Point 1 : Namaz Ki Niyat -
Kisi bhi ibadat ki qubuliyat ka daromadaar uski niyat pe hota hai
isi wajah se ummat e muhammadiya ﷺ ki sabse unchi hadith ki kitab ki shuruat hi isi hadith se
hoti hai ki rasoolallah ﷺ ne farmaya ki aamaal ka daromadar niyat pe hai (sahih al
bukhari, hadith no.1).
Lekin sath sath ye bhi jaan le ki niyat ka matlab kya hota hai,
arabic dictionary ke mutabik niyat ka matlab dil ka iradah hota hai. To agar
apne kisi ibdat ka iradah kar liya ho apki niyat wahi par ho jati hai zaruri
nahi ap apne niyat ko zuban se bole.
Isi tarha namaz ki niyat bhi tab hi ho jati hai jab ap ye iradah
kar lete hai ki mujhe ab namaz padhna hai. Ya fir aesa kaha jaye ki namaz ki
niyat to usi waqt hojati hai jab aadmi azan sunkar masjid ki taraf chal padta
hai aur isi niyat ki wajah se ise har qadam par nekiya’n milti hain. Lehaza
namaz shuru karte waqt jo kuch padha jaata hai wo khilaf e sunnat to hai hi sath
hi sath khilaf e aql bhi hai.
Point 2 : Namaz me Surah Fatiha Padhna -
Namaz me surah fatiha padhna zaruri hai, Ap ﷺ ki hadith hai ki uski
namaz nahi hoti jo surah Fatiha na padhe. Ummat me isme ikhtilaf nahi hai ki
namaz me surah fatiha padhi jaye ya nahi lekin isme zarur ikhtelaf hai ki Imam
ke piche Surah Fatiha padhi jaye ki Nahi. Dono taraf ke log apni dalail dete
hai lekin Quran aur sunnat ke nazdeek mazbut raaye yahi hai ki Imam Ke piche
surah fatiha padhi jaye q ki ye RasoolAllah ka farman hai aur Ap ﷺ ka farman hamare
eeman ka hissa hai. Aur yahi wajah hai ki Deen ke sabse bade Muhaddis (Scholor
of Hadith) Imam Bukhari ko ek kitab likhne ki zarurat pesh agayi taaki ummat me
is ikhtilaf ko dur kiya ja sake aur unhone is kitab me sabit kiya hai ki Ummat
ko kyu Imam Ke piche surah fatiha padhni chaiye, Is kitab ka naam Juz -al-
Qira'at hai, apko iska pdf net pe mil jaega.
Agr apke pas waqt hai aur ap dono side ki dalail dekhna chahte h
aur fir kis side ki dalail Quran aur sunnat ke sabse zyada nazdeek hai iske
liye mai ek video ka link de raha hu jise shauk ho wo dekh le, isme detail se
dono side ki dalail ko discuss kiya gaya h urdu zuban me :
https://www.youtube.com/watch?v=Qaqb9x4Qtm0
‘Ubada bin As-Samit r.a. riwayat karte hain ki ham namaz e fajar
me Nabi ﷺ ke
piche the. Aap ﷺ ne
Quran padha pas Aap pe padhna bhari hogaya, jab namaz se farig huwe to farmaya,
“Shayad tum apne imam ke piche padha karte ho?” Ham ne kaha “Haa” Ae Allah ke
Rasool ﷺ. Aap ne
farmaya “siwaye surah Fatiha ke aur kuch na padha karo kyu ki us shaksh ki namaz
nahi hoti jo sureh Fatiha na padhe.”
Sunan Tirmizi hadees no: 311, ibn e Khuzaima-1581, ibn e
Hibban-460, 461.
Point 3 : Namaz Me Aameen Kahna -
Jab aap akele namaz padh rahe ho’n to Ameen aahista kahei’n. Jab
Zohar aur A’asr imam ke peeche padhei’n to phir bhi aahista kahei’n. Lekin jab
aap jehri namaz mein imam ke peeche ho’n to jis waqt imam walaz zaaaleeen kahe
to aap ko oonchee awaz se Aamin kehni caahiey. Balke Imam bhi sunnat ki pairwee
mein Aamin pukar ke kahe. Aur muqhtadiyo’n ko imam ke Aamin shuru karne ke baad
Aamin kehni chahiey.
Wael bin Hajar r.a. riwayat karte hain Rasool Allah ﷺ ne: ghairil maghzoobi
a’alaihim walaz zaaaleeen padha Toh Aap ﷺ ne apni aawaaz se
Aamin ko kheech kar kaha.
(Tirmizee: al Salah 248 – Abu Dawood: al Salah 932) Imam Tirmizee
ne Hasan jabke Ibne Hajar aur Imam Dar e Qutini ne Saheeh kaha.
Abu Huraira r.a. kahte hain ke jab Rasool Allah ghairil maghzoobi
a’alaihim walaz zaaaleeen to Aap kehte Aamin. (Is qadr oonchee awaaz se) ke
pehli saf mein Aapke ird‐gird ke
log sun lete.
(Baheqhee V2 P 158 – Ibne Qhuzaima 571 – Ibne Hibban 462) Ise Imam
Haakim aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.
Abu Huraira r.a. farmate hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jab Imam
Aamin kahe to tum bhi Aamin kaho. Jis shaqs ki Aamin farishto’n ki Aamin ke
takra gai to iske pichle gunah muaaf kar diye jate hain.’
(Bukhari: al Azan 780 – Muslim: al Salah 410)
Is hadees se maloom hua ke jis muqtadi ne abhi Surah Fateha shuroo
ya qhatam nahi ki wo bhi Aamin kehne mein doosro’n ke saath shareek hoga. Taake
ise bhi guzishta gunaho’n ki muafee mil jaae.
Aameen Wali Hadith ko Hamare Imamo ne Kaise Samjha:
Imam ibne Qhuzaima is hadees ki tashreeh mein farmte hain: Is
hadees se saabit hua ke Imam oonchee awaaz se Aamin kahe kyou’nke Nabi e Rahmat
muqtadi ko Imam ki Aamin ke saath Aamin kehne ka hukam isi soorat mein de sakte
hain jab muqtadi ko maloom hoke imam Aamin keh raha hai. Koi aalim tasawwur
nahi karsakta ke Rasool Allah muqtadi ko imam ki Aamin ke sath Aamin kehne ka
hukam dei’n jabke wo apne imam ki Aamin ko sun na sake. (Saheeh Ibn e Khuzaima
Volume-1 Page-276).
Imam Bukhari ne Sahih al Bukhari me baab bandha tha ki "Imam
Ka Buland Awaz Se Aameen Kahna" aur fir wo Aameen kahne ki Hadith le kar
aye hai. Aur Ye baat Jaan le ki Muhaddis ka baab, Muhaddis ka aqidah hota
hai." Toh Imam Bukhari ka bhi yahi aqida tha ki aameen ko buland awaz se
kahna hai. Aur isi wajah se Imam Bukhari ne baab ke baaad ek muallik riwayat le
kar aye hai.
Abdullah bin Zubair r.a. aur inke muqtadiyo’n ne itni buland awaaz
se Aamin kahi ke masjid goonj gai.
(Bukhari: Jahar al Imam bit Taameen, Musannaf Abdur Razzaq V2 P96)
Imam Bukhari ne ise basagheeya jazam zikar kiya hai)
A’krama r.a. farmate hain: ‘Main ne dekha ke imam jab ghairil
maghzoobi a’alaihim walaz zaaaleeen kehte to logo’n ke Aamin ki wajah se masjid
goonj jaati.’
(Musannaf Ibn e abi Shayba V2 P187)
A’ataa bin Abi Rabaah r.a. farmate hain: ‘Maine 200 Sahaaba Ikram
ko dekhe ke Baithullah mein jab imam ghairil maghzoobi a’alaihim walaz
zaaaleeen kehta to sab buland awaaz se Aamin kehte.’ (Behaqhee V2 P59) Iski
sanad Imam Ibne Hibban ki shart par Saheeh hai.
Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jis qadr Yahoodi Salaam aur Aamin se cihdhte
hain itna kisi aur cheez se nahi chidhte.’
(Ibne Majja: Iqamatis Salah 856) Ise Imam Ibne Qhuzaima V1 P288
Hadees 574, V3 P38 Hadees 1585 aur Imam Boosiri nahi Saheeh kaha.
Haafiz ibn e Abdul Bar r.h. ne zikar kiya ke Imam Ahmad bin Hambal
r.h. (One of 4 Imam) us shaqs par saqht naraaz hote jo buland awaaz se Aamin
kahne ko makruh samajhta. Kyou’nke yahoodi Aamin se chidhte hain.
Point 4 : Namaz me Rafa Yadain Karna -
Raful Yadain yaani dono’n hatho’n ka uthaana. Ye namaz mein 4
jagah saabit hai.
‐ Shuroo
namaz mein Takbeer e Tehreema ke waqt. (While starting Salah)
‐ Rukoo
se qabl. (Before bowing, Rukoo)
‐ Rukoo
ke baad. (After raising head from Rukoo)
‐ Teesri
(3) rakat ki ibteda mein. (At the beginning of third (3rd) rakat)
Lekin Ummat ke kuch Hazraat sirf Namaz ke shuru me rafa Yadain
karte hai baaki teen jagah par nahi karte. Ek baat ki taraf tawajjo dilana
chahta hu ki Puri Ummat is par muttafik hai ki RasoolALlah ﷺ rafa yadain karke
namaz padhte the. Aur Alhamdulillah Is sunnat par puri ummat amal kar rahi hai
siwaye Hanafi Hazraat ke, yaha tak ki shia log bhi is sunnat par amal karte hai
jab ki unki hadith ki kitab hi alag hai, to is par lamha e firqiya hai Hanafi
hazraat ke liye ke unko chor ke puri ummat is sunnat par amal kar rahi h.
Hamare mashhoor 4 Imam, Imam Shafi, Imam Ahmad ibn Hambal, Imam
Malik, ye teeno imam rafa Yadain kar ke namaz padhte the. Kyuki Imam Abu Hanifa
ki koi khud ki kitab nahi hai sahih sanad se jaise baaki 3 Imamo ki kitab hai
isliye ham ye nahi kah sakte ki Imam Abu Hanifa rafa yadain karte the ki nahi..
ye baat alag hai ki unke taraf mansoob kiya jata hai ki wo rafa yadain nahi
karte the. For the sake of arguement, agar ye maan bhi liya jaye ki waqai Imam
Abu Hanifa rafa yadain nahi karte the fir bhi ham par lazim hai ki unki baat ko
chor diya jaye kyuki Imam Abu Hanifa ne khud farmaya hai:
۩ Imam
Abu Haneefa farmate hai: “Jab Tumhe koi Sahih hadith mil jaye to wahi mera
Mazhab hai.”
Ibn `Aabideen in al-Haashiyah (1/63).
Imamo ke sath sath hamare saare Muhaddiseen bhi rafa yadain kar ke
namaz padhte the. Imam Bukhari, Imam Muslim, Imam Abu Dawud, Imam Nisai, Imam
ibn Majah aur baaki sab bhi. Yaha tak ke Imam Bukhari ne to khud ek kitab bhi
likhdi Rafa Yadain par jiska naam Juzz Rafayadain hai (iska pdf apko net pe mil
jayega), Aur unhone apni is kitab me rafa Yadain ki ahmiyat batane ke liye
Allah ke azaab tak ka zikr kar diya hai ise tark karne walo par.
Aur is ummat ke boht boht boht bade Sheikh (teacher), Sheikh Abdul
Qadir Jilani rahimaullah bhi rafa Yadain karke namaz padhte the jinhe aksar
Hanafi apna Peer mante hai. Toh Murideen ke liye bhi lamha e fiqriya hai ki Kya
wo apne peer ke tarike par hai?
Maine alhamdulillah Sheikh sahab ki kitabe padhi hai, aur Sheikh
sahab ki ek kitab Ghunyat tu Talibeen me jab Sheikh sahab ne namaz ke tarike ka
zikr kiya to unhone baqaida likha ki Ruku se Pahle aur ruku ke baad bhi rafa
yadain karna chaiye. (Ye kitab bhi net par available hai lekin agr kisi ko na
mile to wo mujhse hasil krle).
Aur Ummat ka ek maktaba e fikr jinhe Sheikh ul Islam kahta hai,
Dr. Tahirul Qadri sahab, unko bhi manna pada ki hamare saare muhaddiseen aur
sheikh Abdul Qadir jilani r.ah. bhi rafa yadain kar ke namaz padhte the. Ye
clip dekhe: https://www.youtube.com/watch?v=0P6-65VpxiM
Ab itni saari dalail ke baad bhi agar koi banda rafa yadain na
kare to wo is baat ki tayari karle ki jab kal Qayamat ke din agar Allah puch
baithe ki tumne saari umr rafa yadain kyu nahi kiya tha saari dalailo ke
bawujud to wo Allah ko kya jawab dega.
Agr Qayamat ke din Nabi ﷺ ne hamse sawal kar liya ki meri Rafayadain ki sunnat ko
tumne ta-umr kyu chore rakha to kya muh dikhayenge ham apne Nabi ko? Kis Muh se
ham unse khud ki sifarish karne ke liye kahenge? Saari umr ham khud ko aashiq e
Rasool kah kar bhi ham jaan buj kar is sunnat ko kis liye chorte hai?
Agar ap sirf apne molvi/mulle ya firqe ke liye is sunnat ko chore
rakha to ye baat to Ilyas Qadri sahab ne batayi hi hogi ki kabr me koi molvi ya
firqa apke sath nahi jayegi lekin wo apke aamaal hai jo apke sath jayengi, apki
sunnat se muhabbat, apki farz par amal hi apke sath jaegi.
Baaki mera kaam to haq ko pohcha dena tha. Ab muamla apke aur
Allah ke bich hai.
Aur jo lame exuses diye jaate hai ki us zamane me Butt (idol) rakh
kr aate the is liye rafa yadain krte the ya ki aakhri zamane me rafa yadain
tark ho gaya tha ye sab safed jhut hai, insab ki koi daleel nahi hai. In sab
dalail ki haqiqat aur rafa yadain ki details janne ke liye Iqra' ke articles
chq kare ya ye video dekhe: https://www.youtu.be/LEl6POXZsuY
Point 5 : Ruku karna aur Ruku se uthna -
Ruku sukun ke sath kare, jaldbazi na kare. Aur jab ruku se uthe to
usme bhi utna waqt de jitna apne ruku me diya tha. Aur ruku be baad hatho ko
chor dena hai, bandhna nahi hai. Ye jo baaz Ulema e Arab aur Ahle Hadith ulema
ki raaye hai ki ruku ke baad hatho ko bandhna hai ye bilkul hi batil raaye hai.
RasoolAllah ﷺ, Sahaba
e Kiraam aur Hamare salaf maise kisi ne na is par amal kiya aur na hi iska hukm
bayan kiya. Aur puri ummat ka is par ijma hai ki ruku ke baad hath chorne hai
siwae chand ahle hadeeso ke jis tarha se kal bayan kiya gaya tha ki puri ummat
ka amal hai rafa yadain ki sunnat par amal krne ka siwaye hanafi hazraat ke.
Ruku ke baad hath chorne ki Dalail Sunan Abu Dawud aur Sunan Nisai
se Wail ibn Hajr r.a. ki hadith se hai jaha par wo namaz me hatho ki position
ka bayan karte hai. Unhone boht barikhi se namaz ke har step me hatho ki
position ka zikr kiya lekin usme ye kahi bhi nahi zikr kiya hai ki ruku ke baad
hatho ko bandh liya jaye.
Aur jaha tak baat hai Imam Ahmad ibn Hambal r.h. ki qawl ki unhone
Masaail e Ahmad me kaha ki isme koi tangi nahi hai (chahe koi hath bandle ya
chorde), Toh isme Imam Ahmad ne koi daleel nahi pesh ki Quran wa sunnat se, ye
ek qawl hai koi Quran aur hadith nahi. Jab Imam Abu Hanifa se galti ho sakti
hai, Imam Shafi se galti ho sakti hai to Imam Ahmad se bhi galti ho sakti hai,
aesa nahi hai ki sirf Imam Abu Hanifa hi saari galti karenge.
۩ Imam
Ahmed Ibne Hambal (R.A) Ney Farmaya Hargiz naa meri Raae Naa Malik (R.A) ke Aur
Imam shafai (R.A) ke aur Naa Imam Auzai ke aur naa Imam Thawri ke, Jaha say yeh
Tamam Imam Deen ke Ahkam waa Masail Layte theay (Quran aur Hadees) Tum bhi wahi
say hi Lena.
(Aqeedatul Jaid Page # 70).
Aur Yahi wajah hai ki Sheikh Albani ne baqayda apni kitab Sifat
Salat Al-Nabi me ye likh diya ki Ruku Ke baad hath bandhna ek gumraahkun Biddat
hai.
Point 6 : Sajde ke liye niche jana -
Jab sajde ke liye niche jaye to pahle hath rakhe ya ghutne is par
hamare ulema e karaam ne ikhtilaf kiya hai. Kuch ne kaha ki pahle ghutne rakhe
jaye aur fir hath aur is raaye ke kayl hai Hanafi ulema aur Shafi ulema. Wo
Wael ibn Hujar r.a. ki hadith pesh karte hai ki jab Huzur ﷺ sajde ke liye niche
jate the wo pahle apne ghutno ko rakhte the aur fir hatho ko aur jab ap sajde
se uth-te the to ap hatho ko ghutno se pahle uthate the. Is riwayat ko Abu
dawud, Nasai aur Tirmizi ne naql kiya hai.
Lekin Jaha tak is riwayat ki sehat ki baat hai to hamare aksar
Muhaddiseeno ne is riwayat ko qubul nahi kiya hai. Imam Baihaqi, Sheikh Zubair
Ali Zai aur Sheikh Albani ne is hadith ko zaif karar diya hai.
Ek dusri raaye ye hai ki Jab ap sajde ke liye jaye to pahle apne
hatho ko rakhe fir apne ghutono ko rakhe. Is raaye ke qayl hai Imam Malik, Imam
Awzaa’i aur boht se hamare Muhaddiseen. In ki Dalail Abu Huraira r.a. ki ek
riwayat se hai jaha par Huzur ﷺ ne farmaya ki Jab ap Sajde ke liye jaye to oont (camel) ke
tarha na bainthe, pahle apne hatho ko rakhe aur fir apne ghutno ko rakhe. Is
riwayat ko Imam Ahmad (2/381), Abu Dawood, Tirmidhi, aur Nisaa’i ne naqal kiya
hai. Sehat ke aetbar se hamare aksar Muhaddiseeno ne ise qubul kiya hai.
Toh behtar yahi hoga ki dusri raaye ko ikhtiyar kiya jaye.
Point 7 : Sajde Me Dua Mangna -
Jin waqto me dua ki qubuliyat ka zyada imkaan hota hai wo waqt
namaz ke sajde me bhi hai :
Abu hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolallah ﷺ ne farmaya,
"Banda apne Rabb ke sab se ziyadah qareeb us haalat mein hota hai jab woh
sajde mein hota hai, lihaaza us mein kasrat se dua karo."
Sahih Muslim, hadith- 482.
Dua behtar hai ki ap arabic me kare lekin agar arabic nahi aati to
khud ki zuban me bhi kar sakte hai.
Point 7 (b) : Sajde Me Dua Mangna - Aap ﷺ Ki Sajde Ki Dua -
Abu Hurairah r.a. Riwayat Karte Hai Ki RasoolAllah ﷺ sajde me ye dua manga
karte the, "Ae Allah Mere Saare Gunaah Muaf karde, chote aur bade, pahle
aur akhir ke, khule hue aur chupe hue."
Sahih Muslim, Hadith- 483.
This dua in arabic:
اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي ذَنْبِي كُلَّهُ دِقَّهُ وَجِلَّهُ وَأَوَّلَهُ وَآخِرَهُ وَعَلاَنِيَتَهُ وَسِرَّهُ
Point 8 : Do sajdo ke bich ki Dua -
Pahle sajde se uthne ke baad aur dusre sajde me jaane se pahle ye
duae padhni hai -
1. Huzaifa r.a. riwayat karte hain, Rasool Allah ﷺ dono’n sajdo’n ke
darmiyan padha karte the: Rabbigh Firlee Rabbigh Firlee - [Aey Mere Rab Mujhe
Maaf Farma, Aey Mere Rab Mujhe Maaf Farma.]
(Abu Dawood: al Salah 874 – Ibne Majja 897) Imam Haakim V1 P271
aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.
2. Ibne Abbas r.a. riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ dono’n sajdo’n ke
darmiyan (ye) padhte: ‘Allahummagh Firlee war Hamni wa A’afinee wa Ahdini
war Zuqhni’ – [Aey Allah! Mujhe Baqsh De, Mujh Par Raham Farma, Mujhe
Aafiyat Se Rakh, Mujhe Hidayat De, aur Mujhe Rozi A’ata Kar.]
(Abu Dawood: al Salah 850 – Tirmizee: al Salah 284) Ise Imam
Haakim, Imam Zahabi aur Imam Nawawi ne Saheeh kaha.
————————————————————————————————————————
Point 9 : Jalsa e Isteraahat -
Doosra sajda kar chukne ke baad 1 rakat poori ho chuki hai. Ab
doosri rakat ke liye ap ko uthana hai lekin uthne se pehle thodi der baithna
hai. Ye taak rakat me hoga yaani agar ap 2 rakat namaz padh rahe hai to apko
sirf pahli rakat ke sajde ke baad aesa karna hota hai. Agar ap 3 rakat ki namaz
padh rahe hai to bhi apko sirf pahli rakat me sajde ke baad aesa karna hoga.
Agar ap 4 rakat ki namaz padh rahe hai to apko pahli aur teesre rakat ke sajde
ke baad aesa karna hoga. Ye itni der tak baithna hai ki apki saari haddi apni
jagah par ajaye.
Iski Dalail ye hai:
Rasool Allah ﷺ (Allahu Akbar) kahte hue (doosre sajde) se uth te aur apna
baya’n paou’n modhte hue (bichate aur) is par baith-te. Itni der tak ke har
haddi apne thikane par aajati, phir (doosri raka’at ke liye) khade hote.
Sunan Abu Dawood: 730 ; Tirmizee: 304 ; Ibn e Majah: Iqaamatis
salah 1061.
Rasool Allah ﷺ apni namaz ki taaq (pahli aur teesri) rakat ke baad khade
hone se qabl seedhe baith‐te the.
Bukhari: al azan-823.
Rasool Allah ﷺ jab doosre sajde se uthte to pahle baith te phir uthte waqt
dono’n hath zameen par tek kar uthte.
Bukhari: al azan – 824.
Point 10 : Tashahhud me Ungli uthana aur use move karna -
Is point ke liye maine behtar ye samjha h ki apko ek clip share
kardu jisme wazahat se batayi gai hai ki ungli kab uthani hai aur move kab krni
hai :- https://www.youtube.com/watch?v=WO3NA5-OAoM
Is topic par maine article b prepare kiya tha par mujhe lagta hai
is article se behtar apko upar wali clip me baat samajh ajayegi fir bhi agar
dekhna chahe to mai article ka link share kr deta : https://iqrakitab.com/2017/12/tashahud-me-ungli-uthana.html
Point 11 : Aakhri Tashahhud Ke Akhir Me Khud Ki Dua Mange -
Jab ap Aakhri Tashahhud ki saari sunnat duae padh le uske baad
agar apke dil me koi personal dua hai to wo bhi maang sakte hai. Behtar h
Arabic me maange lekin agr arabic na aati ho to khud ki zuban me mang lein.
Abu Huraira Razi Allah Anho Se Marwi Hai Ke Aap ﷺ Ne Farmaya :
"Jab Tum Mein Se Koi Tashahhud Ke Liye Baithy To Chaar Cheezon Se Allah Ki
Panah Mangay, Azaab e Jahannum Se, Azaab e Qabr Se, Zindagi Aur Maut Ke Fitne
Se, Aur Maseeh Dajjal Ke Shar Se. Uskay Baad Apne Liye Jo Chahay Maang Le.
Sunan an-Nasa'i 1310. Sahih [Sheikh Zubair Ali Zai].
Ye karne ke baad dono taraf salaam fer kar namaz muqammal kare.
Point 12 : Namaz ke baad sunnat azkaar
Aam taur par hamare muashre me aksar log is sunnat se mahroom hai
aur log to log, ma shaa Allah hmare masjido ke imam bhi is sunnat se mahroom
hai. Ho sakta h ki baaz log susti k wajah se ise na krte ho aur ye b ho skta ki
baaz logo ko ilm hi na ho is sunnat ki. Toh ap tamam ummatio se guzarish hai ki
is murda sunnat ko zinda kare aur apne imamo ko bhi is sunnat ki taleem de.
RasoolAllah ﷺ farz namaz ke baad atleast ye 14 azkaar baith kar kiya karte
the. Is azkaar me duae bhi hai aur wazaif bhi hai. Mai niche azkaar ka link de
deta hu in shaa Allah :
Link
of :
•٠•●●•٠•
Prepared by :- Faisal Khan .
Allah se dua hai ki wo hame RasoolAllah ke tarike se namaz padhne
ki taufeek ata kare. aameen.