Alhamdulillah..
Farmaan e baari taala hai,
۩ Aye eemaan waalo! Jo kuch ham ne tumhe diya hai usme se woh din aane se pahle Allah ke raaste me kharch kar lo jis din na koi tijarat hogi, aur na hi dosti kaam aayegi, aur na sifarish, aur kafir hi zalim hai.
Surah baqarah, ayat- 254.
Aur ek muqam par Allah s.w.t. ne farmaya,
۩ Jo log Allah ke raaste me apna maal kharch karte hai un ki misaal aesi hai jaise ek dana saat baaliya (corn) ugaaye (aur) har baaliyo me sau (100) daane ho. Aur Allah jis ke liye chahta hai (sawab me) kayi guna izafa kar deta hai. Allah bahut wusat wala (aur) bada ilm wala hai.
Jo log apne maal Allah ke raaste me kharch karte hai, fir kharch karne ke baad na ahsaan jatlaate hai aur na koi takleef pahuchate hai, woh apne parwardigaar ke paas apna sawab payenge, na un ko koi khauf hoga aur na koi gham pahuchega.
Surah baqarah, ayat- 261, 262.
Aur ek muqam par Allah taala ne is tarha farmaya hai,
۩ Aye eemaan waalo! Jo kuch tum ne kamaya ho aur jo paidawaar ham ne tumhare liye zameen se nikali hai us ki achhi cheezo ka ek hissa (Allah ke raaste me) kharch kiya karo, aur yeh niyat na rakho ke bas aesi kharab kism ki cheeze (Allah ke naam par) de diya karoge jo (agar koi dusra tumhe de toh nafrat ke maare) tum use aankhe meeche bagair na le sako. Aur yaad rakho ke Allah aisa be-niyaz hai ke har kism ki tareef usi ki taraf laut ti hai.
Surah baqarah, ayat- 267.
Aur ek jagah farmaan e baari taala hai,
Eeman laao Allah aur uske Rasool par aur kharch karo un cheezo me se jin par usne tumko khalifa banaya hai. Jo log tum me se eeman layenge aur maal kharch karenge unke liye bada ajar hai.
Surah al hadeed (57), ayat- 7.
۩ Abu Hurairah r.a. bayan karte hain ki Rasool ﷺ ne farmaya,
Jis ne pakiza ek khajur ke kamaai ke barabar sadaqah kiya, kyuki Allah taala pakiza ke alawa kuch qubool nahi karta, Allah taala use apne daaye haath se qubool farmata hai, fir use kharch karne waale ke liye us ki aise parwarish karta hai jis tarha tum me koi apne ghodi ke bachde ki parwarish karte ho, hatta ki woh pahaad ki manind ho jata hai.
Sahih al bukhari, kitab uz zakat (24), hadees- 1410.
۩ Abu Hurairah r.a. bayan karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya,
Har din me subah ke waqt do (2) farishte nazil hote hai, un me se ek kahta hai, Aye Allah kharch karne wale ko (nek) badla de, aur dusra kahta hai, Aye Allah maal ko rok kar rakhne waale ko tabah karde.
Sahih al bukhari, kitab uz zakat (24), hadees- 1442.
۩ Abu Saeed khudri r.a. bayan karte hai ke eid ul fitr ya eid ul azha ke din Nabi ﷺ Eidgaah ki taraf nikle aur fir waha logo ko waaz o nasiyaat farmaya aur inhe sadaqah o khairaat karne ka hukm dete hue farmaya,
'Logo! Sadaqah kiya karo.'
Aur aurto ke paas se guzre toh farmaya,
'Aye aurto ki Jamaat! Sadaqah kiya karo, kyuki maine dekha hai ki tumhari tadaad aag me sab se zyada hai.'
Aur jab Nabi ﷺ apne ghar tashreef le gaye toh ibn Masood r.a. ki biwi Zainab r.a. andar aane ki ijazat mangne lagi, toh Nabi ﷺ ne arz kiya gaya ke Zainab r.a. aayi hai, toh Rasool ﷺ ne daryaft kiya ki kaun si Zainab?
Toh kaha gaya ki ibn Masood r.a. ki biwi, Rasool ﷺ ne farmaya, Haa! unhe ijazat de do, toh unhe andar aane ki ijazat de di gai,
Woh kahne lagi, Aye Allah ke Nabi ﷺ Aap ne aaj sadaqah o khairaat karne ka hukm diya hai, aur mere paas mere zewar hai, mai use sadaqah karna chahti hu, toh ibn Masood ka khayal hai ki woh aur unki aulaad is sadaqah ke zyada mustahiq hai, toh Rasool ﷺ ne farmaya,
Ibn Masood r.a. ne sach kaha hai, tumhare khawand aur tumhari aulaad kisi dusre par sadaqah karne se zyada haqdaar hai.
Sahih al bukhari, kitab uz zakat (24), hadees- 1462.
۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,
'Har din jis me suraj tulu hota hai, insaan ke har ek jod (joint) par sadaqah lazim hota hai. Fir agar woh insano ke darmiyaan insaaf kare toh yeh bhi ek sadaqah hai aur kisi ko sawari ke muamle me agar madad pohchaye, is tarha ke use us par sawaar karaye ya us ka saamaan utha kar rakh de toh yeh bhi ek sadaqah hai aur achhi baat munh se nikalna bhi ek sadaqah hai aur har qadam jo namaz ke liye uthta hai woh bhi sadaqah hai aur agar koi raaste se kisi takleef dene waali cheez ko hata de toh woh bhi ek sadaqah hai.'
Sahih al bukhari, kitab ul jihad (56), hadees- 2989.
۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,
'Har din jis me suraj tulu hota hai, insaan ke har ek jod (joint) par sadaqah lazim hota hai. Fir agar woh insano ke darmiyaan insaaf kare toh yeh bhi ek sadaqah hai aur kisi ko sawari ke muamle me agar madad pohchaye, is tarha ke use us par sawaar karaye ya us ka saamaan utha kar rakh de toh yeh bhi ek sadaqah hai aur achhi baat munh se nikalna bhi ek sadaqah hai aur har qadam jo namaz ke liye uthta hai woh bhi sadaqah hai aur agar koi raaste se kisi takleef dene waali cheez ko hata de toh woh bhi ek sadaqah hai.'
Sahih al bukhari, kitab ul jihad (56), hadees- 2989.
۩ Abu Hurairah r.a. bayan karte hai ke Rasool ﷺ ne farmaya,
'Allah taala ka farmaan hai,- 'Aye ibn Aadam kharch kar mai tujh par kharch karunga.'
Sahih al bukhari, kitab al nafaqaat (69), hadees- 5352.
Wa Allaho aalam.
Allah se dua hai ki wo hame zyada se zyada sadaqah karne ki taufeeq ate kare. aameen.
Related:
۩ Gair-Muslim ko Sadaqah dena
۩ Bhai ya Bahen ko Zakat dena
Allah se dua hai ki wo hame zyada se zyada sadaqah karne ki taufeeq ate kare. aameen.
•٠•●●•٠•
۩ Gair-Muslim ko Sadaqah dena
۩ Bhai ya Bahen ko Zakat dena