اقرأ باسم ربك الذي خلق

Showing posts with label Shirk and Tawheed. Show all posts
Showing posts with label Shirk and Tawheed. Show all posts

29 Apr 2020

Hai Koi Dua Maangne Waala | Hadees e Qudsi


Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Jab Raat ka pahla tihai hissa guzar jaata hai toh Allah taala aasman e duniya par nuzul farmate hai aur kahte hai ke Mai Baadshah hu, Mai baadshah hu!
Kaun hai jo mujh se dua kare ke mai use qubool kar lu?
Kaun hai jo mujh se sawal kare ke mai use ata karu?
Kaun hai jo mujh se baksish talab kare ke mai use baksh du? Musalsal tuloo e Fajr tak isi tarha hota rahta hai.'

Sahih Muslim, kitab salaat al musafireen (6), hadees- 1773. (pic)

•٠•●●•٠•
Read More »

24 Dec 2019

Ambiya a.s. ko Pukaarna | Imam Qurtubi


۞ Allah farmate hai,

Inhe pukaro toh woh tumhari duae sun nahi sakte. Aur sun le to unka tumhe koi jawab nahi de sakte. Aur qayamat ke roz woh tumhare shirk ka inkar kar denge. Haqeeqat e haal ki aisi saheeh khabar, tumhe, ek khabardar ke siwa koi nahi de sakta.

Surah Fatir, ayat- 14.

۩ Is ayat ki tafseer me Imam Qurtubi farmate hai,

'Matlab ki agar mushkil haalaat me tum unhe madad ke liye pukaro toh wo sun nahi sakte kyuki wo Jamadaat hai, na wo dekh sakte hai aur na hi wo sun sakte hai.

Ye mumkin hai ki ye ayat farishto, jinno, ambiya aur shaitan ke liye ho kyuki wo tumhare amal ka inkaar kar denge aur ye ki unhone tumse kaha ho ki unki ibadat ki jaaye. Jaise ki Eesa a.s. kahenge, Mai wo chiz kaise kah sakta hu jiske kahna ka mujhe koi haq nahi hai.' alfaz khatm.

Tafseer al Qurtubi, surah fatir, ayat- 14.

۞ Allah farmate hai,

Aur tumhare Rab ka farmaan hai, Mujhe pukaro, mai tumhari duae qubul karunga.

Surah Momin, ayat- 60.

۩ Is ayat ki tafseer me Imam Qurtubi farmate hai.

'Tumhare Rab ka farmaan hai, Mujhe pukaro, mai tumhari duae qubul karunga.', ye is baat ko sabit karti hai ki Dua ek ibadat hai, aur aksar Mufassireen ki yahi raaye hai.' alfaz khatm.

Tafseer al Qurtubi, surah momin, ayat- 60.

•٠•●●•٠•
Read More »

23 Dec 2019

Tawheed | Mulla Ali Qaari

en   -
Mulla Ali Qaari kahte hai,

ولا يسأل غيره ; لأن غيره غير قادر على العطاء والمنع ودفع الضر وجلب النفع ، فإنهم لا يملكون لأنفسهم نفعا ولا ضرا ، ولا يملكون موتا ولا حياة ولا نشورا ، ولا يترك السؤال بلسان الحال أو ببيان المقال في جميع الأحوال ، ففي الحديث : من لم يسأل الله يغضب عليه
إذ السؤال إظهار شعائر الانكسار ، والإقرار بسمت العجز والافتقار والإفلاس عن ذروة القوة والطاقة إلى حضيض الاستكانة والفاقة ، ونعم ما قيل :
الله يغضب إن تركت سؤاله وبني آدم حين يسأل يغضب
( ” وإذا استعنت ” ) أي : أردت الاستعانة في الطاعة وغيرها من أمور الدنيا والآخرة ( ” فاستعن بالله ” ) : فإنه المستعان وعليه التكلان في كل زمان ومكان . ” ”

(Allah ke siwa) kisi se mat maango kyuki dusre de nahi sakte, nuksaan ko bacha nahi sakte na hi nuksaan ko hata sakte hai, koi fayda nahi pahucha sakte, beshak dusre nafa ya nuksaan ka ikhtiyar nahi rakhte, na hi zindagi aur maut ka aur na (qayamat ke din) uthaaye jaane ka ikhtiyaar rakhte hai. Aur kisi bhi haalaat me (Allah ko) pukaarna mat choro, jaisa ki hadees kahti hai ki jo Allah se nahi maangta, Allah usse naraz hota hai.

Allah na maangne se naraz hota hai aur bani adam (insan) maangne se naraz hote hai.

Sirf Allah hi hai jise madad ke liye pukarna chahiye aur tamaam zamaan aur makaan inhisaar (depend) hai.

•٠•●●•٠•

Mirqat, 2/159; hadees no. 5302 ke tahat.
Read More »

8 Jan 2019

'Allah-Muhammad' Ka Naksh Banana Kaisa Hai?

hi  -
Alhamdulillah..

Hamare muashre me kuch gharo ke bahar ya fir gharo ke andar ye dekha jata hai ki 'Allah-Muhammad' naam ka naksh bana hua hota hai. Aur baaz auqat kapdo me bhi iska design bana hua hota hai. Is tarha ka naksh banana thik nahi hai kyuki isme shirk ki bu (smell) aati hai. Agar ek gair-muslim ise dekhega to use Tawheed ka ahsaas ho na ho lekin shirk ka ahsaas zarur ho jayega.

Hamari daleel ye hai:

Adi bin Hatim ؓ riwayat karte hai ki ke ek shakhs ne RasoolAllah ﷺ ke samne khutba diya aur (is mein) kaha: 'Jo Allah aur uske Rasool ki itaat karta hai usne rushad aur hidayat paali aur jo in dono ki nafarmani karta hai woh bhatak gaya.'
Is par RasoolAllah ﷺ ne farmaya: 'Kitna bura khateeb hai tu, (fiqre ke pahle hisse ki tarah) yun kaho, jisne Allah ki aur uske Rasool ki na farmani ki (woh gumraah hua).'
Ibn Numair kahte hai: Balki wo gumraah ho gaya.

Sahih Muslim, kitab al Jumah ﴾7﴿, hadith- 2010.

Is hadees me RasoolAllah ﷺ ne khateeb ko sirf isliye danta kyuki unhone Allah aur Rasool kahne ke bajaye 'Dono' alfaz kah diya tha, toh agar aj Rasool ﷺ maujud hote to wo kaise iski ijazat de dete ki koi Allah-Muhammad ka naksh banwa kar in dono naamo ko ek sath ek muqam par rakh de.

Kuch log ek aetraz kar sakte hai ki Allah aur Muhammad naam ek sath rakh kar koi Rasool ko Khuda ka darja nahi deta hai toh fir ye kyu galat hoga. Toh iska jawab ye hai ki agar ham gaur kare to wo sahabi (khateeb) 'Dono' ka lafz istemal kar ke Rasool ko Allah ka darja nahi de raha tha lekin iske ba-wujud RasoolAllah ne unhe is chiz se mana farmaya.

Iske bajaye wo naksh lagaye jaye jisse Tawheed ki khushbu aati ho aur Huzur ﷺ ki shaan bayan hoti ho jaise La ilaha illallah Muhammadur RasoolAllah, wagaira.

Aur Allah sabse behtar janta hai.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame sidhi raah ata kare. aameen.
Read More »

25 Oct 2018

Muhammad ﷺ Ka Dars e Tawheed

en  -
Ibn Abbas r.a. riwayat karte hai ki Mai ek din Rasoolullah ﷺ ke sath sawari par peeche tha, Aap ﷺ ne farmaya: "Aye ladke! Beshak mai tumhe chand aham baatein batla raha hun, Tum Allah ke ahkaam ki hifazat karo, wo tumhari hifazat farmayega, tum Allah ke huqooq ka khayal rakho use tum apne saamne paoge.
Jab tum koi cheez maango to sirf Allah se maango, (aur) jab tum madad chaho to sirf Allah se madad talab karo, aur ye baat jaan lo ke agar saari ummat bhi jama hokar tumhe nafa pahunchana chahe to wo tumhe is se zyada kuch bhi nafa nahi pahuncha sakti jo Allah ne tumhare liye likh diya hai, aur agar wo tumhe kuch nuqsan pahunchane ke liye jama hojaye to is se zyada kuch nuqsan nahi pahuncha sakti jo Allah ne tumhare liye likh diya hai, qalam utha liye gaye, aur (taqdeer ke) saheefe khusq ho gaye hain.

Sunan Tirmizi, Chapters on the description of the Day of Judgement, Ar-Riqaq, and Al-Wara', hadith-2516. Ise Imam Tirmizi ne Hasan Sahih karar diya hai aur Shaykh Zubair ali zai ne Hasan karar diya hai.

Umar bin Khattab r.a. riwayat karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya: 'Agar tum log Allah par tawakkul karo jaisa ke us par tawakkul karne ka haq hai to tumhe usi tarah rizk milega jaisa ke parindon ko milta hai ke subah ko wo bhuke nikalte hai aur shaam ko wo pet bhar kar wapas aate hai.'

Sunan Tirmizi, Chapters On Zuhd, hadith - 2344. Ise Imam Tirmizi ne Hasan Sahih karar diya hai aur Shaykh Zubair ali zai ne Hasan karar diya hai.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame in taaleemaat par amal karne ki taufeek ata kare. aameen.
Read More »

29 Jun 2018

Shirk Ko Samjhane Ke Liye Quran Ki Kuch Hakeemana Misaale


Allah ﷻ ne Shirk ki haqeeqat ko samjhane ke liye behtareen misaale di hai. Ek Dayee ke liye ye ek khazane ki tarha hai jiske zarye wo Gair-Musalmano ko dawat aur Musalmano ki Islah kar sakta hai.

۩ Jin logon ne Allah ke siwa aur kaarsaaz (madadgaar) muqarrar kar rakhe hain un ki misaal makdi (spider) jaisi hai jo ek ghar bana leti hai halanke tamam gharon se sabse zyada kamzor ghar makdi ka hota hai, kaash! woh jaan lete.

Surah Ankaboot (29), Ayat-41.

۩ Logo! Ek misal bayan ki ja rahi hai zara dhyan se suno, Allah ke siwa jin ko tum pukarte ho woh ek makkhi bhi paida nahi kar sakte. Agarche iske liye wo sare ikhatta ho jaye balki agar makkhi un se koi cheez le jaye to yeh to use bhi us se chura nahi sakte. Kamzor hai talab karne wala aur woh jis se talab kiya ja raha hai.
Unhone Allah ke martabe ke mutabiq uski qadar jani hi nahi, Beshak Allah bada hi quwat wala aur sab par galib hai.

Surah Hajj (22), Ayat-73-74.

۩ Usi ko pukarna haq hai. Jo log auron ko us ke siwa pukarte hain woh un (ki pukar) ka kuch bhi jawab nahi dete magar jaise koi shaks apne dono hath pani ki taraf failaye hue ho ke (pani) us ke munh me aa jaye halanke woh pani us ke munh mein pahunchne wala nahi. In kafiro ki pukar sab gumrahi me hai.

Surah Raad (13), Ayat-14.

۩ Allah Taalaa ek misal bayan farmata hai ke ek gulam hai (dusre ki milkiyat ka) jo kuch bhi nahi kar sakta aur ek aur shaks hai jise humne apne paas se achhi rozi de rakhi hai. Kya wo  dono barabar hai? Allah Taalaa hee ke liye sab tareef hai balke in mein se aksar nahi jante.

Surah Nahal (16), Ayat-75.

•٠•●●•٠•
Read More »

23 Jun 2018

Ya Muhammad ﷺ Kahna Kaisa Hai ?


"Ya Muhammad" ya fir "Aye Muhammad" kahne me koi harj nahi hai. Balki Ham log apni  har namaz me kahte hai "Aye Nabi". Aur agar ye galat hota to hame apne Nabi se ye kahne ki taleem hi nahi milti. Ham namaz ke tashahhud me padhte hai:

التَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ السَّلامُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ السَّلامُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِينَ أَشْهَدُ أَنْ لا إِلَهَ إِلا اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ

"(Meri Saari) Qauli Badani aur Maali Ibaadat Sirf Allah Ke Liye Khaas Hai. Aye Nabi Aap par Allah Ta’ala Ki Rahmat, Salamati aur Barkatei’n Ho’n aur Ham par aur Allah ke (Dusre) Nek Bando’n par (bhi) Salaamati ho, Main Gawahi Deta Hu’n ke Allah Ke Siwa Koi (Saccha) Ma’abood Nahi Hai aur Main Gawahi Deta Ho Ke Muhammad Allah Ke Bande Aur Rasool Hain."

Sahih al Bukhari, Kitab al Istezaan (79), hadith- 6265.

Yaha par Tashahhud ka jo ek lafz hai "Ayyuhan Nabiyu" iska tarjuma hai "Aye Nabi" jiska maltab hi 'Ya Nabi' hai.

Lekin RasoolAllah ﷺ ko madad ke liye pukarna chahe wo "Ya" alfaaz laga kar ho ya bina "Ya" alfaz lagaye, ye Allah ke yaha sabse bada gunah hai jiski qayamat ke din muafi nahi hai kyuki kisi se ghaib me madad mangna Dua hai aur Dua ek ibadat hai aur ibadat sirf Allah ki hi honi chahiye.

۩ Hazrat Numan Bin Bashir r.a. Se Riwayat Hai Ki Rasoollallah ﷺ Ne Farmaya, “Dua Ek Ibadat Hai.” Fir Aap ﷺ Ne (Surah Momin” Ki “Aayat-no-60 Ki) Tilawat Ki (Jiske Alfaz Hai) “Aur Tumhare Rab Ka Farman Hai Ki Mujhe Pukaro, Main Tumhari Dua Qubool Karunga, Aur Jo Log Meri Ibaadat Se Takabbur Karte Hain Woh Zaleel-o-khuwar Hokar Jahannum Main Dakhil Honge.”

Jamia Tirmizi, kitab-ul- Dua, Hadith-no: 3372. Classed As Hasan Sahih by Imam Tirmidhi and Sahih By Sheikh Zubair Ali Zai.

Baaz auqat sher o shayri ya nasheed ke alfaz me 'Ya Nabi' ya isi tarha ke alfaz hote hai toh wo galat nahi hoga jab tak ke us sher o shari ya nasheed me ye alfaz ko laga kar Nabi ﷺ se madat na mangi ja rahi ho. 

Isi tarha agar koi muhabbat ya jazbaat me kisi ko 'Ya' alfaz istemal kar ke pukarta ho chahe ghaib me ya zahir me to isme bhi koi harj nahi hoga jab tak ke wo ghaib me madad ke liye na pukar raha ho us shaks ko.

Isi Tarha Labbaik ya RasoolAllah (RasoolAllah mai apki itaat ke liye hazir hu) bhi kahne me koi harj nahi hai agar koi is alfaz ke zarye muhabbat ya apne jazbaat ka izhar karta hai ya agar koi ise sher o shayri ya nasheed me istemal karta hai.
Lekin Jis chiz ki ijazat nahi hai wo ye hai ki koi ise Labbaik Allahumma labbaik ke mukable pe kahe ya fir ye ke in alfaz ke zarye ghaib me RasoolAllah ﷺ se madad mange kyuki ye sabse bada gunah hai jiski qayamat ke din muafi nahi hai aur ye RasoolAllah ﷺ ke talimaat ke khilaf bhi hai.

Ek aur alfaz hai "Ya Rasool allahi unzur halana Ya Habibullaha isma qal'ana" iska matlab hai ki "Aye Allah ke Rasool hamare haal ke taraf apni nigah kare, Aye Allah ke habib hamare duae sune". Ye kahne ki ijazat nahi hai kyuki isme RasoolAllah se Dua kari ja rahi hai jab ki Dua ek ibadat hai jo ki sirf Allah ke liye khas hai.

Hamare muashre me ye galat fehmi hai ki 'Attahiyaat...' jiska zikr upar kiya gaya hai wo  Meraj ke raat ki Allah aur Rasool ﷺ ki guftutgu hai halanki iski koi daleel maujud nahi hai. Toh ye kahna sahih nahi hai ki 'Attahiyaat...' Meraz ki raat ki guftugu hai.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame Rasool ﷺ ke tarike par chalaye aur hame unlogo me shamil na kare jo qayamat ke din Allah ka gussa kamayenge. aameen.

Related: Allah ke alawa kisi aur se dua karna aur Sahaba ka Aqidah
Read More »

3 Jan 2018

Sirf Allah Se Hi Madad Kyu ?


Abu Zarr r.a. se riwayat hai ki unhone Rasoollullah ﷺ se suna ki Allah Subhanahu ne farmaya:

"Aye Mere bando maine zulm ko apne upar haram kiya hai aur tum par bhi haram kiya... to ek doosre per zulm na kiya karo"

"Aye mere bando tum sab gumraah ho siwa uske jise maine hidayat di.. Tum mujhse hidayat maango mai tumhe hidayat dunga"

"Aye mere bando tum sab bhooke ho siwa uske jisey mai ne khana khilaya...Tum mujhse khana maango. Mai tumhe khana dunga.."

"Aye mere bando tum sab nange ho siwa uske jisey maine libas pehnaya..Tum mujhse libas maango. Mai tumhe libas dunga"

"Aye Mere bando tum raat din gunaah karte ho aur main sab gunaahon ko maaf krta hoon...to bakhshish maango mujhse main bakhshunga tumko"

"Aye mere bando tum mera kuch nuksaan nahi kar saktey aur na mujhko faayda pahuncha saktey ho.
Ai mere bando agar tumhare agle aur pichle aur aadmee aur jinnat sab aisey ho jaaye jaisey tum mein ka bada parhezgar to meri sultanat mein kuch afzayeesh (Addition) na hogi aur tum mein agle aur peechle aur admee aur jinnat sab milkar aise ho jaye jaise zameen ka bada badkaar shaksh to meri Saltanat mein se kuch kami na hoga"

"Aye mere bando agar tumhare agle, pichle aur aadmee aur Jinnat sab ek maidan mein khade ho phir mujhse maangna shuru kare aur main har ek ko jitna maange de du tab bhi mere paas jo kuch hai wo kam na hoga magar itna jaise dariya mein suyee daal kar nikal lo."

"Aye mere bando ye tumhare hi aamal hain jinko tumhare liye shumar karta rahta hun phir tumko in aamal ka pura badla dunga... to jo shaksh behtar badla paye use chahiye ki Allah Subhanahu ka shukr kare ki uski kamayee bekar na gayee aur jo bura badla paye to apney hi aapko bura samjhe."

Hazrat Said r.a. ne kaha ki Abu Idris jab ye hadith bayan karte to apne ghutno ke bal gir padte the.

Sahih Muslim, Vol-6, hadith- 6572.
Read More »

27 Dec 2017

Nek Logo Ki Taareef Me Izafa


Nek logo se had se zyada Muhabbat aur Taareef ek bunyad hoti hai Shirk aur butparasti ki. Buddha aur Eesa a.s. ki tasweer ki ibadat Buddhism aur Isaiyat me saaf misal hai jo bayan karti hai daur e hazir ki butparasti jo nek logo ki had se zyada mohabbaat aur taareef karne ki wajah se hui.

RasoolAllah ﷺ ko bhi ye khatreh ka andesha tha, isi liye RasoolAllah ne apne sahabao aur musalmano ko unki asal zaat se badha chadha kar taareef karne ko mana kiya tha.

Umar ibn Khattab r.a. riwayat karte hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Meri Tareef me izafa mat karna jese ki Eesayo ne Eesa ibn Maryam ki kari thi. Beshak mai Allah ka gulam hu, isi liye mujhe Abdullah wa RasoolAllah kah kar pukara karo(Allah ka banda aur Rasool ) .” 

SAHIH AL BUKHARI, HADITH- 654.

Chuki us waqt ye Isaiyo aur Yahoodio ka amal tha Rasoolo aur nek buzurgo ki kabr par ibadatgaah banane ki, so RasoolAllah s.a.w. ne lanat farmai thi is amal par . RasoolAllah ne unlogo ko bhi lanat farmai thi jo aenda aesa amal karenge is liye taki ye baat saaf ho jae ki Islam kitna pak-saaf hai in mushrikana amalo se aur taaki logo ko nek buzurgo ki Taareefo me izafa karne ke khatreh se aagah kiya jaae.

Ek martaba Rasool Allah ki biwi Umm Salamah r.a. ne RasoolAllah se ek Girja(Church) jo ke Ethiopia me tha uska zikr kiya jisme tasweere thi (deewaro par) .ye sun kar Ap s.a.w. ne farmaya, “IN LOG AESE HAI KE JAB IN LOGO MESE KOI NEK BANDA MAR JATA HAI, TO YE LOG UNKI KABR PAR IBADAT KI JAGAH BANA LETE HAI AUR RANG (PAINT) DETE HAI USKO KUCH TASWIRO SE. YEH ALLAH KE NAZDEEK SABSE BADTAREEN MAKHLUQ HAI.”

SAHIH AL BUKHARI-419, SAHIH MUSLIM-1076.

RasoolAllah ka bayan “Sabse badtareen makhluq” un imarat banane walo ke liye saaf zahir karti hai ki ye amal sakht mana hai islam me bina koi riayat ke. Is sabse battareen lanat ki wajah ye amal ki haqiqat hai jo do ahem zarae hai butparasti ke:

1. Kabr ke upar Imarat banana
2. Tasweer banana.

Ye dono amal hameshah Shirk ke taraf le jate hai jo ki Nooh a.s. ki qaum ke buto ke kahani se saaf zaahir hota hai.
Read More »

Shirk Ki Shuruat


RasoolAllah ﷺ ne boht hi saaf alfazo me bayan kiya hai ki Tawheed aane ke baad shirk kaise faili. RasoolAllah ke sahabao ne Surah Nooh ki ayat 23 ki Tafseero se hame bilkul saaf tasweer dikhai hai, jaha Allah swt ne bayan kiya hai Nooh a.s. ki kaum ko jab ke Nooh a.s. ne unko sirf ek Allah ki ibadat karne ko dawat di . 


Aur kaha unhon ney kay hergiz apney maaboodon ko na chorna aur na wad aur suwaa aur yaghoos aur yaooq aur na nasar ko (chorna).

Quran, surah 71, ayat 23 .

Ibn Abbas r.a. is ayat ki tafseer me kahte hai 

“Sabhi but jinki ibadat Nooh a.s. ki kaum karti thi unhi buto ki ibadat Arab ke log bhi baad me karne lage the. WADD jo ke Dawmatul-Jandal ilakeh me tha kaumi Khuda ho gaya KALB Kaum ka, Suwa ko HUDHAYL qaum ne (Khuda) ikhtiyar kar liya tha, GHUTAYF kaum jo ke Saba ke pas aabad thi inhone YAGHOOTH ko (Khuda) ikhtiyar kara, HAMDAN kabile ne YA’OOQ aur NASR ban gaya Khuda DHUL KALA qaum ka jo ke HIMYAR nasl ke the . 

Ye buto ka naam rakha gaya tha kuch Nek logo ke naam pe jo ke Nooh a.s. ke kaum se the. Jab ye nek log faut ho gae tab Shaytan ne inlogo ko unke naam ke sath unke but banane par bahkaya.

Ye but logo ke pasandida milne ke jagah par rakha gaya taaki ye nekio ki yaad dilae aur un ke zamane me kisi ne bhi in buto ki ibadat nai ki thi.

Fir Jab in ki nasle mar gai, to in buto ke banana ke maksado ko bhula diya gaya, Shaitan un ke aulado ke pas aya aur unse kaha ki unke buzurg un buto ki ibadat karte the kyuki un buto ki wajah se hi barish hoti thi.

Unke aulado ko bewakuf bana diya gaya aur fir wo buto ki ibadat karne lage. Unke aane wali nasle bhi fir un buto ki ibadat karte rahe.

SAHIH AL BUKHARI, Prophetic Commentary on the Quran (Tafseer of the Prophet (pbuh)) [60:442].

Ye Tafseer jo Rasool ﷺ ke sahabi ne diye hai isse ye saaf maloom hota hai ki kis tarah se Tawheed ka Eeman hone ke bawajood baad me mushrikana aqaid me tabdeel ho jata hai. Ye Yakeen dilati hai bigde hue namune ki, Sanakhat karti hai taareekh me Buzurgo ke ibadat ki buniyad ko aur ye wazahat karti hai ke Islam me kyu Insan aur janwar ki but ya tasweer ke shakal ke aksiyat(depiction) banane ke sakht Khilaf hai. 

Ye Mumaniyat hame Musa a.s. ke Kitabo me bhi milte hai.

Aur Dusri Taraf Khatimun Nabeen ﷺ ne Khabardaar kiya tha unlogo ko jo taswire aur Murtiya banate the, uske sath sath unlogo ko bhi jo in chizo ko tang kar numaish karte hai, ke Allah unlogo ko sakht aazaab dega aakhirat me. 

RasoolAllah ﷺ ki biwi, Aishah bint Abu Bakr ne kaha,

Ek baar RasoolAllah aye mujhe dekhne ke liye aur maine ooni pardah se almari dhaki hui thi jispe pankho ke Ghode ki taswire bani hui thi. Aur jab RasoolAllah ne wo pardah dekha to unke chehre ka rang udd gaya aur unhone kaha, Ae Aishah, Wo jinko sabse sakht saza mil rahi hogi qayamat ke din wo wolog honge jo Allah ke takhlik ke kaam me muqabala karenge . Unlogo ko saza hogi aur jo unhone banaya hai unlogo ko unme jaan dalne ko kaha jaega. 

Fir RasoolAllah ye kahte gaye , ‘Beshak farishte us ghar me nai jate hai jisme Tasweer ya fir But maojud ho .’” 
Aishah r.a. ne fir kaha

“Isliye hamlogo ne pardeh ko tukdo me kat diya aur usse ek ya do takya bana liya.”

SAHIH AL BUKHARI, hadees- 838, SAHIH MUSLIM, hadees- 5254.
Read More »

26 Dec 2017

Kya Sahaba Rasoolallah Ke Kabr Par Madad Hasil Karne Ate The??


Anas (r.a) se riwayat hai ki Jab bhi sukha padta(barish ki kami hoti) toh Umar r.a Al- Abbas bin Abdul Muttalib r.a. se Allah se baarish ki dua karne ko kahte. Woh kahte – Aye Allah, hum apne nabi se baarish ki dua krne ko kahte the aur ap barish ki rahmat karte the aur ab (jab RasoolAllah ﷺ ki wafat hogai) hum unke chacha se dua karne ko kahte hai. Aye Allah! Humein baarish ata farma, aur fir barish hoti.

Sahih Al Bukhari, Invoking Allah for Rain (Istisqaa) [17:123].

Is hadees se sabit hua ki RasoolAllah ke faut hone k baad Sahaba Rasool ke kabr pe ja kar nai balki Rasool k chacha se dua karwaya karte the kyuki jo shaks faut ho jata hai us se madad mangna haram h aur zindo se madad mangna jaiz hai.

Jubair bin Mut`im riwayat karte hai: Ek Khatoon aai RasoolAllah ﷺ ke pass aur unhone unke pas wapas ane ka hukm diya tha. Khatoon ne farmaya agar ap nai hue to, jese wo kahna chahti ho ki agar ap faut ho gae to? “RasoolAllah ﷺ ne farmaya ki agar tum mujhe na pana to Abu bakr ke pas jana .”

SAHIH BUKHARI (Vol. 5, Book 57, Hadith 11), SAHIH BUKHARI (Vol. 9, Book 89, Hadith 327),

SAHIH BUKHARI (Vol. 9, Book 92, Hadith 459).

Ye ek khubsurat hadees hai Rasool ﷺ se madad mangne ke khilaf warna Hadith ke alfaz hone chaiye ki agar mai na hua to meri kabr par aana.
Read More »

Taweez

Bismillah ir Rahman ir Rahim Innal-Hamdalillah was-Salaatu was-Salaam `alaa Rasoolillah As-Salaamu alaikum wa-Rahmatullahi wa-Barakatuh

۞ Taweez Gandey Ka Karobar !

Bano Israil Kay Ulame Or Mashaikh Ki Tarhan Is Ummate Muhammadi Alehi Asalam Ki Ummat mein Taweez Gande Karne ko Apna Behtreen Karobar Bana Lia Jis se Quraan Paak Ka Irshaad Pori tarhan Sadiq Huta hai.

Surah Al Baqarah 101, 102.

Ahle Kitaab Kay Ek Grohow Ne Kitaab e Allah Ki Istarhan Passe Pushat Daal Dia Goya Kay Wo Kuch Jante Hi Nahi,Aur Allah Ki Kitaab Ko Chore Kay Unhone In Cheezon Ki Perwee Shorow Kardi,Jo Shayateen Hazrat Sulieman Alehi Asalam Ki Saltanat Ka Naam Lekar Paash Kia Karte They.

۞ Taweez Aur Gandey Aur Inki Sharee Hasiyat !

Ummat E Muhammadia Alehi Aslaam kay 50% Afraad Kay Gardanon Ki Talashe li Jay tu Kesi Mein Kagazi Taweez Latak Raha Huga.Kesi Mein Chota sa Quraani Nusqa-kesi Mein Dunia Kay Mukhtalif Mulqon kay Sikke,Kesi Mein Kodiyan Aur Monge,yeh Sab Cheezain In Allah Kay Bandoun kay Aqeedey Han Unko Baloon or Afaton se Bachahe Rakhne Kay Lia Huti Han.

Aaab In Cheezon kay Bare Mein Rasool Alhei Asalam Kay Irshadaat bhi Sounte Chalein.

Taweez Latkana Ka Shirk..

An Abdullah Bin Masood Razi Allah Anhu Riwayat Karte Han Kay Mein Nabi Alehi Asalam Ko Farmatey Souna Hai Kay Daam(wo Daam Jis Mein Shirkya Alfaz hun ) Taweez Or Tawila Sab Shirk Han

Baaz Kisam Kay Daam Jin Mein Shirkia Alfaz Na They Nabi Alehi Asalam unki Rukhsat Ata Farma Di,Mager Taweez Or Tiwala Ki bilkul Ijazat Nahi De.

Aj Kal Taweez Tiwala (Muhabbat Kay Taweez ) Ka Riwaj Aam Huagaya Hai ,Ye Mard Aur Aurat Mein Muhabbat Paida karne Kay Lia Istemal Kia Jata Hai Chahe Koi Aurat Kesi Dosre Ke Nikah Mein Kyun Na Ho.

Hadith Musnad Ahmad Rawa Book 3 Page No 106.

Aaqab Bin Aamir al Hajnee R.A Riwayat Karte Han Kay Nabi Alehi Asalam Kay Pass Ek Jamat Nabi Alehi Asalam Ne 9 se Bait Le li Aur Ek ko chore Dia.Logoun Ne Kaha Ayee Allah Kay Nabi Alehi Asalam Appne 9 Se Bait le li Mager Ek ko Chore Dia

App Alehi Asalam Ne Irshad Farmaya!Is Se Islia Bait Nahi Li kay Wo Taweez Pehna Huwa Hai,Yeh Soun Kar Un Sahab Ne hath Andar Dala Or TAWEEZ Tor Dala.Aab Nabi Alehi Asalam Ne Un Se Bait Le Li Or Farmaya Jis Ne TAWEEZ Latkaya Usne Shirk Kia. 

Point to be Noted

Kya Yeh Haddith Yeh Nahi Bata Ti Kay Har Tarhan Kay TAWEEZ Najaiz Han?Warna Nabi Alehi Aslaam Yeh Zaroro Pochthe Kay Yeh TAWEEZ Jo Tum Latkay Huwe Hu Ismein Quraan Tu Nahi Likha Huwa Hai?Ismaa Elahi Tu Nahi Hai?Mojooda Taweez Dekh Kar Appka Bait Na Lena Ye Sabit Nahi Karta Hai Kay Aaj Kay Fan Duniya Dari Kay Mahir Apne Karobar kay Lia Mukhtalif Azaar pesh karte han wi sare kay sare Azzar haye lang kay elwa kuch bhi nahi han?

۞ Bemari Ka Taweez!

Esa Bin Hamza R.A Kehtay Han Kay Mein Ne Abdullah bin Hakeem Kay Ayaadat Karne Kay Lia gaya Wo Humra (Surkh Bada) Ki Bemari Mein Mubatala They .Mein Ne Unse Kaha App Humra Kay Lia TAWEEZ Kyun Nahi Latka Letay ?

Unhune Ne Jawab Dia TAWEEZ Se Allah Ki Panha ,Rasool Alehi Aslaam Ne Irshaad Farmaya Hai Kay Jis Ne Koi Bhi Cheez Latkai Wo Us Cheez Kay Supard (Uskay Hawale Kardia Jay Ga)

Maloom Huwa Kay Baaloun Se Bachne ,Bemari Door Karne Or Taklid hatana Kay Lia Jo Taweez Istemal Kare ga Allah Tala Us Kuch Matlub Nahi Rakhe Ga Us Shakus Ko Use Taweez Kay Hawale Kardia jayga.

Yahan Bhi Wohi Baat Ek Tabee Behar Haal Mushrikana Mashwara Nahi Dey Sakte Mager Sahabi Mutaliq Daam Kay Bare Mein Nabi Alehi Asalam Ki Haddith iyan karkayy TAWEEZ Se Allah Tala Ki Panha Mangte Hai.

۞ TAWEEZ SE AQEEDAT RAKHNE WALOON KA EKLAUTA SAHARA

TAWEEZ Aur Gandon Pe Emaan Rakhne wale Aur Unse Karobar Karne walon Se Guzarish Ki Jati Hai wo Is Karobar se Baaz Ajiye Dunia Ka Emaan Aur Apni Akhrat Barbad Karkay Kia Mila Ga,Tu Jawab Ata hai Hosh Kay Nakhoon Lo! Kia Sahabi Umro Bin Aas Razi Allahi Anhi Ne Apne Bachoon Kay Gale Mein Taweez Nahi Latkaya Tha?

Chalein Hum Sab Bhi Is Riwayat Ki Hassiyat Mattaeen Karlien,Kyun Kay Ye Wahid Riwayat hai AQEEDAT Mand Logoun Kay Pass Or TAWEEZ Ka Karobar karne waloon kay pass.

It was reported by Mohammed Bin Isak that Abdullah Bin Umar Bin Alaas relates that the Holy Prophet used to teach the following prayers for those who used to be frightened in their sleep:

Muahammad Bin Ishaq Ann Umro bin Shoaib

Abdullah Bin Umro Bin Aas R.A Riwayat Karte Han Kay Rasool Alehi Asalam Neend Mein Darr jane Walon Kay Lia Yeh Dua Sikha te The.

“Auwuz Bi Kalimatil Lahi tama te Min Gazbe he wa Shar Abde hewa min Hamzatil Shitane wa in Yadharon,” 

(Abu Dawood (543), Tirmizi Mishkat (217))

Rawi Ka BAyan Hai Ke Abdullah Bin Umro Bin Aas apne Samjhdar bachon ko yeh Dua yaad karwate they Aur Na Samjh Bachon kay Gale Mein Latka Dety They (Mishkat 217 Abu Dawood page 543)

Is Riwayat Mein Majood Weakness Ellatien.

1. Ye Pore Sarmaye Riwayat mein Appne Tarz Ki Ek Munfarid Riwayat Hai Aur Sahi tu Dour hai Yeh Hassan Riwayat Bhi Nahi Hai,

Imam Tirmizi is Riwayat Kay Bare Mein Bada farakh Dil Waqe huwe Han Imam Tarmazi Is Riwayat ko Hassan Bhi Shumar Nahi Karte Bulke Hassan Garib Shumar Karte Han

2. Dosree Ellat Is Riwayat Mein Yeh Hai Kay Abdullah Bin Umro R,A Kay Mutaliq Yeh Jumla Kay wo Is Dua Ko Na Balig Bachoon Kay Gale Mein Likh Kar Latka Dia Karte They Haddith Kay Alfaaz Nahi Hai Han Bulke Rawai Ki Taraf Se Ek Jumla Hai.

3. Abdullah Bin Umro Jin Kay Bare Mein Kaha Ja raha hai wo apne Na Samjh bachon Kay gale Mein Dua Ka Taweez Latka te They .Khud Nabi Alehi Asalam Taweez Latkane Ki Buri Mein Sahih Haddes Biyan Karte han Ye Kesay Mumkin Hai Kay Ek Sahabi wo Amal Bhi Karte han or phir usi Amal Kay bare Mein Sahih Haddith bhi Biyan Kardein?

4. Weakness Is Riwayat Yeh Hai Kay Is Kay Rawai Muhammad bin Ishaq Aur Umro bin Shoiab Aise Rawai Hai Kay Jin pe Ayeema haddith ne Shadeed Tanqeed ka Hai Muhammad Bin Ishaq bin Yasar Imam Maalik Reham Allah Farmatey Han Dukahin Dijjal (Dajjalon Mein Se Ek Dajjal Hai )Tehzeeb Jild 9 Safa 31Meezan Jlid 3 safa 12.

Salaman Temami Kehtay han kay Kazzab hai( jhutha hai) Hashaam bin Arwa kehtay Han Wo Kazzab Hai ,Yayah Qattan Kethay Han Kay Iss Baat Ki Gawahi Deta Hun Kay Wo Kazzab Hai(Bhoot bada Jhoota Hai(Mezzan ul Aetedaal jild e safa 12)

Imam Ahmed Bin Hanbal Kahte Han Abu Shoaib Ki Riwayat Hujjat Nahi Hai(Tehzeeb ul Tehzeeb

Imam Zari Kehthay Han Abu Ishaq Bin Shoiab Hujjat Nahi Hai usne aapne baap dada se chand hi Riwaten Souni Hai mager wo Aksar Riawat ko Apne Baap Dada Se Mansoob Kardeta Hai.

5 weakness yeh hai Kay Kesi Sahabi Rizwan Allah Ajmaeen Ne Aur Kesi Tabeeien Reham Allah Ne TAweez ko Jaiz Nahi Qarar Dia

Umar bin Abullah ,Umro Bin Ass ya phir Ummul Momeenen Kay Bare Mein Aisee Batein Karna kay Wo Taweez Ko jaiz Samjthi thin yeh ek bhoot bada Buhtaan Hai.

Nabi Alehi Asalam Me Kahain Bhi Aisa Hukum Nahi Dia Or Taweez Pehana Shirk Hai Or Tamam Sahaba Taqwa Karne Wale Parhez Gar Or Shirk Se bezar They Aisa Kehna Tu Un pe Zulm Karna Hai.

۞ Tabi’een Ke Fatwe

Waqfee Kehtay han Kay Ibrahim Nakfee Mashoor Tabee Imam Abu Hanfia Kay Ustaad Kay Ustaad Hai.

Riwayat Karte Han Kay Sare Sahaba Har Tarhan Kay Taweez Ko Najaiz Samjhte They Un Mein Quraan Likha Hu yah Nahi ,Quraan Kareem Ki Aytoon Ko Latkane kay Lia Kuch Nadaan yeh Dalil Detay Han Ke

Kia Quraan Shifaa Nahi Hai?Aur Agar Quraan Shifaa Hai Tu Latkana Kyun Shifaa Nahi ?

Aaab Koi In Se Poche Kay Shehad (Honey) Mein Shifaa Nahi batai gai ager koi Shehad(Honey) Bottle Mein Bahar Kay Pate pe Band Le Tu Kia Shifaa Mil Jay gai ? Aisa Karne wala Pagal Hi Samjha jayga?

Beshak Quraan Mein Shifaa mager Shifaa tab hi Mele gai jab Quraan Ko Allah tala Or Nabi Alehi Asalam Kay Tarike Ki Tarha Istemal Kia Jaye

ذَٰلِكَ الْكِتَابُ لَا رَيْبَ ۛ فِيهِ ۛ هُدًى لِّلْمُتَّقِينَ

Muslim Ki Har Us Kaam Mein Bahli or Khir hai Jo Kaam Allah or Uske Nabi Alehi Asalam Kay Mutabiq hu Mere Behnon or Bhahiyun Sunnat Ko Apnoon Sheitan Kay Shakanjon Mein Na Phasoo Shirk se bachoo Or uske bad Biddat Se bacho.

Allah tala Hum Sab Ko Hidyat Dey Ameen.

•٠•●●•٠•
– A Sayed
Read More »

25 Dec 2017

Aaj ke Mushrikeen

Aaj ke hamare kuch bhai kehte hai ke Hum “Qabron” ki Ibadat nahi karte Aur hum un Qabar Walon ko Allah nahi samajhte, Unhe Khaliq aur Malik nahi samajhte, Aur Na hi unhe Allah samajh kar unse “Madad” mangte hai, Balke ye Allah ke ‘Neik’ bandey they, Inhe bhi Allah ta’ala ne kuch Ikhtiyaraat dey Rakhe hai aur Hum inke Zariye se Allah ka ‘Khurb’ haasil karte hai
Par In bhaiyo ko ye tak Nahi pata ke Mushrikin bhi Jin Nabion aur Waliyon ke But (Idol) aur Qabren banakar ‘Pujte’ they, Wo bhi Unhe Allah samajh kar Unki Ibadat aur Unse madad nahi mangte they, balke Mushrik bhi Mantey they ke Zameen wa Asmaan aur saari Kainaat ka Khaaliq, Maalik aur Parvardigaar Sirf Allah hi hai aur wahi wahid Hasti hai jiske haath mein “Kainaat” ki tadbir aur Tasarruf hai
Allah ne Quran mein Farmaya
“Aye Nabi! Inse Puchiye ke Tumko Zameen aur Asmaan se Kon ‘Rizq’ deta hai? Ya wo kon hai Jo Kaano aur Aankhon par Pura ikhtiyaar rakhta hai aur wo kon hai Jo Zindey ko Murdey se nikaalta hai aur murde ko zinde se nikalta hai aur wo kon hai Jo tamaam Kaamo ki tadbir karta hai? Zaroor wo yahi Kahenge ke ‘ALLAH’ to unse kahiye ke phir kyun nahi Darte”(Sureh Yonus, Ayat 31)
“Aye Nabi (sallallahu alaihi wasallam) unse puchiye to sahi, ke Zameen aur uspar rahne waali Maqlooq kiski hai? Batlaao agar Jaante ho? wo Fauran Jawaab denge ke Allah hi ki hai, Kahdijiye ke phir tum ‘Nasihat’ kyun nahi haasil karte, Daryaaft kijiye ke Saaton Asmaanon ka aur bahut baAzmat ‘Arsh’ ka Rab kon hai? Wo log Jawaab denge ke Allah hi hai, Kehdijiye ke phir tum kyun nahi Darte? Puchiye ke Tamaam cheezon ka ikhtiyaar kiske haath mein hai? Wo panaah deta hai aur Jiske muqaable mein koi panah nahi diya jaata, agar tum Jaante ho, to batla do? yahi jawaab denge ke Allah hi hai, kahiye phir tum kidhar se Jaadu kardiye Jaate ho?”(Sureh Mominoon, Ayaat 84-89)
“Agar Aap unse puche ke Asmaan aur Zameen ko kisne Paida kiya hai? To yaqeenan wo yahi Jawaab denge ke Allah ne, Aap unse kahiye ke Accha ye to bataao, Jinhe tum Allah ke siva Pukaarte ho, agar Allah ta’ala mujhe Nuqsaan pahunchana chaahe to kya ye uske nuqsaan ko hata sakte hai? Ya Allah ta’ala mujh par maherbaani ka Iraada kare, to kya ye uski maherbani ko rok sakte hai? Aap kehde ke Allah mujhe Kaafi hai, Tawakkal karne waale usi par tawakkal karte hai”(Sureh Zumar, Ayat 38)
Ab Sawaal ye paida hota hai ke Allah ko Manney ke bawajud wo mushrik Kyun qaraar paye?
Haqiqat ye hai ke Mushrikin e Arab ne Allah ta’ala ke Siva Jin Jin ko Maabud aur Mushkil kusha bana rakha thaa, Wo unko Allah ta’ala ki Maqlooq, uska Mamluk aur ‘banda’ hi Jaante they, phir bhi wo Jahil, Aajke kuch logo ki tarha ye samajhte they ke ye Log Allah ke Nabi, Wali aur Naik bandey they, Allah ke yahan unhe khaas Mukhaam hasil hai, Is bina par wo bhi kuch ikhtiyaraat apne paas rakhte hai, aur hum unke zariye se Allah ka taqarrub hasil karte hai, unki sifarishon se hamari Zaruraten puri hoti hai
Wo Mushrikin bhi apne Maabudon ke Ikhtiyaraat “Ataayi” samajhte they, Aur wo yahi Aqeeda rakhte they ke in Mabudon ki ye jo taaqat o khuwwat aur jo Ikhtiyaraat aur tasarrufaat hai, Ye Ataayi hai, Allah ne Inhe Ata kiya hai, Zaati taur par wo Iske Maalik nahi hai, 
Mushrikin Hajj mein ye Talbiya padha karte they
“Aye Allah Hum haazir hai, Tera koi shareek nahi siwaye us shareek ke jo tera hi hai, tu uska Maalik hai, jin par uski milkiyat aur hukumat hai unka maalik bhi tu hi hai”(Sahi Muslim, Kitabul Hajj) 

yaani wo apni Zaat ka bhi Maalik nahi hai, Ye khuwwaten aur ye Ikhtiyaraat tune hi use ata kiye hai, aur jin par uski Milkiyat hai, jin Cheezon ka Wo Maalik hai, Unka Maalik bhi tu hi hai, tune hi use Ata kiya hai, Tere hi diye se wo sabko baant rahe hai, Yaani Aaj ke kuch logo ki tarha Wo mardud bhi Allah ke saath Shirk karke Yahi kahte they ke Hum un neik bandon ko Khuda samajh kar nahi pujte aur unhe sajda, nazaro niyaz aur Mannat etc Khuda samajh kar nahi mangte, balke ye ikhtiyarat Allah ne unhe Ata kiye hai, Hum to unke zariye se Allah ka Taqarrub haasil karte hai aur bator Wasila aur Sifarish unko Pukaarte hai, Aur Jab in kuch logo Ko Koi Quran ki Ayaten batata hai aur Tauheed ki dawat deta hai, to kehte hai ke Ye Aayaten to Buton (idols) ke liye hai 

Yaad rakhiye ke Mushrikin Jinke But (idols) aur Qabren banakar pujte aur Madad ke liye pukaarte they, Wo bhi Nabi, Wali, Saleheen hi they, Jinke Marne ke baad log unke but aur Qabaren bana kar pujna shuru kar dete they 
Jaise Sureh Nuh mein Panch (5) buton ka Zikr hai Jinhe Nuh Alaihisalam ki Khaaum pujti thi, Jaise “Wadh, Sava, Yaghoos, Ya’ooq aur Nasr” aur Sahi Bukhari mein Sureh Nuh ki tafseer hai, ke Ye Paancho Hazrat Nuh Alaihisalam ki Khaum ke saleheen aur ‘Naik’ logon ke Naam they, Jab Unki Maut hogayi to Shaitaan ne Unke Dil mein daala ke Apni Majlison mein Jahan wo baithte they, unke but Qaayim karle aur Un buton ke Naam apne naik logon ke Naam par rakhlen, Chunanche un logon ne Ayesa hi kiya, Us waqt un buton ki puja nahi hoti thi lekin jab wo log bhi margaye Jinho ne ‘But’ Qayim kiye they aur Ilm logon mein na raha to unki Puja hone Lagi”(Sahi Bukhari 4920).

Hazrat ibn Abbas rz ne kaha ke ‘Laath’ ek shakhs ko kehte they Jo Hajiyon ke liye Sattu gholta tha”(Sahi bukhari 4859) 

Aur mushrikin e Makkah bait ullah mein Hazrat Ibrahim Alaihisalam aur Hazrat Ismail Alaihisalam ke But bhi rakh kar pujh rahe they, jab Nabi sallallahu alaihi wasallam Makkah mein dakhil huwe to baitUllah ke chaaron taraf 360 but (idols) they, Rasul Allah sallallahu Alaihi wasallam ne ek ‘Chadee’ (lakdi) se jo haath mein thi, Maarte Jaate they aur Is Ayat ki tilawat karte Jaate ke “Haq khayim hogaya aur baatil Maghlub hogaya, Haq Khayim hogaya aur Batil se Na shuru mein kuch hosaka hai Na Ainda kuch hosakta hai”(4287)


aur Rasul ﷺ baitullah mein us waqt tak Dakhil nahi huwe jabtak us mein but maujud rahe balke Aapne Hukm diya aur buton ko baher nikaal diya gaya, Unhi mein Ek Tasweer Hazrat Ibraheem Aur Hazrat Ismail Alaihisalam ki bhi thi”(Sahih al Bukhari 4288)

Hazrat Ayesha rz ne bayaan kiya ke “Jab Nabi sallallahu alaihi wasallam Bimaar huwe to Aapki Baaz Biwiyon ne ek ‘Girjey’ ka Zikr kiya, Jise unho ne Habsha mein dekha thaa, Jiska Naam marya thaa, Umm Salama aur umm Habiba (rz) dono habsha gayi thi, Unho ne Uski Khubsurti aur Us mein Rakhi huwi “Tasaweer” ka bhi zikar kiya, Uspar Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam ne Sar mubarak utha kar farmaya ke “Ye wo log hai ke Jab un mein koi ‘Neik’ shakhs marjata to uski Qabar par Masjid tameer kar dete phir uski ‘Murat’ us mein rakhte, Allah ke Nazdeek ye log Saari Maqlooq mein battareen hai”(Sahih Bukhari 1341)

“Beshak Jinhe tum Allah ko chor kar pukarte ho wo tumhare hi jayse bande hai so agar tum sacche ho to unhe pukaro phir unhe chahiye ke tumhe jawaab dey”(Araaf, Ayat 194) 

Aur yahud o Nasara ne Apne Nabiyon ki Qabaron ko Sajdagah banaliya tha, Isi Qabar prasti Mein mubtala hokar wo Allah ta’ala ki Laanat ka Shikaar huwe, Jis tarha Aajke kuch log Allah ki Lanat ka shikaar ho rahe hai.
Hazrat Ayesha rz Se riwayat hai ke Nabi sallallahu alaihi wasallam Ne marzul maut me Farmaya “yahood a­ur Nasara par Allah ki laanat ho, unho ne Apne Ambiya ki Qabron ko Ibadat gah banaliya, hazrat Ayesha rz ne kaha ke agar Ayesa Dar na hota, to Aap sallallahu alaihi wasallam ki Qabar khuli rehti, Kyun ke mujhe dar iska hai ke Kahin Aap ki Qabar bhi Sajdagah na banali Jaye”(Sahi Bukhari 1330) 

Aur Aajka ye log bhi Usi tarha ke ulthe Jawaab deta hai, jis tarha mushrik Nabiyon ko dete they, Jaise Hum unhe Khuda nahi samajhte, Na hi Khuda ke barabar samjhte hai balke Unki Qabar ko Uncha karke uspar Uras, chadhawa, chiraagh, Mela, chadar, jhanda, Qawwali Dance, Music, sajda, Nazro niyaz, janwar Zubah, ibadat Namaz wa Tilawat etc aur unse Mannat aur wasta waseela lete hai aur tarha tarha ke Shirkiya Amaal Isliye karte hai taa’ke Ye Auliya aur Naik log, Hamko Allah ke ‘Khareeb’ pahunchadey aur humko Allah ka Khurb Haasil hojaye Ya Allah ke haan Ye Hamari Sifaarish ­karde, Isi ‘Amal’ ko Allah ta’ala ne “SHIRK” aur Ibadat e ghairullah Kharaar diya hai

Quran mein Mushrikon ke Ye Akhwaal Naql kiye gaye hai,

Allah ne Sureh Zumar Mein farmaya

“Qabardaar! Allah ta’ala hi ke liye Qaalis Ibaadat karna hai aur Jin logon ne Uske siva “Auliya” bana rakhe hai aur kahte hai ke hum unki Ibaadat sirf isliye karte hai ke Hum ko ye (buzrug), Allah ke Khareeb pahunchade”(Sureh Zumar, Ayat 3)

“Aur ye log Allah ko chor kar Ayesi Cheezon ki Ibadat karte hai, Jo unko Na Nafah pahuncha sakte aur Na Nukhsaan aur Kehte hai ke Ye Allah ke paas Hamare “Sifaarshi” hai, Aap kahdijiye ke kya tum Allah ko Ayesi cheez ki Khabar dete ho, Jo Allah ta’ala ko Maalum nahi, Na Asmaan mein aur Na zameen mein, Wo ‘Paak’ aur bartar hai Un logon ke Shirk se”(Sureh Yonus, Ayat 18)
Yaani wo jaante they ke Nafah aur Nukhsaan pahunchane Wala sirf Ek Allah hi hai, lekin In buzrugo ki Shifarish se Allah hamari Zaruraten puri karta hai, Hamari bigdi bana deta hai, Inke Zariye se Allah ka khurb hasil hota hai, yani Wo jinki puja karte they unhe apne aur Allah ke darmiyan wasta wasila samajhte they, na ke Unhi ko khaliq o Malik samajhte they, Balke Wo har cheez ka khalik o Malik sirf Allah hi ko Mante they, aur bohot se Amaal Karte they Jaise unhe Madad ke liye pukarna, Sajda karna, Darbar ka Mujawar bankar baithna, janwar zubah karne, chadhawa, Nazro niyaz etc
Aur Yahi sab kaam unka Shirk thaa, Isi waja se wo Kafir Qaraar paye, unhe Qatl kiya gaya, Qaidi banaya gaya, unse Jangey ladi gayi aur unhe ‘Jahannumi’ Qaraar diya gaya 
 Bilkul yahi Aqeedey Aaj ke kuch logo ke hai,
Hazrat Ayesha rz Se riwayat hai ke Nabi sallallahu alaihi wasallam Ne marzul maut me Farmaya “Yahood a­ur Nasara par Allah ki laanat ho, unho ne Apne Ambiya ki Qabron ko Ibadat gah banaliya”(Sahi Bukhari)
Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya “Mujh ko had se Na badhana, Jis tarha Eisaiyon ne Hazrat Eisa Alaihisalam ko hadse badha diya, mein sirf ek banda hun, Mujhe tum sirf Allah ka “banda” aur Uska Rasool kahna”(Bukhari aur Muslim)

Hazrat Jabir rz Kahte hai ke Muhammed Sallallahu alaihi wasallam ne “Qabar ko chone se pukhta karne, uspar baithne aur uspar imaarat banane se manah farmaya hai” (muslim) 

Abu hayaj Asadi rz Kehte hai ke Mujh se Hazrat Ali rz Ne Farmaya “Mein tumhe is kaam ke liye Na bheyjun jiske liye Rasool ullah Sallallahu alaihi wasallam ne mujhe bheja thaa Aur wo ye ke Kisi mujasme ko zaail kiye baghair Aur Kisi Unchi Qabar ko Zameen ke barabar kiye baghair na chorna”(muslim)


Aur Nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaya “Ya Allah! Meri Qabar ko ‘But’ Na banney dena, Jiski puja ki Jaye”(Musnad Ahmed)
Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya “Meri baat ghour se suno! tum se pehle log apne Ambiya ki Qabron ko ibadat gah hi Tasawwur karte they, khabardar! Tum ayesi ghalti mat karna, mein tumko ayesa karne se sakhti se manah karta hun”(muslim)
lekin in Ghustaqon ne, Aaj Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam ki nafarmani karte huwe, Unchi Qabron ko todne ke bajaye ultha apne buzurgon ki Qabron ko Uncha kar ke Unhe Ibadat gah bana liya hai, wahan Namaz, tilawat, hajj, Sajda, uras, janwar zubah, Nazr o niyaz, chadhawa, khawwali, music baja, dance, Aur tarha tarha ki Ayyashiyan horahi hai, Allah In Mardudon ko Hidayat Ata kare Ameen.
Allah pak Farmate hai
“Jab ye log “Kashtiyon” mein Sawaar hote hai, to Allah ta’ala hi ko Pukaarte hai, Uske liye Ibaadat ko ‘Qaalis’ kar ke, phir jab Wo unhe “Khushki” ki taraf bacha laata hai, to usi waqt Shirk karne lagte hai”(Sureh Ankaboot, Ayat 65)
Yaad rakhiye Shirk Itna bada Gunah hai Ke Allah Use Muaaf Nahi karega, 
“Allah ke yahan SHIRK ki baqshish hi nahi uske siwa aur sab kuch maaf ho sakta hai jise wo maaf karna chahe”(Sureh Nisa, Ayat 116)
“Aye Nabi! tumhari taraf aur tum se pehle guzre huwe ambiya ki taraf ye “wahi” bheji jaa chuki hai ke agar tumne shirk kiya to tumhare bhi ‘Amaal’ barbaad hojayenge aur tum khasara paane walon me se hojaoge”(Sureh Zumar, Ayat 65)
“Jisne Allah ke saat shirk kiya uspar Allah ne Jannat haraam kardi hai aur uska thikaana jahannum hai”(Sureh Maida, Ayat 72)
“Suno, Allah ke saath Shareek karna wala, goya Asmaan se ‘Gir’ pada, ab ya to use “Parinde” uchak le Jayenge, ya hawa kisi door daraaz ki Jageh phek degi”(Sureh Haj, Ayat 31)
“Aye Nabi! Allah ke saath kisi dusre Maabud ko na pukaaro, warna tum bhi ‘Saza’ paane waalon mein Shaamil hojaoge”(Sureh Shu’ara, Ayat 213)
Tamaam Ambiya ne Apni Ummat ko yahi Dawat di hai ke Allah hi ki Ibadat karo, Uske siwa tumhara koi Ilah nahi,
 Allah ne Shirk ko mitaane ke Liye Nabiyon ko bheja, lekin Inhone ne Ulta Nabiyon hi ki Ibadat karni Shuru kardi, 
“kisi Ayese Insaan ko, Jise Allah ta’ala Kitaab wa Hikmat aur Nabuwat dey, Ye Laayeq nahi ke phir bhi wo logon se kahe ke tum Allah ta’ala ko chor kar mere ‘Bande’ ban Jaao, balke wo to Kahega ke tum sab Rab ke hojaao, tumhare kitab Sikhaane ke Baayes aur tumhare kitab padhne ke sabab, Aur ye nahi (ho sakta) ke wo tumhe, Farishton aur Nabiyon ko Rab bana lene ka hukm kare, kya wo tumhare Musalman hone ke baad bhi Tumhe kufr ka hukm dega”(Sureh Aale Imran, Ayaat 79-80)
“Beshak Mein hi Allah hun, Mere siva Ibaadat ke Laayeq aur koyi nahi, Pas tu Meri hi Ibaadat kar, aur Meri yaad ke liye Namaaz Qaayam rakh”(Sureh Taha, Ayat 14)
“Aur wo Din bhi Qaabil e Zikr hai, Jis Roz Hum un sabko Jama karenge, phir Mushrikin se kahenge ke tum aur tumhare ‘Shareek’ apni apni Jageh tehro, phir Hum unke Aapas mein phoot dal denge (yani unki Aqidaten, Adawat mein tabdeel hojayegi) aur unke wo Shurka kahenge ke tum hamari Ibaadat nahi karte they, lehaza hamare aur tumhare darmiyan Allah kaafi hai ‘Gawah’ ke taur par, ke hum ko tumhari ibaadat ki Qabar bhi Na thii, wahan har shakhs Jaan lega ke usne apni Zindagi mein kya kuch kiya tha, aur wo Allah ta’ala ki taraf Jo unka Haqiqi Maalik hai lautaye jayenge aur jo kuch jhoot bandha karte they sob unse (unkezahen se) Ghaib ho jayenge”(Sureh Yonus, Ayat 28-30)
“Aur jo log Allah ta’ala ke Siva Jin ghair ullah ko madad ke liye pukarte hai, wo kisi cheez ko paida nahi kar sakte, balke wo khud paida kiye huwe hai, Murda hai, Zinda nahi hai aur unhe Khabar nahi ke wo khud (Apni Qabron se) kab uthaye Jayenge”(Surah Nahal, Ayat20-21)

“Suno! Jin Jin ki tum Allah ta’ala ke siva Puja paat kar kahe ho, Wo to tumhari “Rozi” ke Maalik nahi, pas tumhe chahiye ke tum Allah ta’ala hi se Roziya talab karo, aur usi ki Ibaadat karo aur usi ki Shukr guzaari karo, aur usi ki taraf tum tautaaye Jaoge”(Surah Ankaboot, Ayat 17)
Allah ke siva koi Nabi ya Wali Nafa aur nukhsaan ka Ikhtiyar nahi rakhte Balke Wo khud Allah ko pukaarte hai 
“Aap kahdijiye ke Mein to sirf Apne Rab hi ko pukaarta hun aur uske saath kisi ko shareek nahi karta, Kahdijiye ke Mein tumhare liye, Na kisi Nukhsaan ka Ikhtiyaar rakhta hun aur na kisi Bhalayi ka, kah dijiye ke Mujhe hargiz koi Allah se bacha nahi sakta aur mein hargiz uske siva koi Jaaye panah bhi Paa nahi sakta”(Surah Jinn, Ayat 20-22)
Aur Na hi Allah ke Siva koi Takleef aur musibat ko door kar sakta hai
“Aur agar tujh ko Allah ta’ala koi takleef pahunchaye to usko door karne waala siva Allah ta’ala ke aur koi nahi Aur agar tujh ko Allah ta’ala koi “Nafa” pahunchaye to Wo har cheez par puri Khudrat rakhne Waala hai”(Surah Anaam, Ayat 17)

Aur Jin Jin ki log Allah ta’ala ke siva ibaadat karte hai aur madad ke liye pukarte hai, Unho ne Aasmaan wa zameen main konsi cheez ‘Paida’ ki hai? Koi ek cheez to batlaao?
“Usne Aasmaano ko baghair sutoon ke paida kiya hai, tum unhe dekh rahe ho aur usne Zameen main pahaadon ko daal diya, taa’ke wo tumhe Jumbish na de sake, aur har tarha ke jaandaar zameen main phaila diye aur Hum ne Asmaan se ‘Paani’ barsa kar zameen main har qism ke Nafees Jodey uga diye, Ye hai Allah ki Maqlooq, ab tum mujhe uske siva dusrey kisi ki koyi ‘maqlooq’ to Dikhaao? (kuch nahi) balke ye ‘zaalim’ khuli gumraahi main hai”(Sureh luqmaan, Ayaat 10-11)
“Keh dijiye! Ke Allah ke siva Jin Jin ka tumhe Gumaan hai, Sabko Pukaaro, Wo Asmaanon aur Zameenon mein Zarra barabar bhi Ikhtiyaar nahi rakhte, aur Na unka, un Dono mein koi Hissa hai, aur Na un mein se koi Allah ka Madadgaar hi hai”(Sureh Saba, Ayat 22)
Jab har cheez ka Khaaliq sirf aur sirf Allah hai, to Ibaadat ka mustahiq bhi sirf wohi hai, uske siva kainaat main koi hasti is laayeq nahi ke Uski ibaadat ki Jaye aur use madad ke liye pukaara Jaye
“Hum sirf Teri hi Ibaadat karte hai aur sirf Tujh hi se Madad mangte hai”(Sureh Fatiha, Ayat 5).

Note: Yaha kabar parast ya Mushrik se murad koi khas firqa ya jamaat nahi hai balki har wo shaks hai jo kabro se mangta hai aur Allah ke sath auro ko shareek karta hai, chahe wo kisi bhi firqe ya jamaat se ho.
Read More »

Kya Allah Hamare Liye Kaafi Nahi??


۩ “Waqai, tum Allah ko chor kar jin ko pukarte ho, wo bhi tumhari tarah Allah ke banday hain, so tum inko pukaro! Phir inhe bhi chahye ke tumhara jawab de, agar tum sachay ho.” 

[surah A’raaf, surat 07, Ayat.194] .

۩ Aur agar ALLAH tumhain koi takleef pochchana chahy to is k siwa usy koi door karne wala nahi or agar wo tumhary sath bhalai ka irada kary to koi us k fazal ko rad karne wala nahi wo apne bandon me se jisy chahta hy apna fazal pohchata hy aur wo bara bakhsne wala nihayat meherban hai.
(sura yunus ayat # 107).

۩ Jin Jin Ko Ye Log Allah K Siwa Pukarte Hain, Wo (Log) Kisi Cheez Ko Paida Nahi Karsakte, Bulke Wo To Khud Paida Kye Gae Hain, (Aur Wo) Murde Hain, Zinda Nahi, Enhain To Ye Bhi Khabar Nahi K (Apni Qabron) Se Kab Uthae Jaenge.

[Surah Al Nehl 20-21 Ayah]

۩ Ye Log Apko Allah K Siwa Auron Se Dara Rahe Hain,Jise Allah Gumrah Karde Iski Rahnumai Karne Wala Koi Nahi. (Surah-Zam ar, Aayat-no35 )

۩ Aur Allah-Taal a Par Jo Bharosa Rakhta Hai Iske Liye Allah Kafi Hai” (Surah-Tal aaq, Aayat-no 03)

۩ Aur usse badhkar GUMRAAH kaun hai jo Allah ke alawa aiso ko PUKARE jo uska qayamat tak ka jawab nai de sakte, balki wo to GAFIL hai unke pukar se.

{Surah Al-Ahqaf 46:5}.

۩ Chaliye dekhte hai ki BABA(MAZARO WALE) jinse kuch muslim apni murade mangte hai..qayamat ke din wo kya jawab denge.

۩ “Aur jiss din Allah Taalaa inhen aur Allah ke alawa jinki yeh ibadat karte hai unhen jama keray ga ke kiya meray inn bandon ko tum ney gumrah kiya ya yeh khud hi raah say gumrah hogaye. Woh jawab den gay kay tu pak zaat hai khud hume hi yeh zaiba na tha kay teray siwa auron ko apna MADATGAAR(AULIYA) banatay. Baat yeh hai kay tu ney enhen aur inn kay baap dadon ko aasoodgiyan ata farmaeen yahan tak kay woh naseehat bhula bethay yeh log thay hi halak honey walay. To enhon ney to tumhen tumhari tamam baton mein jhutlaya ab na to tum mein azabon kay pherney ki taqat hai na madad kerney ki tum say jiss jiss ney zulm kiya hai hum ussay bara azab chakhayen gay.”

Surah 25, ayat 17-19.

۩ Aye Nabi ﷺ keh dijiye insano se ke tumhare nafa aur nuqsan ka ikhtiar sirf Allah k paas hai .

(Surah Jin:21).

۩ Aye logo! tum sirf Mere dar k faqeer ho .

(Surah Fatir:15)

۩ Aur tumhare Rab ka farman hai ki mujse mango Mai tumhari Duao ko Qubool karunga. (Surah Momin:60).

۩ “Yahi tumhara rabb hai isi ki hukumat hai aur jinko tum allah ke elawa pukarte ho wah khajoor ki guthli(seeds)ke barabar bhi ikhteyaar nahi rakhte, agar tum unko pukaro to we tumhari sunege bhi nahi aur agar sun bhi len to tumhara khuch bhi na kar saken aur qiyamat ke din we tumhare shirk karne se hi inkaar karenge aur tujhko khuday khabeer ka sa koi na batayega” (surah faatir 13 ,14).

۩ “Aap kah dijiye tumne apne khudaai shareekon ke haal par bhi nazar ki hai jinhe tum Allah ke siwa pukarte ho zara mujhe bhi batao ki unhone zameen ka Kaun sa hissa(part) banaya hai ya unka aasmaan me kuch saajha hai ya hamne unko kitab di hai ki ye usi daleel par qayam hai?” (fatir 40).

۩ Aur zyada taqeed karte hue farmaya

aur jinko tum allah ke elawa pukaate ho wah na to tumhari hi madad kar sakte hain aur na apni madad kar sakte hai. (Aaraf 197).

۩ “Aur tumhara Allah ke elawa koi bhi na kaarsaaz hai aur na madadgaar” (ash shuara 31).

۩ “Kah! Bhala batao to Allah ke elawa tum jinko pukaarte ho agar Allah mujhe koi taqleef pahunchana chahe to kya ye uski di hui takleef ko door kar sakte hain ya Allah mujh par inayat karna chahe to ye uski inayat ko rok sakte hai” (zumar 38).

۩ “Woh jo sab beqaraar ki fariyad sunta hai jab wah use pukaarta hai aur musibat ko door karta hai aur tumko zameen me tasarruf waala banata hai kya Allah ke elawa aur koi aur bhi khuda Hai? Tum log bahut kam hi gaur karte ho” (namal 62).

۩ “Kah dijiye ki to kya tumne (phir bhi) uske elawa aur qaarsaaz karaar de liye hain to apni hi zaat ke liye nafa wa nuksaan ka ikhtiyaar nahi rakhte” . (Raad 16).

۩ “Aur usse badhkar gumraah kaun hoga jo allah ke elawa auron ko pukaare jo qiyamat tak bhi uski baat na sune balki unke pukaarne ki khabar tak na ho” (ahkaaf 5).

۩ “Aye Nabi ﷺ! Apko Aur Aur Apke Pairo kaar Ahle Emaan ko Bas Allah Hi Kafi Hai” .

Surah anfaal Ayat no :64.

۩ Mohammad ﷺ ne farmaya, “Allah us se naraaz hota hai jo Allah se nahi mangte”.

SUNAN TIRMIDHI (Book 48, Hadith 4). 

۩ “(Ae Muhammad ﷺ)Aur jab aap se ye mere bande mere baare me pucha karen to ap unse kah de ki main qareeb hi hun, pukarne waale ki pukaar ko sunata hu aur qubool karta hun jab kabhi bhi woh mujhe pukare to (logon ko) bhi chahiye ki mere ahkaamon ko maane aur mujhpar imaan laayen taaki wo hidayat paa jaaye” . (surah Baqarah 186).
Read More »