil ho gaya aur Aap Gaar e Hira hi me the ki achank Hazrat Jibreel a.s. Aap ke paas haazir hue aur kahne lage ki Aye Muhammad! Padho! Aap farmate hai ki maine kaha ki mai padhna nahi janta. Aap farmate hai ki farishte ne mujhe pakad kar itne zor se dabaya ki meri taqat jawab de gai. Fir mujhe chhor kar kaha ki Padho!. Maine fir wahi jawab diya ki mai padha huaa nahi hu. Us Farishte ne mujhe nihayat hi zor se pakda ki mujhko sakht takleef mahsus hui, Fir usne kahaa ki padho! Maine kaha ki mai padha hua nahi hu. Farishte ne teesri baar mujh ko pakda aur teesri martaba fir mujh ko dabaya fir mujhe chhor diya aur kahne laga ki ‘Padho apne Rab ke naam se jis ne paida kiya aur insan ko khoon ki lothde se banaya, Padho aur Aap ka Rab bohut hi maherban hai.’ Pas yahi aayaten Aap Hazrat Jibril a.s. se sun kar is haal mai Gaar se wapis hue ke Aap ka dil us anokhe waqye se zor se dhadak raha tha . Aap Hazrat Khadija ke paas tashrif laye aur farmaya ki mujhe chadar udhaa do, mujhe chadar udhaa do. Chunanche Aap ko chadar udhaa diya gaya.

Jab Aap ka dar jata raha to Aap ne apni biwi Khadija r.a. ko tafseel ke saath ye waqya sunaya aur farmane lage ki mujh ko ab apni jaan ka khauf ho gaya hai. Aapki biwi Khadija r.a ne Aap se kaha ki Aap ka khayal sahih nahi hai, Allah ki qasam Aap ko Allah kabhi ruswa nahi karega. Aap rishtedaro se sila-rahmi karte hai, Bekaso ka bojh uthate hai, Muflison ki madad karte hai, Aap dil khol kar mahmaan nawazi karte hai aur Mushkil ke waqt me Aap zaruratmando ka saath dete hai. Fir Khadija r.a ne Rasool ﷺ ko Waraqa bin Naufal ke paas le gai, jo un ke chacha-zaad bhai the aur zamana e jahiliyat mai Nasrani mazhab ikhtiyar kar chuke the aur Ibraani zuban ke katib the, chunanche Injeel ko bhi hasb e manshaa e khuda wandi Ibraani zuban me likha karte the (Injeel siryani zuban mai nazil hui thi fir us ka tarjumaa Ibraani zuban mai hua, Waraqa isi ko likha karte the) . Woh bahut budhe ho gaye the yahaa tak ki un ki binaai (eyesight) bhi chali gai thi. 

Khadija r.a. ne un ke samne Aap ke haalaat bayan kiye aur kahaa ki aye chacha zaad bhai ! Apne bhatije (Muhammad) ki zubani zaraa unki kaifiyat sun lijiye, chunche Aap ﷺ ne shuru se aakhir pura waqya sunaya, jise sun kar Waraqa be ikhtiyar ho kar bol uthe ki ye to wahee naamus (raaz rakhne wala farishta) hai jise Allah ne Musa a.s. par wahee de kar bheja tha. Kaash! Mai jawaan umar ka hota aur us waqt tak zinda rahta jab Aap ki Qaum Aap ko is shahar se nikal degi. Rasool ﷺ ne ye sun kar taaj’jub se pucha ke kya woh log mujhe nikaal denge? Waraqa bole, Ji Haa! Jo shakhs bhi Aap ki tarah paigaam le kar aaya log us ke dushman hi hue hai. Agar mujhe Aap ki Nabuwat ka woh zamana mila to mai Aap ki puri madad karunga. Magar waraqa kuch hi dino ke baad inteqal kar gaye, fir kuch arse tak wahi ka silsila ruk gaya.

Sahih al-Bukhari, Vol. 1, Book 1, Hadith- 3.
Read More »

14 Jan 2018

Isha Ki Namaz Aur Nabi ﷺ Ka Tarika


۩ Abu Barzah al Aslami r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ Isha der se padhna pasand farmate the, aur is se pahle sone aur is ke baad baat-cheet karne ko napasand karte the.

Sunan Ibn Majah, kitab us Salaat, hadees- 701, Sahih (Darussalaam).

۩ Aisha r.a. riwayat karti hai ki Rasoolullah ﷺ Isha ke pahle sote nahi the aur Isha ke baad jaagte na the.

Sunan Ibn Majah, kitab us Salaat, hadees- 702, Hasan (Darussalaam).

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo ham sab ko Huzur ﷺ ke nakshqadam par chalaye. aameen.
Read More »

7 Jan 2018

RasoolAllah Ke Talwar Par Likhi Hui Baate


Ali ibn Abi Taalib r.a. farmate hai,

لَمَّا ضَمَمْتُ إِلَيَّ سِلاَحَ رَسُولِ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، وَجَدتُّ فِي قَائِمِ سَيْفِ رَسُولِ اللهِ صلَّى اللهُ عليهِ وسلَّمَ رُقْعَةً فيها: "اُعْفُ عَمَّنْ ظَلَمَكَ، وَصِلْ مَنْ قَطَعَكَ، وَأَحْسِنْ إِلَى مَنْ أَسَاءَ إِلَيْكَ، وَقُلِ الْحَقَّ وَلَوْ عَلَـــى نَفْسِكَ"

Jab Maine RasoolAllah ﷺ Ki Talwar Apne Seene Par Lagayi, Maine RasoolAllah Ke Talwar Ke Daste (Handle) Par Likha Hua Paya,
"Jinhone Tum Par Zulm Kiya Hai Unhe Muaf Kardo, Jinhone Tumhe Chor Diya Hai Unse Jude Raho, Jinhone Tumhare Sath Bura Kiya Hai Unse Ache Se Pesh Aao, Aur Haq Kaho Agar Wo Tumhare Khilaf Hi Kyu Na Ho".
Saheeh al-Targheeb wa’l-Tarheeb, 2467. (saheeh li-ghayrihi); also graded as saheeh by al-Suyuti in al-Jaami’ al-Sagheer #5004 ; Authenticated by Sheikh al-Albaani in Silsilah al-Ahaadeeth al-Saheehah #1911.

Allah ham sab ko is hukm par amal karne ki taufeek de. aameen
Read More »

6 Jan 2018

Nabi ﷺ Ke Mutallik Heraclius Ke Sawalat


Abdullah bin Abbas se Abu Sufiyan bin Harb ne ye waqya bayan kiya ki Heraclius (Badshaah Roomi) ne un ke paas Quresh ke qafile mai ek aadmi bulane ko bheja aur us waqt ye log tijarat ke liye mulk e Shaam gaye huye the aur ye woh zamana tha jab RasoolAllah ﷺ ne Quraish aur Abu Sufiyan se ek waqti ahad kiya hua tha. Jab Abu Sufiyan aur dusre log Heraclius ke paas Ilya (Jerusalem) pahuche jaha Heraclius ne darbaar talab kiya tha. Us ke aas paas Roomi ke bade bade log bethe huye the, Heraclius ne unko aur apne tarjuman ko bulaya. Fir unse pucha ke tum mai se kon shaks us shaks ka zyada qaribi aziz hai jo Nubuwat ka dawa kar raha hai? Abu Sufiyan kahte hai ki mai bol utha ki mai uska sab se zyada qaribi rishtedaar hun, (ye sun kar) Heraclius ne hukm diya ke isko (abu sufiyan ko) mere qarib laa kar baithao aur us ke saathiyon ko us ki pith ke piche baitha do, fir apne tarjumaan se kahaa ki un logo se keh do ki mai Abu Sufiyan se us shaks (yani Muhammad ﷺKe) haalat puchta hu, agar ye mujh se kisi baat mai jhoot bol de to tum zahir kar dena. (Abu sufiyan ka qauol hai ki) Khuda ki qasam! Agar mujhe ye ghairat naa aati ke ye log mujh ko jhutlaenge to Mai Aap ﷺ ki nisbat zaroor galat bayani karta.
Pahla sawal jo Heraclius ne mujh se puchi woh yeh ki us shaks ka khandaan tum logo me kaisa hai? Maine kaha: Wo to bade unche aala nasab wala hai.

Usne kaha, Is se pahle bhi kisi ne tum logo me aisi baat kahi thi?

Maine kahaa, Nahi.

Usne kaha, Aacha us ke bado me koi Badshaah hua hai?
Maine kaha, Nahi.
Fir usne kaha, Bade logo ne us ki pairwi ikhteyar ki hai ya kamzoron ne?
Maine kaha, Nahi, Kamzoro ne.
Fir usne kaha, Us ke Tabedaar roz badhte jate hai ya ghat-te jate hai ?
Maine kaha, Badhte.Usne kaha, Kya koi shaks jo uske Deen me dakhil hota hai wo mayus hota hai aur us Deen ko baad me chor deta hai?
Maine kaha, Nahi.
Usne kaha, Kya apne is dawa e Nubuwat se pahle kabhi usne jhoot bola hai ?
Maine kaha, Nahi.
Usne kaha, Kya wo apne wado ko todta hai?
Maine kaha, Nahi. Hamari usse (sulaah ki) ek muqarrrar muddat thehri hui hai malum nahi woh is me kiya karne wala hai. (Abu Sufiyan kahte hai) Mai is mauke ke siwa aur koi mauka nahi paa saka jisme mai uske khilaf kuch bol saku.
Heraclius ne pucha, Kya Tumhari usse kabhi ladaii (jung) hui hai?
Maine kahaa, Haan. Bola fir Tumhari aur us ki jung ka kya haal hota hai? Maine kaha, Kabhi woh hamse (maidan e jung) jeet lete hai aur kabhi ham un se jeet lete hai.
Heraclius ne pucha, Woh tumhe kis baat ka hukm deta hai?
Maine kaha, Woh kahta hai ki Sirf ek Allah ki ibadat karo, uska kisi ko sharik na banao aur apne Aaba wa ajdaad ki saari baate chhor do. Wo hame namaz padhne, sach bolne, parhez gaari aur ristedaro ke sath sila rahmi karne ka hukm deta hai .
(Ye sab sun kar) Fir Heraclius ne apne tarjumaan se kaha ke Abu Sufiyan se keh do ki maine tumse uska nasab pucha to tumne kahaa ki woh ham me Aala Nasab wala hai aur paigambar Apni Qaum me aala nasab hi bheje jaya karte hai.

Maine tum se pucha ki (dawa e nabuwat ki) ye baat tumhare andar usse pahle kisi aur ne bhi kahi thi, to tumne jawab diya ki nahi. Tab maine (apne dil mai) kaha ki agar ye baat usse pahle kisi ne kahi hoti to mai samjhta ki us sakhs ne bhi usi baat ki taqleed ki hai jo pahle ki jaa chuki hai.

Maine Tumse pucha ki uske bado me koi Badsaah bhi guzra hai toh tumne kahaa, Nahi. Toh maine (dil mai) kaha ki unke Buzurgon mai se koi badsaah hua hoga to kah dunga ki woh sakhs apne aaba wa ajdaad ki badshahat aur un ka mulk (dobara) hasil karna chahta hai.

Aur maine Tumse pucha ki us baat ke kahne (yani peghambari ka dawa karne) se pahle tum ne kabhi uspar Jhut ka ilzaam lagaya hai? Tumne kahaa nahi, toh maine samjh liya ki jo sakhs aadmiyon ke saath jhoot se bache woh Allah ke baare mai kaise jhooti baat kah sakta hai.

Aur Maine tumse pucha ki bade log uski tabedaar hote hai ya kamzor log, toh Tumne kaha kamzoro ne uski itteba ki hai, toh (dar asal) yahi log paigmbaro ke mutb’bain hote hai.

Aur maine tumse pucha ki us ke saathi badh rahe hai ya kam ho rahe hai, Tumne kaha ke badh rahe hai, aur hatta ke sacchi imaan ki kaifiyat yahi hoti hai hatta ki woh kamil ho jata hai.

Aur maine tum se pucha kya koi shakhs us ke Deen se naa-khush ho kar murtad bhi ho jata hai. Tumne kahaa nahi, toh imaan ki khasiyat bhi yahi hoti hai ke iski chashni jab Dil me sama jati hai to fir nikalti nahi.

Aur maine Tum se pucha ki kya woh kabhi wada khilafi karte hai, Tum ne kahaa nahi. Paigambar ka yahi haal hota hai woh ahad ke khilaf warzi nahi karte.

Aur maine Tumse kaha ki woh tum se kis cheez ke liye kahte hai, Tum ne kaha woh hame hukm dete hai ki Allah ki ibadat karo, us ke saath kisi ko sharik naa thairao aur tumhe buton ki parashtish (ibadat) se rokte hai, sach bolne aur parhezgaari ka hukm dete hai, lihaza agar ye baate jo tum kah rahe ho sach hain to anqarib woh is jagaah ka malik ho jayega ki jahan mere ye dono qadam hai. Mujhe malum tha ke woh (Paigambar) aane wala hai magar mujhe ye malum nahi tha ki woh tumhare andar ka hoga. Agar mai janta ki us tak pahuch sakunga to us se milne ke liye har taklif gawara karta agar mai uske paas hota to uske pao dhota. Heraclius ne fir RasoolAllah ﷺ ka woh khat mangwaya jo Aap ne Dihya radi allahu anh ke zariye Hakim e Basra ke paas bheja tha aur us ne woh Heraclius ke paas bhej diya tha.

Fir usko padha to us mai (likha tha ), “Allah ke naam ke saath jo nihayat maherban aur raham karne wala hai, Allah ke bande aur us ke paigambar Muhammad RasoolAllah ﷺ ki taraf se ye khat hai saah room ke liye us sakhs par salam ho jo hidayat ki pairwi kare. Iske baad mai aap ke saamne dawat e Islam pesh karta hu agar aap Islam le aayenge to (din o duniya mai) salamati nasib hogi. Allah aapko dohra sawab dega aur agar aap (meri dawat se) inkar karenge to aap apne Kisano (peasants) ko gumrah karne ke sabab gunahgaar aap hi honge. (Aur mai apko Allah ka kalaam sunata hu)

“Aye ahle kitab! Ek aisi baat par aa jaao jo hamare aur tumhare darmiyan aiksan hai woh ye ki ham Allah ke siwa kisi ki ibadat na kare aur kisi ko uska shareek na tharayen aur na ham mai se koi kisi ko Allah ke siva apna Rab banaye. Fir agar woh ahle kitab (is baat se) muh fer len to (muslmano!) Tum un se keh do ki (tum mano ya na mano) ham Musalman hai.” (3:64).

Abu Sufiyan kahte hai Jab Heraclius ne jo kuch kahna tha kah diya aur khat padh kar farig hua, to us ke ird gird bhut shor o ghul hua. Bohut si awaze uthi aur hame bahar nikal diya gaya. Tab maine apne saathiyon se kaha ki Abu Kabsah ke bete (RasoolAllah ﷺ ) ki mashoriyat to bohut badh gaya hai. (Dekho to) Is se bani Ashraf (Rome) ka Badsaah bhi dar gaya hai. Mujhe us waqt se is baat ka yakeen ho gaya ki Aap ﷺ anqarib galib ho kar rahenge hatta ki Allah ne mujhe musalman kar diya. (Raawi ka bayan hai ki) Ibn An-Natur Ilya ka hakim Heraclius ka musahib aur Shaam ke Nasara ka sardar tha. Ibn An-Natur bayan karte hai ki Heraclius jab Ilya aaya ek din subha ko pareshan utha to us ke darbariyon ne daryaft kiya ki aaj ham aap ki halat badli hui paate hai (kya wajah hai ).

Ibn An-Natur ka bayan hai ki Heraclius najumi tha, ilm e Nujum me woh puri maharat rakhta tha usne apne ham nashino ko bataya ki mene aaj raat sitaron par nazar dali to dekha ki khatna karne walo ka badsaah hamare Mulk par galib aa gaya hai, (bhala) is zamane mai kon log khatna karte hai ? Unhone kahaa Yahood ke siwa koi khatna nahi karta. So unki wajah se pareshan na hon. Saltanat me ke tamam shahron mai ye hukm likha bhejen ki wahaa jitne Yahood ho sab qatl kar diye jaye. Woh log in hi baaton mai mashgul the ki Heraclius ke paas ek aadmi laya gaya jise Ghassan ke badshah ne bheja tha. Us ne ke halat bayan kiye jab Heraclius ne (sare halat) sun liye to kaha ki jaa kar dekho woh khatna kiye huye hai ya nahi ? Unhone ise dekha to bataya ki woh khatna kiye hua hai. Heraclius ne jab us saks se Arab ke bare mai pucha to us ne bataya ki woh khatna karte hai tab harkul ne kaha ki ye hi (RasoolAllah ﷺ) us ummat ke badsaah hai jo paida ho chuke hai fir usne apne ek dost ko Romiya khat likha aur wo bhi ilm e Nujum mai Heraclius ki tarah maahir tha, fir waha se Heraclius Homs chala gaya abhi Hams se nikla nahi tha ki uske dost ka khat (us ke jawab mai) aa gaya us ki rai bhi RasoolAllah ﷺ ke zahoor ke baare mai Heraclius ke mu’aafik thi ke RasoolAllah ﷺ (waqayi) paigambar hai. Is ke baad Heraclius ne Room ke bade aadmiyon ko apne Homs ke mahal mai talab kiya aur us ke hukm se mahal ke darwaze band kar liye gaye fir woh (apne khaas mahal se ) bahar aaya aur kaha, “Aye Room walon! Kya hidayat aur kamyabi me kuch hissa tumhare liye bhi hai? Agar tum apni saltnat ki bachana chahte ho to fir us Nabi ki bai’at kar lo aur Muslman ho jao.” (Ye sunna tha ki ) fir woh log wehshi ghadon ki tarah darwazo ki traf dodhe (magar) unhe band paya, aakhir jab Heraclius ne unki ye nafrat dekhi aur unke imaan lane se mayus ho gaya to kahne laga ki in logo ko mere paas laao (jab woh do bara aaye) to un se kaha maine jo baat kahi thi us se tumhari Deeni pukhtgi ki aazmaish maqsood thi so woh maine dekh li. Tab (ye sun kar) woh sab ke sab us ke samne sajde me gir pade aur us se khush ho gaye. Aur ye Heraclius ki kahani ka khatam tha. 

Sahih al-Bukhari, Vol. 1, Book 1 , Hadith 7.

•٠•●●•٠•
Read More »

Hadees e Jibreel


حَدَّثَنَا مُسَدَّدٌ، قَالَ حَدَّثَنَا إِسْمَاعِيلُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ، أَخْبَرَنَا أَبُو حَيَّانَ التَّيْمِيُّ، عَنْ أَبِي زُرْعَةَ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ كَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم بَارِزًا يَوْمًا لِلنَّاسِ، فَأَتَاهُ جِبْرِيلُ فَقَالَ مَا الإِيمَانُ قَالَ ‏"‏ الإِيمَانُ أَنْ تُؤْمِنَ بِاللَّهِ وَمَلاَئِكَتِهِ وَبِلِقَائِهِ وَرُسُلِهِ، وَتُؤْمِنَ بِالْبَعْثِ ‏"‏‏.‏ قَالَ مَا الإِسْلاَمُ قَالَ ‏"‏ الإِسْلاَمُ أَنْ تَعْبُدَ اللَّهَ وَلاَ تُشْرِكَ بِهِ، وَتُقِيمَ الصَّلاَةَ، وَتُؤَدِّيَ الزَّكَاةَ الْمَفْرُوضَةَ، وَتَصُومَ رَمَضَانَ ‏"‏‏.‏ قَالَ مَا الإِحْسَانُ قَالَ ‏"‏ أَنْ تَعْبُدَ اللَّهَ كَأَنَّكَ تَرَاهُ، فَإِنْ لَمْ تَكُنْ تَرَاهُ فَإِنَّهُ يَرَاكَ ‏"‏‏.‏ قَالَ مَتَى السَّاعَةُ قَالَ ‏"‏ مَا الْمَسْئُولُ عَنْهَا بِأَعْلَمَ مِنَ السَّائِلِ، وَسَأُخْبِرُكَ عَنْ أَشْرَاطِهَا إِذَا وَلَدَتِ الأَمَةُ رَبَّهَا، وَإِذَا تَطَاوَلَ رُعَاةُ الإِبِلِ الْبُهْمُ فِي الْبُنْيَانِ، فِي خَمْسٍ لاَ يَعْلَمُهُنَّ إِلاَّ اللَّهُ ‏"‏‏.‏ ثُمَّ تَلاَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏{‏إِنَّ اللَّهَ عِنْدَهُ عِلْمُ السَّاعَةِ‏}‏ الآيَةَ‏.‏ ثُمَّ أَدْبَرَ فَقَالَ ‏"‏ رُدُّوهُ ‏"‏‏.‏ فَلَمْ يَرَوْا شَيْئًا‏.‏ فَقَالَ ‏"‏ هَذَا جِبْرِيلُ جَاءَ يُعَلِّمُ النَّاسَ دِينَهُمْ ‏"‏‏.‏ قَالَ أَبُو عَبْدِ اللَّهِ جَعَلَ ذَلِكَ كُلَّهُ مِنَ الإِيمَانِ‏.‏

Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai, Nabi e akram ﷺ logo ke saamne tashrif farma the ke achanak ek shakhs aapki khidmat me hazir hua aur puchne laga, 'Eeman kya hai?'

Aap ne farmaya: 'Eeman ye hai ke tum Allah par, aur uske farishto par aur roz e hashar Allah ke huzur pesh hone par aur Allah ke rasoolo par eeman lao aur qayamat ka yaqeen karo.'

Unhone mazeed sawal kiya, Islam kya hai?

Aap ne farmaya, 'Islam ye hai ke tum mahez Allah ki ibadat karo aur uske saath kisi ko shareek na karo, namaz thik taur pe ada karo aur farz zakat ada karo aur ramzan ke roze rakho.'

Fir unhone pucha, 'Ahsaan kya hai? Aap ne farmaya, 'Ahsaan ye hai ke tum Allah ki ibadat is tarha karo goya tum use dekh rahe ho, agarche tum use nahi dekh rahe ho lekin wo to tumhe dekh raha hai.”

Unhone kaha, Qayamat kab barpa hogi?

Aap ﷺ ne farmaya: 'Jis se sawal kiya gaya wo bhi sawal karne wale se zyada nahi jaanta, albatta mai tumhe qayamat barpa hone ki kuch nishaniya bata deta hu, jab laondi apni malik ko janegi aur jab siyah oonto (camel) ke charane wale (deehati log tarakki karte karte) maqanat ki taameer me ek dusre se bazi le jaynge (toh qayamat karib hogi). Darasal qayamat un paanch baato me se hai jinko Allah ke siwa aur koi nahi jaanta.'

Fir aapne ye ayat tilawat farmai, 'Beshak Allah hi ko qayamat ka ilm hai..' iske baad wo shakhs wapas chala gaya, toh aapne farmaya, use mere pass laao. Chunanche logo ne use talash kiya lekin uska koi surag na mila toh Aap ﷺ ne faramaya, “Ye Jibreel the jo tumhe tumhara Deen sikhane aaye the.”

Imam bukhari r.h. kahte hai, 'Rasoolullah ﷺ ne in tamam chizo ko eeman karaar diya tha.'

Sahih al bukhari, kitab al eeman (2), hadees- 50.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame eemaan e kaamil ata kare. aameen.
Read More »

Sahaba Ka RasoolAllah Se Muhabbat Ka Manzar

hi  -
Sahabao ka RasoollAllah ﷺ se muhabbat ka manzar RasoolAllah ke sahabi, Urwa bin Masood r.a. bayan karte hai. Ye waqya hai Sulah Hudaibiya ke mauke ka. Is mauke par Urwa r.a. musalmaan nahi hue the, wo baad me Musalman hue the. Urwa r.a. kafiro ki taraf se Agent ban kar aye the Aap ﷺ ke pas unse mu'aida karne ke liye. Fir Jo Manzar unhone RasoolAllah aur sahaba ke darmiyan dekha wo ye tha, Urwa bin Masood r.a. us manzar me:

“Urwa r.a. Ghoor Ghoor Kar RasoolAllah Ke Ashaab R.a. Ki Naqal Aur Harkat Dekhte Rahe. Fir Raawi Ne Bayan Kiya Ke Qasam Allah Ki Agar Kabhi Rasool Allah ﷺ Ne Balgam Bhi Thooka Toh Rasoolallah Ke Ashaab Ne Apne Haathon Par Use Le Liya Aur Ise Apne Chehre Aur Badan Par Mal Liya, Kisi Kaam Ka Agar Rasoolallah Ne Hukum Diya Toh Uski Bajaawari Me Ek Dusre Par Log Sabqat Le Jane Ki Koshish Karte. Rasoolallah Wuzu Karne Lage Toh Aisa Maloom Hua Ke Rasoolallah Ke Wazu Ke Paani Par Ladai Ho Jaayegi (yaani Har Shakhs Us Paani Ko Lene Ki Koshish Karta Tha). Jab Rasoolallah Guftagu Karne Lagte The Toh Sab Par Khamoshi Chaa Jati. Rasoolallah Ki Taazeem Ka Yeh Haal Tha Ke Rasoolallah Ke Sathi Nazar Bhar Kar Rasoolallah Ko Dhekh Bhi Nahi Sakte The."

Fir Jab Urwa r.a. Jab Apne Sathiyon Se Jaa Kar Mile Toh Un Se Kaha,

Aye Logon! Qasam Allah Ki, Mai (Bade-Bade) Baadshahon Ke Darbaar Me Bhi Wafad Le Kar Gaya Hu Kaisar O Kasra Aur Najashi Sab Ke Darbaar Me, Lekin Allah Ki Kasam Mai Ne Kabhi Nahi Dhekha Ke Kisi Baadshah Ke Sathi Uski Is Darja Taazeem Karte Hon Jitni Rasoolallah Ke Ashaab Rasoolallah Ki Karte Hai, Allah Ki Qasam Agar Rasoolallah Balgam Bhi Thook Diya Toh Unke Ashaab Ne Use Apne Hathoon Me Le Liya Aur Use Apne Chehra Aur Badan Par Mal Liya, Rasoolallah Ne Unhein Agar Koi Hukum Diya Toh Har Shaks Ne Use Baja Laane Ki Koshish Ki, Rasoolallah Ne Agar Wuzu Kiya Toh Aisa Malum Hota Ke Rasoolallah Ke Bache Hue Wazu Ke Paani Par Ladai Ho Jayegi Ki Kaun Us Pani Ko Hasil Karle. Rasoolallah Ne Jab Guftagu Shuro Ki Toh Har Taraf Khamoshi Chaa Jati. In Ke Dilon Me Rasoolallah Ki Taazeem Ka Yeh Aalam Tha Ke Rasoolallah Ko Unki Izzat Ke Wajah Se Nazar Bhar Kar Bhi Nahi Dekh Sakte The.”

Sahih al-Bukhari, Book of Conditions, Book no. 54, Hadith-2731, 2732.


•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame sahaba ke naqshe-qadam par chalaye. aameen.
Read More »

1 Jan 2018

Momino Ki Maa Hazrat Ayesha r.a.


۩ Abu Musa al-Ash'ari r.a. unke bareme kahte hai:

ما أشكل علينا أصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم حديث قط فسألنا عائشة إلا وجدنا عندها منه علما-

Jab bhi hame (RasoolAllah ke sahabi) ko koi pareshani hoti kisi hadith me, ham Ayesha r.a. ke pas jate the aur (hamesha) paate ki unke pas hadith ka ilm hai.

[Sunan Tirmizi hadith no: 3883]

۩ Masrooq r.a. riwayat karte hai ki unse pucha gaya tha ki kya Ayesha r.a. ke pas wirasat ke batware ka ilm hai, unhone farmaya, “Allah ki kasam! Maine bade sahabah ko unse Faraid(Wirasat ke Qanun) ke bare me puchte hue suna.

[Imam Hakim in his Mustadrak 4/11, Musannif Ibne abi shaiba Kitab al Faraid, Imam Darami in his Sunan Kitab al Faraiz Chapter Taleem al faraiz no:2901 Dar ul Mugni Muhaqqiq of Sunan Darami said Chain is Authentic)].

۩ Jab Ayesha r.a. apne maut ke kareeb thi, Ibn Abbas ne unse milne ki ijazat mangi, aur fir unhone Ayesha r.a. se kaha: Rasool Allah ﷺ apne biwio maise ap se sabse zyada Muhabbat karte the aur Allah ke Rasool ne kisi se muhabbat nai ki siwae jo acha ho….. Allah ne jibreal ke zarye saat aasmano se apki masumiyat ki dalail bheje hai.”…..(Ayesha r.a. ne jawab diya) دعني منك يا ‏ ‏إبن عباس ‏ ‏والذي نفسي بيده لوددت أني كنت نسياً منسياً. Ae Ibn Abbas r.a. ise chhor do, Mai Allah ki kasam kha kar kahti hu jiske hath me meri zindagi hai, mai ek na-ma'loom(unknown) hona chahti thi.

[(Musnad Ahmad bin Hambal, Musnad Banu Hashim, Musnad Abdullah bin Abbas bin Abdul Mutlib)( Fadail e Sahaba of Imam Ahmad 2/872 no:1636)].

۩ Ayesha r.a. riwayat karti hai ki unhone 'Abdullah bin Zubair, ko wasihat kit hi, “Mujhe unlogo(Rasool aur unke do sahabi) ke sath mat dafnana lekin mujhe meri sathi(RasoolALlah ki biwio) ke sath dafnana.

[Bukhari Book #59, Hadith #644].

۩ Hafiz Ibn e Qayyam farmate hai:

'Un ki munfarid Khususiyat maise ye hai ki Allah ne unki masumiyat ka elaan kiya jo logo ne un par ilzam lagaya aur un ke liye ayate nazil farmayi unki masumiyat ke liye jo musalman apni masjid me tilawat karte hai qayamat tak. Allah ne khud gawahi di ki wo ek achi aurto maise hai aur unse magfirat ka wada kiya aur achi rizk ka. Us azmat wale ne bayan kiya ki jo unpar buhtan lagaya gaya tha wo akhir me un ke liye behtar sabit hua, akhir me ye un ke liye bura sabit nahi hua aur unke rutbe(status) ko koi nuksan na pohcha saka kyuki is ke zarye Allah ne unka martabe ko aur buland kiya aur unki masumiyat ka zikr aasman aur zameen me hota hai jo be-misal achi baat hai.

Aur unki munfarit khususiyat maise ye bhi hai ki Allah ke Rasool ne unke ghar me wafat payi us din un ke bazoo me aur Allah ke Rasool ko unke ghar me dafan kiya gaya tha.'

[Jalaa’ al-Afhaam, pp. 237-241]

۩ Ayesha r.a. ne 2210 hadiths riwayat ki thi.

[Siyar A'lam al-Nubala by Imam Ad Dahabee 2/139]

•٠•●●•٠•
Read More »

31 Dec 2017

Hazrat Abu Hurairah r.a. Ki Waleda Ka Qubool E Islam


Abu Hurairah r.a. Ki Waleda Islam nahin laayi thi , Abu Hurairah r.a. Waleda ko Islam ki Dawat dete to woh Inkar kar deti, Ek Din Abu Hurairah r.a. ne Waleda se Israr Kiya ke Islam Qaubool karlein is per Gusse main Aakar Waleda ne Rasool ﷺ ko bura bhala keh diya.

Abu Hurairah r.a. Bahot ranjeeda hue aur rote rote Rasool ﷺ ki khidmat Main gaye aur Arz ki : Aiy Allah ke Rasool ﷺ Main Apni Waleda ko Islam ki dawat deta rehta hoon aur woh inkar karti rehti hain , aaj fir mene unhe Islam ki taraf bulaya to unhone Aap ke baare main ghalat baatein kahin , Aiy Allah ke Rasool ﷺ Allaah se Dua kijiye Woh Umme Abu Hurairah r.a. ko Islam ki Hidayat de,

Rasool ﷺ Ne unke Liye Dua ki, Abu Hurairah r.a. ghar Wapas Aaye Darwaza kholna chah to wo band tha Dastak dene per waleda Ne Darwaza khola aur sath hi kaha : Ash hadu Anna Laa ILAHA ILLALLAHU Wa Ash Hadu Anna Mohammed ur Rasool Allah

Abu Hurairah r.a. ne yeh kalmaat waleda ki zuban se sune to foran Wapas Rasool ﷺ ki khidmat main hazir hue, unki aankhon main Khushi ke aansoo they unhone kaha : Aiy Allah ke Rasool ﷺ khush ho jaiye Allah ne aapki Dua Qubool karli hai.

Abu Hurairah r.a. ne Arz ki: Aiy Allaah ke Rasool ﷺ Allah se Dua Kijiye ke woh apne momin bando ke dilon main meri aur meri waleda ki mohabbat daalde aur unhe hamare liye mehboob bana de ,

Rasool Allah ﷺ ne Dua ki: Aiy Allah  apne is pyare bande aur iski waleda ko apne momin bando ka mahboob bana de aur momino ki mohabbat inke dilon main daal de "

Sahih Muslim, hadith-2491.
Read More »

27 Dec 2017

Nabi ﷺ ki Youm-e-Wiladat par tareekh ka ikhtilaaf

1) 2 Rab-ul-awal
2) 8 Rabi-ul-awal
3) 10 Rabi-ul-awal
4) 12 Rabi-ul-awal
5) 17 Rabi-ul-awal
6) 18 Rabi-ul-awal
7) 22 Rabi-ul-awal 
[Al-Bidayah wal nihaya , vol 2 pg 320]
8) 9 Rabi-ul awal
[Araheek-ul-Makhtoom, page#101]
9) 5 Rabi-ul-awal
[seerat-e-Tayabba pg 76]
 
10) Shaikh Abdul Qadir jilani Rh.a apni kitab main tehreer frmatay hain k “Humaray Nabi kareem s.a.w ki wiladat 10 moharram ko hui hai.”
[Ghuniat-ul-Talibeen, pg#392/2, Taba’ Beirut)
11) Bani-e-maslak BARELWI, Ahmed Raza khan sahab barelwi apni kitaab Fatawa rizviya, page # 412 , vol 26 mai zikar karte hain k 8 Rabi-ul-awal Nabi S.A.W.W ki wiladat ka din hai , iske baad wafaat ka zikar karte hain k wafaat-un-nabi S.A.W.W 12 rabbi-ul-awal hai. Jub k “Malfuzaat” 220/2 likhtay hain k “Nabi s.a.w ki wiladat 12 Rabi-ul-Awwal ko hai or isi main wafaat shareef bhi hai.”
12) Mashhoor Mufassir or tarikhdaan Haafiz Ibn-e-Kaseer rh.a kay mutabiq tareekh-e-wiladat 8 Rabi-ul-Awwal hai. [Al-Bidayah wal Nihaya (Imam Ibn Kaseer), vol.2, pg.259-262]
13) Imam Tabri rh.a or Imam Ibn Khuldun ne 12 Rabi-ul-Awwal ko ikhteyar kia.
[Ba-Hawala Rahmatulli Alameen, Allamah Qazi Sayyed Suleman Mansurpuri, Hashiah 1/40]
14) Aur Imam Ibn-e-Jauzi ne apni kitab main 10 Rabi-ul-Awwal ko awwaliyat di hai.
[Alwafa Ba Hawal-ul-Mustafa (s.a.w)(154/1 taba’ Ryadh)]
15)  jab k Maazi-eqareeb kay do azeem seerat nigaron Allamah Qazi Suleman Mansurpuri ne Rahmatulli Alameen 1/40 main aur Allamah Shubli Mumani ne Seerat un Nabi (s.a.e) 1/171 main 9 RABI-UL-AWWAL jadeed tehqeeq kay mutabiq sahih tareen tareekh-e-wiladat qarar dia hai.
16) Aur Misir (Egypt) kay ma’roof Maahir-e-falkiaat or Hi’at daan Mehmood Pasha ne dalail-e-riyazi ki roo say muta’addid zaechay bana ker saabit kia hai Ap s.a.w ki wiladat ki sahih tarikh 9 RABI-UL-AWWAL hi ati hai.
[“At-taqweem-ul-Arabi qablul Islam (Az Memood Pasha) pg.36-39, taba’ Qatar, Hadaiq-ul-Anwar page#29, jild 1, بحوالہ محاضراتِ تاریخ الامم الاسلامیہ از خضری بک :ص۶۲]
Agar cheh WILADAT k mamlay mai sab se sahih rivayat 9 rabbi-ul-awal hai , leken tamam rivayat mai shadeed ikhtilaf hai.
Read More »

26 Dec 2017

Nabi ﷺ Ki Wafaat Ke Waqt Ka Bayan


Huzur ﷺ ke Wafaat ka waqt:

Hajrat:- Umar Farooq r.a.:– wafaat ki khabar sun ker inke hosh jaate rahe aur wo khare ho ker kahne lage “ Kuch Munafeqeen Samajhte hai Rasulullah sallaho Alihe Wasallam ki Wafaat ho Gai Lekin Haqeeqat ye hai ke Rasululllah ﷺ ki Wafaat nahi hui , Balke Aap apne Rabb ke paas Tashreef le gaye hai.

Jis Tarah Musa bin Imran Ali salam Tashreef le gaye the aur apni Qaum se 40 raat Gayeb rah ker unke paas fir waapis aa gaye the, halake waapsi se pahle kaha jar aha tha ke wo intaqaal ker gaye hai.”

Khuda ki kasam Rasulullah sws bhi juror palat ker aayenge aur un logo ke haath Paao kaat daalenge jo Samajhte hai ke Aap sallaho alihe wa sallam ki Maut waqi Ho chuki hai.

Hajrat Abu Bakr r.a.:– Mere Maa Baap Aap per Qurbaan , Allah aap par 2 Maut Jama Nahi karega, jo Maut Aap per likh di gait hi wo aap ko aachuki.

Us ke baad Abu Bakr Bahar Tashreef Laye us waqt bhi Hajrath umar r.a. logo se baate ker rahe the, hajrat Abu Bakr ne un se kaha Umar Baith Jao, Hajrat umar R.A. ne Baithne Se inkaar kar dia. Sahaba Hajrath umar ko chor ker Hajrat abu bakr ki taraf Mutawajja ho gaye. Hajrat Abu Bakr ne Fermaya.

Amma Baad” Tum me se jo shakhs Muhammad Sws ki Ibaadat (Pooja) Karta tha wo jaan le ke Muhammad sws ki Maut waaqi ho chuki hai . Aur tum me se jo shakhs Allah ki ibaadat kerta tha to yaqeenann Allah humesha zinda Rahne wala hai , kabhi nahi marega.

Fir unhone ye ayat parhi. Soorah Imran {3 : 144 }

“Muhamad nahi hai mager Rasool hi un se pahle bhi bahut se Rasool guzar chuke hai . to kya ager wo mar jaye ya un ki maut waaqih ho jaaye ya qatl ker diye jaye to tum log kya Aeeri ke bal palat jaaoge.?

Aur jo shakhs Apne Aeeri ke bal palat jaye to yaad rakhe ke wo Allah ka kuch nuksaan nahi pahucha sakta. Aur Anqareeb Allah shukr karne walo ko Jaza dega. Uske baad Hajrat umar ne Fermaya mai ne jo hi Abu bakr ko Telawat kerte hue suni intahai Mutahhyer aur dahshat zada ho ker rah gaya . Hatta ke mere paao mujhe uthha hi nahi rahe the aur hatta ke Abu bakr ko us ayat ki talaawat kerte sun ker mai zameen per gir Para.kyoke mai jaan gaya waqai Nabi sws ko maut aa chuki hai.

{Ibne Hishaam = 2 /655 } {Bukhari- 3667, 3668 }

•٠•●●•٠•

Prepared By: A.Sayed
Read More »