Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

1 Jan 2018

Surah Maida 5 Ayat 35 Ki Tafseer

Allah ﷻ farmate hai,

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ وَابْتَغُوا إِلَيْهِ الْوَسِيلَةَ وَجَاهِدُوا فِي سَبِيلِهِ لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ-

Aye Eeman Walo! Allah Taalaa say dartay raho aur uss ka qurb talash karo aur uss ki raah mein jihad kero takay tum Qamyab ho.

(SURAH MAIDAH 5 VERSE 35)

SUFIO KI TAFSEER :-

Momineen Tumlogo ko be-akl Yahoodio ki tarah nai hona chaiye. Takwa aur Neki ko Ikhtiyar Karo aur Ambiya aur Auilya se Tawassul karo.

Waseela aam hai. Ambiya,Auliya, Nek Aamal, Barkat hasil karo inlogose, ye sabhi inme aate hai. Lazim hai ki ye sab dusre zarya hai amal karne ke alawa ..

(TAFSIR NAEEMI PAGE 391-393)

TAHKEEK:

Ab jo Arabic word waseela hai uska matlab urdu lafz wala waseelah nahi hai, iska matlab nazdeeki hai. Zaruri nahi hai ki jo Arabic lafz hai uska matlab bhi wahi ho. Misaal ke taur par jo Quran me surah baqara hai..to Arabic me baqara lafz hai par is lafz ka matlab urdu wala baqara (goat) nahi balki Gaae(cow) hai. Isi tarha waseela ka matlab Arabic me zariya nahi balki Nazdeeki hota hai.

۞ IBN JAREEE AT-TABARI NE KAHA :-

 (aur uss ka qurb talash karo) Iska Matlab Allah se nazdiki hasil karo wo amal karke jo use pasand hai.

(TAFSIR AT-TABARI UNDER 5 VERSE 35)

SOURCE:-

http://altafsir.com/Tafasir.asp?tMadhNo=0&tTafsirNo=1&tSoraNo=5&tAyahNo=35&tDisplay=yes&UserProfile=0&LanguageId=1

۞ Abu Wail Shaqeeq bin Salma (Tabiyee) is ayat ki tafseer me kahte hai,

"وَابْتَغُوا إلَـيْهِ الوَسِيـلَةَ } يقول: واطلبوا القربة إلـيه بـالعمل بـما يرضيه."

 "(Allah ki) nazdeeki haasil karo nek amal kar ke".

[Tafsir at-Tabri under 5:35]

Aur RasoolAllah ki hadith hame batati hai ki  kya Allah ki nazdeeki RasoolAllah ke wasile se hasil hoti hai ya fir kuch aur amal karne se:

Abu Huraira (Radi Allahu Anhu) se rivayat hai ki Rasoollallah (SallallahuAlaihi Wasallam) ne farmaya ki Allah Subhanahu tala farmata hai Jisney mere kisi Wali se Dushmani ki usey meri taraf se Elan-e-Jung hai aur Mera banda Jin Jin Ibadaton se Mera Qurb haasil karta hai (unme se) koi Ibaadat mujhko us sey ziyaada pasand nahi hai jo mainey us par farz ki hai (jaisey Namaz ,Roza , Hajj, Zakaat..)
Aur mera banda farz Ada karney ke baad Nawafil Ibaadat karte hue mujhse itna ziyada nazdeek ho jata hai ki main us sey Muhabbat karney lag jata hu phir jab main us se Muhabbat karney lag jata hu to Main uska Kaan (ear) ban jata hu jis sey wo sunta hai, uski Aankh ban jata hu jis se wo dekhta hai , uska haath banjata hu jis sey wo pakadta hai ,uska paaw (leg) ban jata hu jis sey wo chalta hai. Aur agar mujhse maangta hai to main usey deta hu, agar wo kisi Dushman ya shaitan se meri panaah ka talib hota hai to main usey Mehfooz rakhta hu aur main jo kaam karna chahta hu us mein mujhe itna taraddud (hesitation) nahi hota jitna ki mujhe apney momeen bandey ki Jaan nikaalney mein hota hai wo to Maut ko pasand nahi karta aur mujhe bhi usko takleef dena achcha nahi lagta.

(Narrated by al-Bukhaari, 6502).

Lihaza Islami shariya ke andar Allah ke naam, apne nek aamaal ka Waseela ki ijazat hai aur jo shaks hayat ho usse bhi dua karwa sakte hai lekin jo shaks wafat pa chuka ho usse dua nai karwa sakte chahe wo Ambiya hi kyu na ho.

Anas (r.a) se riwayat hai ki Jab bhi sukha padta(barish ki kami hoti) toh Umar r.a Al- Abbas bin Abdul Muttalib  r.a. se Allah se baarish ki dua karne ko kahte. Woh kahte – Aye Allah, hum apne nabi se baarish ki dua krne ko kahte the aur ap barish ki rahmat karte the aur ab (jab RasoolAllah ﷺ ki wafat hogai) hum unke chacha se dua karne ko kahte hai. Aye Allah! Humein baarish ata farma, aur fir barish hoti.

Sahih Al Bukhari, Invoking Allah for Rain (Istisqaa) [17:123].

Is hadees se sabit hua ki RasoolAllah ke faut hone k baad Sahaba Rasool ke kabr pe ja kar nai balki Rasool ke chacha se dua karwaya karte the kyuki jo shaks faut ho jata hai us se madad mangna Shirk hai aur us ke shirk hone me koi shak nahi.

Imam Abu Haneefa farmate hai:

“ Duaa,ba-haq Nabi aur Wali ke Wasila se Mangna na-pasandeeda amal hai is liye kyu ki Makluq ka kuch haq Allah par nahi.

(Hidaya page No : 226).

Allah aur uske Rasool ne ek bhi aisi dua nahi sikhai jisme RasoolAllah ﷺ ke wasile ka zikr tak ho. Toh hame Islam ko Quran aur sunnah ke zarye se sikhna chaiye na ki khud ke zid aur apni man-mani se.

•٠•●●•٠•
Related:
۩ NEK LOGO KA WASILA LAGA KAR DUA MANGNE KE AHKAAM
۩ WASEELA AUR ASLAAF E UMMAT KA TARIKA E KAAR

Post a Comment