Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Jan 2018

Kya Raat Ko Tahajjud Padhne Wala Shaks Imam Ke Sath Taraweeh Me Witr ada Karle ?


Is sawal ke jawab se pahle ek chiz ka ilm hona bahut zaruri hai. Wo ye hai ki Taraweeh, Tahajjud, Qiyam ul Lail, Qiyam e Ramadan ek hi namaz ke alag alag naam hai aur isi liye Taraweeh ka alfaz apko Quran ya hadith me kahi bhi nahi milega. Ye baad ke adwar ke logo ne naam diya hai. Is mauzu par aur ilm ke liye ye article check kare:- TARAWEEH, TAHAJJUD, QIYAM AL LAIL ME FARK.

Lehaza is article me Tahajjud se murad wo nawafil namaz hai jo ek shaks so kar uthne ke baad padhta hai.

Alhamdulillah..

Iske liye 2 Tarike hai,

۩Awwal:

 Ap Imam ke saath witr ada kar lein, aur fir agar iske baad aap ke liye tahajjud ki adaigi mayassar ho to do do raka'at kar ke jitni namaz e tahajjud Allaah Ta'ala ne apke liye likhi hai wo ada karein, aur namaz witr dobara ada na karein, kyuki ek raat mein do baar witr ada nahi ho sakte.

۩Dom:

Witr ap raat ke aakhri hisse ke liye mu'akhir kar de aur jab imam Witr ki namaz ki adaigi mein salam fere to ap usske saath salam na ferein, balki khade ho kar ek raka'at zyada ada kar lein taaki raat ke aakhri hisse mein witr ada ho sake.

۩ Shaykh ibn Baaz r.h. ta'ala se mandarja zel sawal kiya gaya:

'Jab Imam witr padhata hai to ba'az log uske saath salam pherne ke bajaye ek raka'at utth kar ada karte hain taaki witr raat ke aakhir mein ada kar sake, to iss fail ka hukm Kya hai? Aur kya isse imam ke saath qayam kaha jayega?'

Shaykh r.h. ta'ala ka jawab tha:

"Hum to iss mein koi harj nahi jante, Ulma e karam ne yahi bayan kiya hai, aur iss me harj bhi koi nahi taaki raat ke aakhir mein witr ada ho sake, aur iss par yeh sadiq aa sake ke isne imam ke saath qayam kiya hatta ki imam chala gaya, kyuki issne to to imam ke saath balki issne to shara'i maslihat ki bina par ek raka'at zyada ada ki hai taaki wo raat ke aakhir mein witr ada kar sake, to iss mein koi harj nhi.

Aur isse wo imam ke saath qayam karne se kharij nahi hota, balki isne imam ke jane tak iske saath qayam kiya lekin wo iske saath nhi gaya balki wo imam ke jane ke baad der mein gaya". End quote.

Dekhein: Majmu Fatawa ibn Baaz (312/11) .

۩ Aur isi tarah ka ek sawal fazeelatus Shaykh ibn Jibreen r.h. se kiya gaya to unka jawab tha:

"Muqtadi ke haq mein afzal yeh hai ke wo Imam ki iqtada kare hatta ke Imam taraweeh aur witr se farig ho jaye, taaki iss par yeh sadiq aaye ki isne imam ke farig hone imam ke saath namaz ada ki, to ise raat ke qayam ka sawab hasil ho jaisa ki Imam Ahmad wagaira Ulma'a ne kiya hai.

Aur iss bina par agar wo imam ke saath witr ada kar ke farig hua to ise raat ke aakhir mein witr ada karne ki zarurat nahi, lehaza agar wo raat ke aakhir mein bedaar ho to jitni iske muqaddar mein namaz likhi hai wo do do raka'at kar ke ada kare, aur witr na dohraye, kyuki ek raat mein do baar witr nahi hote.

Aur ba'az Ulma'a ne Imam ke saath witr mein ek raka'at zyada ada karne ko afzal kaha hai, yani wo imam ke salam pherne ke baad ek raka'at zyada ada karne ke baad salam phere, aur tahajjud ke aakhir mein witr ada kare, kyuki Nabi kareem ﷺ ka farman hai, "Jab tum mein se kisi ko subah ke tulu hone ka khadsha ho to wo ek raka'at ada kar ke apni namaz ko witr kar le".

Aur isi tarah Nabi kareem ﷺ ka farman hai,"Tum apni raat ki namaz mein sabse aakhir mein witr ada karo".  End quote.

Fataawa Ramadaan, page- 826.

۩ Aur mustaqil Fatwa Committee ne fatwa diya hai ke yeh dusra tareeqa behtar aur ahsan hai.

Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah, 7/207.

•٠•●●•٠•

Hum Allaah Ta'ala se apke liye taufeeq aur siratal mustaqeem ki dua karte hai.